"inme" poems
Kabhi apne aap ko bhoolti ***
Kabhi apne aap ko chunti ***
Bas dhundhti *** khud ko
Kabhi inn bikhre panno mein
Kabhi inme likhe lafzon mein
Padhti *** khud ko
Kabhi dhokha kha jane mein
Fir khud ko saza de jane mein
Maarti *** khud ko
Kabhi baarish ki awaz mein
Kabhi hawaon ki aahat mein
Dekhti *** khud ko
Kabhi bajte huwe piano mein
Kabhi gaano ke taraano mein
Sunti *** khud ko
Kabhi uski aankhon ke paani mein
Kabhi uski di hui zubani mein
Paati *** khud ko
Bas dhundhti *** khud ko
Bas dhundhti *** khud ko
Jan 10, 2019
Jan 10, 2019 at 1:34 AM UTC
Ye kahaani meri hai,
Kuch adhi hai kuch puri hai.
Kabhi to hai dil ke paas,
Kabhi inme duri hai.
Ye jo faasle hai na,
Filhaal ye ek majburi h.
Bairhaal to bas yun hai,
Ke sab chal raha hai.
Koi nahi janta ki,
Konsi kahaani puri or konsi adhuri h.
Jun 11, 2020
Jun 11, 2020 at 3:25 PM UTC
Samay ghadi pe bajke 2,
aur dil kehta hai ab suno..
khayal se mujhme aate hain...
tu likhta ja, chal ja piro...
Aur main kalam ka aashiq hoon,
jo pannon ko ab bharta hoon,
kuch adhoora sa thaa inme wo..
main poora sa ab karta hoon...
Syahi ki darkaar hai,
Shabdon ki to kami nahi,
Jo kalam mein syahi bhari hui,
woh pannon pe meherbaan hai....
Jul 13, 2019
Jul 13, 2019 at 5:07 PM UTC