Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
AWAIS HABIB Sep 2019
XVI
Mn kis rasty peh chala mj ko ilm na huwa
Kis makaam peh ja poncha mj ko andaza na tha

Phr b ik umeed hai nazro mai baki
K daiku ga zrur, mn kirno ka aruj

Ye dunya or is k kissy khatm hony waly to nahe
Pr jo khatm hona hai wo hai wajud apna

Ab ye b nahe k haar gaya *** zamany sy mn
Bs na jany kb sy khamoshi ka mn pasnd bn gaya

Ye kahani hai ik ujrhy huwy gulshan ki
Jis ki bahar ko ik zamana beet gaya

Khair hoti rahy gi ye baaty b sath sath
Kabi tum hmko yaad krna tamasha e rozgaar mai....

— The End —