Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Bvaishnavi Apr 2022
Bachpan se tha laadย ย pyaar,
Sab mein achhe, imaandaar,
Hum bhi banenge khuddaar,
Sabne kaha bahu samachaar,
Par bahar jaane ka naakar tu vichaar,
Duniya mein bari hai andkaar.


Bachpan se tha laad pyaar,
Clg hogaya ab job ka tha khayaal
Ek dum se nikle the bahar,
Hairaan hogaye dekhkar,
Aise hotha hai dhuniya dhaar,
Na khoi address ka tha patha,
Na koi routes ka idea tha,
Poore shareer ke andhar chah gaya tha dar.

Bachpan se tha laad pyaar,
Junoon tha man mei,
Dhikana tha duniya ko kuch bankar,
Par jab aayi naukri ki baari,
Paani paani hogayi confidence saari,
Zor zor se padgaye thaane,
Aakhir kyu aati ** tum kamane.
Jo bachpan se thi perfect,
Uspe padgayi daant ka effect,
Mote mote nikalgaye aasu,
Rou bhi na toh kya karu khasu.
Rone ki humpe lag *** tag,
Sabko jaise bangayi mazak.

Kehne ko aazad hai hum,
Abhi bi hai laachari ki gum,
Aasan nahi hotha yeh sehna,
Mazak banake na rakdo,
Mere bhai aur behna.
This was just a small part of the problem.
Bvaishnavi May 2023
"Kaash yeh kal kiya hotha",
Yeh iss subah ka pehla kayal tha,
Aur aaj koshish yahi hogi,
kal yeh phir na sochu ki,
"Kaash yeh kal kiya hotha."

Translation:
"I wish it had been done yesterday".
It was the first thought of this morning,
And today's attempt will be
to avoid,
Making tomorrow's thought,
"I wish it had been done yesterday.
Bvaishnavi Jul 2023
Pata hai jab tum mile,
Pehli baar aisa aehsas hua,
Aise sunn ne waala hi toh chahiye tha,
Pehli baar sunne ka nahi baatien karne ka mann hua,
pehli baar aise gajab ke jawab dekne mile,
Aur tumne bhi toh kahan ki tumhe bolna bohot pasand hai,
Aur sunn na kam, par phir bhi mere baatien sunn na pasand karte the tum,
Abb Phir bhi tumse dil na lagau, yeh kahan se moomkin hotha,
Din bhar har cheez se aise juda diya tumhe,
Haan agar aaj baat hogi toh yeh poochungi usey,
Abb din bhar bas tumhari yaadien satate hai,
Woh saare cheej jinse tum jude **, raat bhar rulate hai,
Aur tum toh aise ghumshuda hogaye,
Jaise kabhi kuch hua hi nahi tha.
Kya tumhara koi kasoor bhi hai,
Yea yeh aehsaas sirf mere the,
Bohot dar tha ek tharfa pyaar se,
Abb toh hum usi mai barse.
Bvaishnavi Jul 2023
Tharas kya hai,
Inn aankhose poochiye,
Aap ki ek nazar ke liye,
Aap ki ek jawab ke liye,
Aap ki ek muskurahat ke liye,
Har ek pal main barason bithadiye,
Neendh na chaha, na chaha koi aaram,
Bechare to besabar hogaye,
Lethe hi aapka naam,
Sabar se besabar hona,
Kushi mai bechain hona,
Aadat hai innhe,
Taras kya hotha hai,
Zara poochiyega inse.

— The End —