"hasana" poems
Ek muskaan sa ek saath sa
Bhai hai wo is naadan ka
Har pal har ek pal jisne haathon ko thame rakha
Durr hokar bhi jisne zindagi bhar ka saath rakha
Naa chahte hue bhi jisne
Humari har ek jarurat ka khayal rakha..
Wahi toh h ek muskan sa ek armaan sa
Pyaara bhai h wo is nadaan ka
Baaton ki gudgudi se hasana
Ruthne par haskar manana
Pal pal ki khushi se
Naa jaane kitne ka din banana
Haa muskan sa, nahe khawaab sa
Bhai h wo is naadan ka
Is naadan ne bhi socha na tha ki aisa bhi hota hai
Koi itna durr hokar bhi itni saralta se apnata hai
Chand baaton se
Kisi anjaan ko apna bananta hai
Ek muskan sa, hamesha rahe muskan sa
pyaara pyaara bhai h wo is naadan ka.....
Aug 30, 2018
Aug 30, 2018 at 2:28 AM UTC
baat wo jaani pehchaani thi,
school ki wo kahani thi.
subah uthke wo school ko jaana,
waha jate hi teacher ki daant khaana.
class mein chhup ke tiffin khaana,
or har galti par naya bahana.
class mein roz halla karana,
or galti khud ki pe dost ko fasana.
fir chup2 ke dost ko hasana,
usse kehna zara chehra toh dikhana.
pal haseen ye kahin gum se gaye,
ab hum sab alag hogye.
class wo humari ek kamra ban gyi,
or baatein humari yaadein ban gyi.
firse doston ka mela hum lagaynge,
par wo school ke din waaps na aynge.
Riya
Sep 28, 2018
Sep 28, 2018 at 6:12 AM UTC
Mujse ye zamana chahta hai;
Mera dill tod kar mujhe hasana chahta hai.
Jane kya baat jhalakti hai mere chehre se;
Ke har shakhs mujhe aazmana chahta hai.
Jul 7, 2019
Jul 7, 2019 at 11:53 AM UTC