Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ravin Jul 2018
1.
Dard ko kaagaz *** utarna aata hota to hum bhi galib hotee, magar humara dard to sinee mai dafan hai !!

Hum Galib to nehi magar likhne ka junoon rekhte hain, kisi aur ke dard mai apna dard dhoond liya kerte hain.....

2.
Duaen jhoot ko sach banane ke liye mangi jatii hai !!! Sach ko jhoot banen ki koi fariyaad nehi hoti..

3.
Zakham sabke hote hain,magar khuredna koi nehi chata..
Yee hai maasukha jisee chodna koi nehi chaataa..
Agar zahkam mere tum dekho to zakham saha nehi jata..

4.
Aaj phir usne kaha plz understand ... Mai na jane kyon uskii naa mai haan samajh gya, phir dil ko bewafa samajh gya..

5.
Mai iss umeed mai dooba tuu bacha lega ... abb iske baad kya mera intehaan lega

6.
Aaj tune phir us mod *** sath choda, phir mekhane ke bahar haath choda ... hum is mod see is kadar wakif hai, kii lagta hai tune phir ghar laa choda....

7.
Dhunvee kii aadat sii hoo gyee hai nashe kii cahaat sii hoo gye hai...
Tuu na rehe to kya hua tere bina jeene kii aadat sii hoo gyee hai...
Ravin Oct 2018
Tera naa hona utni takleef nehi deta jitna tera hoke naa hona takleef deta hai, Tuu door hii sahi thi phir kyon paas hone kaa ehsaas dila diya..

Teri majboriyon nee hume is kabil bana diya, anjaani mehafilon mai muskurana sikha diya..

Jate jate kuch haseen pal chod gye ** tum, in palon ne hume akele mai rona sikha diya..

Chaahate to rok lete tujhko, magar Zindagi kuch is kadar intehaan le rehe thi, kii sab kuch tha, magar phir bhi hume fakeer hone ka ehsaas dila rahi thi...

Majbooriyan humari bhi kuch aise thi, jinhone hume tumhare bina jeena sikha diya..

Kaun ** tum jisne hume pathar see phir insaan bana diya...
ash Jun 11
sarphiri si baatein ye teri
muqammal kar bhi lu
makbul karna mushkil

har martaba jo ye tu aajata hai
zehen mein maano zeher sa mehsoos hota hai
dil par marham jo bhi lagaya
kab zakhmon ko cheer ke nikal gaye, pata bhi na chala

par usko dekha, phir se —
waqt ke intehaan ke baad hi sahi
wahi aankhen, wahi muskurahat
wahi pagalpan —
maano saare gham dil rehte, pighal gaye

jab aankhen hi bol dein
toh labon ki khamoshi bhi kya?
naseehat jo ye duniya de, aahista hi sahi
samajh aati hai — duniya ke pare
jo teri meri duniya baithi hai

maano intzaar kar rahi ** —
uski yaad satati hai
par intzaar bhi ye kaisa,
uska — jise kabhi aana hi na tha

zaleel toh apno ne hi kiya
iss qadar ghaav jo hai ye mere
kya sapna, aur kya baddua

nazdeekiyan — har ek cheez
jo maano hawa ki tarah
nadiyon mein behte hue
mujhe tere kareeb le aaye

sab seh lenge — dard ** ya dilkash
aarzoo se likh rahi hoon
afsana ye tera mera

kaafir ban ke reh gaye
khud apne hi shauq-e-ishq karte karte guzar gaye
sochti thi — gair hai ye sab
ummedon aur khwabon ke pare

par giri aisi, ki sambhal na payi

hamari kahani likhi hui thi
aur duniya — uske log
iss janam mein bhale hi door kar dein
ye dooriyan nahi samjhi
junoon ko mere

zindagi aur maut —
aur uske baad ke safar mein
uns rahegi meri, kasakti hi sahi
teri ruksat bechain bhale hi chhod jaye

fanaa ** jaana —
la-ila, ab bepanah pyaar jo ye mera

hota hi kya hai qissa iss zamaane ka?
kahenge log — jo unhe kehna hai

raahguzar tera mera —
sarphiri si main
khamoshi mein rehkar
tujhe bayaan jo na kar sake

socha tha — padh chuka hoga
jo hum shabdon mein piroh na sake

ye vaada — ek laila ka apne majnu se:

tujhe kho bhi dun, darr nahi kisi baat ka
rahega zehen mein mere — paa hi lungi
iss janam nahi, toh agli dafa
ouch, laila-majnu
first time watching something like it
not the best, sure- the plot, unpredictable this once cause i had some other thoughts except poetic symbolism. peaked.

— The End —