Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
neerajsoni Dec 2014
usne pucha tha meri udasi ka sabab,
mene kaha
wo aaine me tasvir ubharti he fir fanna kyu **
jati he,
usne pucha tasvir kiski dikhai deti he tumhe,
mene kaha
na uska naam he na pata fir bhi apna sa lagta
he,
usne kaha kuch guftagu bhi kar ti he tasvir
aapse,
mene kaha
ha magar alfaz nahi hote uske ankho se baat
karti he.
usne kaha kya kehti he uski ankhe mujhe bhi to
kaho
mene kaha
uski ankho me mujhe pyar nazar ata he
unkahi baato ka izhaar nazar ata he.
usne pucha kya ikrar kiya he tum ne usse
mene kaha
me to karta hu koshish-e-ikarar karne ki magar
inkar hi ajata he
usne kaha bade hi wo ** tum ikraar se darte **
mene kaha ikrar se bhala kon darta he me to bas
pyar se darta hu
me to bas pyar se darta hu
nk
udasi ka sabab
Ankit Dubey May 2019
Tum bheegna chahti thi baarish me hanth me hanth pakadkar,
Tum aana chahti thi jindagi me meri khushi bankar,
Chahti thi tum kabhi k mai tumoo baahon me bhar loo,
Sona chahti thi tum mere seene pe sar rakh kar,
Kha tumne hi ek din tha k tham lo haanth tum mera jindagi bhar k liye,
Mujhe bas apna bana lo tum aane vaale har pal k liye,
Har baar dil ko mere sunahre sapnr dikhaye tumne,
Kabhi mere haanthon ko choomkar to kabhi hanthon me haanth pakadkar,
Inkar tumko bhi nahi tha k tumhe mujhse mohabbat hai,
Sirf mujhko hi nahi tumhe bhi mujhse utni hi mohabbat hai,
Tumhar bhi kabhi khwahish thi k baal sanwaroo mai tumhare,
Ungliyon se pajadkar kaan k paas le jaaun sare,
Saath bitayen jindagi baant le har muskurahat aur ansoo aapas me hi saare,
Magar tanha is dil ko ehsaas hua jab toota ye sapna,
Meri khatao se rooth kar rukh mod liya  tumne jab apna,
Ab na baaki rah gayi jafa koi,
Tumhe vaapas bulane ki,
Tum mujhse door ** gayi ** chahat todkar apni,
Tum mujhse rooth jati ** ku vaade bhoolkar sare,
Ijaajat tumne hi di thi tumko satane ki,
Satata aaj b nahu hu,
Khata fir bhi ** jaati hai,
Chalo ek baar aa jao,
Na mujhse door tum jao,
Gunah mere kiye saare ,
Bhulakar dil ki ranjish ko paas aa jao tum mere,
Samajh jao dil ki tadpan ko nigahen mujhse na fero,
Aaajao is baar pyaar me kar le milkar k vaade sare poore,
Jo meri nasamjhi se abhi tak rah gaye adhoore,
Paas tum aa jao mere paas tum aa jao mere,
Ek tum hi to ** meri koi aur nahi kareeb shiva ek pyaar k tere.
I love u
Hrithik Hiran May 2020
Kabhi chale ** un raahon pe
Jinse jude ** qisse kaafi tumhaare
Jin raahon pe hasi mazaak ki thi doston ke sang
Unnhi raahon mein tumne bhare the woh yaadon ke rang

Kabhi socha na tha ki
Akele bhi chalna padega kabhi
Goonjti hai woh awaaz tumhaari
Jab bhi chalta hu un raahon parr
Peeche mudke dekh bhi leta hu kabhi
Ke mehez dikh jaaye parchayi tumhari
Parr dikhte toh woh adhoore waadein he hein
Bebas karr rakhe hein mujhe jinhone

Woh baarish..woh dhoop
Sabka kiya tha saamna
Jab haath tha tumne mera thaama
Kya Yaad hai woh fool
Jo tod laayi thi tum uss ped se
Mere yaadon ke Gulshan mein
Khila hai woh fool kabse
Hasrat toh dekhiye
Woh ped bhi na sambhal paaya
Mujhe akela dekhkar
Woh bhi murjhaaya

Yahin chalte waqt kaha tha na
Ki chodogi nahi yeh haath kabhi
Chaahe fariyad ** jaaye humse harr koi
Tumhaare usi saath ki khoj mein hu
Jise laga liya tha apne rooh se kabhi
Sahi kaha tha uss shaks ne ki
Manzil nahi raahon mein junoon pao
Kyunki manzil toh pahuche he nahi the ke
Bewafa karr gayi mujhe uss raah pe akele
Kabhi Chalke dekhna
Inhi raahon pe akele
Yaad karna woh beetein hue qisse
Aur ** sake toh mudke dekhna
Dikhunga mein usi mod parr
Jaahan chod gayi thi mujhe..karke inkar
Kyunki badal liye tumne apne raahein
Jo kabhi samajh na paayi
meri yeh fitoor nigaahein
Some roads remind you of that special someone... This is about one such road... (Hindi)
Ravin Jul 2018
Cahtee hai tujhko is baat se inkaar kyon kere hum..

Galati tere nehi hai, aur sahi hum bhi nehi hai, magar,
Ek kasmakash chalti hai dil aur dimag kee beech, hum chaa ker bhi dil ki suun nehi pate, is baat se inkar kyon kere hum..

Bhoola dena chatee hai tujhko magar nehi bhula patee, is baat se inkaar kyon kere hum..

Ek namee sii aye hai ankho mai phir bhi muskurate hai tere samne, is baat see inkar kyon kere hum..

Hume lagta hai kii tere bina naa jii sakenge, magar khud se yee izhaar kyon keren hum ..

Mana tujhe kho diya magar khone ka ehsas kyon keren hum..

— The End —