Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Fasana bayan kr raha hoon apni rooh k hoslo ka..
Mujh gareeb..nacheez ko manzilo ka nishan mila..ye karam tha mere kuch azeez doston ka

Apne hoslo k dum pe.. Jhoojhta raha Zindagi se.. Main subah shaam.. din raat..
Hunar ki kalam se hi likhoonga apni taqdeer..Jigar me dhaan li thi ye baat

Zakhm khata raha Dil par bahut waqt tak.. Walid ka kaha maan kar..
K baccha bana rahega toh bacha rahega..saare sabak zeher ki tarah peeta raha..sabhi ko apna maan kar

Seekhne ki koi umra nahi yaaro.. Har pal ye zindagi naya sabak seekhayegi..
Dil khol k jholi bhar lena..jeewan roopi kashti yehi paar lagayegi

Mushqil daur me kai martaba mehsoos ki.. Maine khuda ki maujoodgi apni bagal me..
Uska sehlana..mere sir aur meri kamar me..
Kandha numa sirhana diya kai dafa usne sisakti rooh ko..
Dilasa diya..Tujhe mazboot banane ko imtihan le raha hoon tera intaha tak..Tu hosla rakh..Main hoon toh!

Waqt ne bhar diya sabhi zakhmo ko marham bankar..
Namak jo baha tha aakhon se..woh mere pairo ki zameen..sir ki chat ban gaya hai chankar
Har pal shukrana karta hu khuda teri rehmat ka..
Dua kubul krta hai tu sabhi ki apne dar pe..karz hum adaa kr nahi sakte..teri is zehmat ka

Meri sabhi doston ko ek maskeen hidayat hai..
Kissi bhi cheez se Insaani zindagi ki kimat kam hai..kyu issi ki bahutayat hai..
Manzilo ka nasha hai toh chamkao apne hunar ko is kadar..
Jhuka do un sabhi namurado ko..lage honge jo hosle **** karne tumhare..zindagi ki har dagar par😊
Nitesh Sharma Jun 2018
Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
Har Rishte se Upar hai, tera Saath mere liye,
Bas Esi Tarah Zindagi Bhar tujhe Pyar karta Rahunga,

Tere Pas hone se, Mere Pas Sab kuch Hai,
Har Dukh, Har taklif Mujhse Door hai,
Bas Tujhe Khush Dekhna Chahta hu Hamesha,
Tere Sath Rehna Chahta Hu Hamesha,
Ye Choti si Zindagi hai, Choti si Duniya hai,
Jo tu hai to Sabkuch hai, warna mera kya yaha hai,

Bas Saath Dena mera, ye pyar me Zindagi bhar Nibhaunga,

Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,

Zindagi Aasan nahi, Yaha chalna bada Mushkil hai,
Hosla mat Harna, Chalte Rehna mere saath yahi Zindagi hai,
Kuch Tum chalo, kuch me chalu Bas esi tarah Aage Badhte Rahe,
Tum mera or me tumhara bas esi Tarah dono 1 dusre ka saath dete Rahe,

Zindagi Bhar me bas tumhe or tumhe he chahunga,

Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
Muhammad Khalid Khan
December 14, 2018 ·
Ghazal
Tum kaho to main bus wahan rakhon
Itnay dil main kahan kahan rakhon
Hay sanam khaana ye jahan sara
Tum kaho main zuban kahaan rakhon
Husan nay hosla barhaya hay
Ishq ko kiyun na darmian rakhon
Ang ang main charagh jaltay hain
Hain andheray kahaan kahaan rakhon
Hay Bhanwar main ye zindgi saari
Kia main kishti main badban rakhon
To mujay mil gia tha rastay main
Pass kiyun ab main do jahan rakhon
Zard sahra main hay safar sara
Sar pa phir kiyun main aasman rakhon
Umar sa kaisa lena dena hay
Dil ko aye jan na kiyun jawan rakhon
Sath hain teray shahr bhar ka log
Dil ko main kitna bad guman rakhon
Mehr dushman howa jahan sara
Bolo janaan ko main kahaan rakhon
Colonel Muhammad Khalid Khan
Copyright 2018 Hath Main Hath
Akta Agarwal May 2021
Sapno ko pura krne ki thaan lene aashaan h
Pr apni becheniyon s larna muskil
Wo ek khauf hota h
Jo brte kdm ko thaam leta h
Wo becheni, ghabrahat kisi anhoni ki dastakhat si hoti h
sapno ko pal m chur kr jo deti h
pr khwaisho ko puri krne ki taqat usse kae bdh k hoti h
Jo manjil tk rukh mor hi deti h
yh becheniyon s aage bdh
sapno ko pura krne ka hosla jga deti h
SHIVANI R May 2019
Sir jukh gye hai apno ke
Aaj meri bhi pariksha hai
Aasu tho bhut bhay gye
Or hosla bhi tut sa  gya
Ab karna hai  koch asa
Ki vo jukhy sir fr utha jye
Ab karna h koch asa ki
Vo aasu bhi ab Kushi ke aaye

— The End —