Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Nitesh Sharma Jun 2018
Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
Har Rishte se Upar hai, tera Saath mere liye,
Bas Esi Tarah Zindagi Bhar tujhe Pyar karta Rahunga,

Tere Pas hone se, Mere Pas Sab kuch Hai,
Har Dukh, Har taklif Mujhse Door hai,
Bas Tujhe Khush Dekhna Chahta hu Hamesha,
Tere Sath Rehna Chahta Hu Hamesha,
Ye Choti si Zindagi hai, Choti si Duniya hai,
Jo tu hai to Sabkuch hai, warna mera kya yaha hai,

Bas Saath Dena mera, ye pyar me Zindagi bhar Nibhaunga,

Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,

Zindagi Aasan nahi, Yaha chalna bada Mushkil hai,
Hosla mat Harna, Chalte Rehna mere saath yahi Zindagi hai,
Kuch Tum chalo, kuch me chalu Bas esi tarah Aage Badhte Rahe,
Tum mera or me tumhara bas esi Tarah dono 1 dusre ka saath dete Rahe,

Zindagi Bhar me bas tumhe or tumhe he chahunga,

Kadam Kadam Tere Saath chalunga,
Har Kadam tujhe Apna Kahunga,
Dharmendra Kumar Jul 2020
Aankhe bhi nam
Man bhi udaas
Bas yahi nahi pata kya chahta hai dil

Kuch apne me hi uljha raha
Dekhta raha neela Aasmaan
Bas yahi nahi pata kya chahta hai dil

Vakt thoda kathin hai
Manjil bhi dur hai
Uljha hu apne hi sabdo se
Bas yahi nahi pata kya chahta hai dil

Harna hai nahi
Jeet bhi muskil hai
Bas is sawalo ke jabaab me laga hai dil

Aasha hai fir uth jaoonga
Fir naya ban jaoonga
Thoda baki hai
Bas hai nazdeek manjil ke mera dil
I am motivated
Warda Kashif May 7
Agar zindagi zakhmon se bhari hai tu
wagt ko marham banana seekhlo

Aur Mout se ek din hum sab ne harna hai
tu kyu na pahle zindagi se jeetna seekhlo

— The End —