Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"hansta" poems
Aa ab laut chalein apne ghar Aa ab laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha teri shetaniyon ka manzar tha Jaha pyar ka samndar tha Jaha thak kar sona ata tha Jaha har kona muskurata tha Jaha beeta har din yadgaar tha Jaha ka har pal suhana khwab tha Aa laut chalein apne ghar ab bht taay kar liya yeh safar jaha khul kar tu bhi hansti thi jaha muskura mein bhi leta tha jaha teri badmashiyo mein bacha me bhi bann leta tha jaha naachti tu thi aur jhumta me tha jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha jaha na kabhi dur hone ka dar na adhuri koi aas thi jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi jaha rote rote hans dete the hum na koi fikar ki bat thi jaha ghanton batein karte the hum ghadi ki sui na humare sath thi Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha tera kam se ana tha Phr mujhko gale lagana tha Jaha teri bematlab ki baton me Mera kahn gum hojana tha jaha har sapna jee rahe the hum jaha nahi thi kisi ki koi sharam jaha dikhawa koso tak na tha har jagah tha bass pagal pan Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar jaha jhagde bhi suljhe se the jaha ansun bhi uljhe se the jaha hothon pe muskan bhi thi jaha ankhein kuch naadan bhi thi jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi jaha lori ki chankar bhi thi jaha ghungru si tumari payal bhi thi jaha kangan ki awaz bhi thi jaha hansta hua tera chehra bhi tha jaha ghurti meri ankhein bhi thi jaha band woh darwaze bhi the jaha do **** ek jaan bhi the Aa laut chalein na apne ghar waqai bht lamba ** gaya yeh safar.... waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!! ..
0
Oct 29, 2020
Oct 29, 2020 at 10:05 AM UTC
Aa ab Laut chalein apne ghar...!!

Continue reading...
52
Har ek nadiya ke hoto pe samandar ka taraana hai, Yaha fariyaad ke aage sada koi bahana hai…! Wahi baatein purani thi, wahi kissa purana hai, Tumhare aur mere bich me phir se jamana hai…!! Kalam ko khhon me khud ke dubota hoon to hangama, Girebaan apnaa aansu me bhingota hoon to hangama, Nahi mujh par bhi jo khud ki khabar wo hai jamane par, Main hansta hoon to hangama, main rota hoon to hangama.
0
Feb 5, 2015
Feb 5, 2015 at 9:08 AM UTC
Hungama
Ehsaas kay dareechay main Baynaam sa aik shahar basta hai Har roz wahan log uth-tay hain Qaroobar kay hangaamon main Koe mun dho kar nikalta hai Koe bay- awaz surr pay sarr dhunta hai har roz wahan aik kahani hai Jo tmhain mjhay sunani hai Har saa-at wahan aik tamasha hai Jo rukta aur shaur machata hai Raat ki taareeki main Jab sab thak kar laut aatay hain Apnay **** ki thakawat ko Wo  khawaboon kay ka-andhay utartay hain Aur yunhi so jatay hain..... Ehsaas kay dareechay main Jo aik bay- naam sa shahar basta hai Uss basti ki sab hastion main Chupa bacha din bhar hansta hai Aur shab dhalay, sarhanay mun day kar rota rahta hai.....
0
Nov 14, 2018
Nov 14, 2018 at 1:55 PM UTC
Shab bhar!