Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Nirvana Jun 2015
Jo puraani yaadon mein zindagi dhundha kartey hai
unhe sirf do pal ki muskurahat naseeb hoti hai
aur phir umar bhar ki tanhai
ek aisi tanhai jaha hum bhari mehfil mein bhi akele ** jaate hai
aur adhura pan bhi hamein pura lagne lagta hai
ek aisi manhoosiyat dil pe cha jaati hai Jo chahe bhi mit nhi paati aur vo yaadein bhulaaye bhi bhula nhi paate reh reh k **** mein gade kaante ki tarah dard diye jaata hai
aur hum hans hans kar ise taal diya karte hai  kyun ki shaayad mukaddar ko yahi manzur tha


kya shikva hum kisi aur se kare
jab manzil hi humse Ruth gayi

Jo naayab tohfa khuda se mili
haatho se yun choot gayi

vo toot k bikhri aur kinare par jaa Giri
aur kashti humari doob gayi
P.S. - well Hindi shaayari or writing is not my field/area. it all happened spontaneously. just got nostalgic of few memories and later (series of thought) is present here...¡¡¡
Alisha Patel May 2014
Nahi hota kisi tabib sy is marz ka ilaj,
Ishq la ilaj ha bas ahtiat kijiye...!!!
--------------------------------------------
Bewaja nahi rota ishq mein GHALIB,
Jisy khud sy barh ky chaho woh rulata zaroor ha...!!!
--------------------------------------------
Sukoon aur ishq wo bhi dono aik sath,
Rahny do GHALIB koi aqal ki bat karo...!!!
--------------------------------------------
Misl shesha hain hamein thaam ky rakhna GHALIB,
Ham tery hath sy choty to bikhar jaein gy...!!!
- See more at: http://tinyurl.com/q2du94e
Mirza Ghalib was a great poet of India.
Bvaishnavi Mar 2021
Kya hai yeh khayalaat,
Jin pe beeth jaathi hai raatein,
Kaun kaat tha hai wakth,
Chaand-sooraj ya gadhi ke ye kaantein,
Sab soch teh hai -kya hothi hai yeh zindagi,
Lo aaj hum bataatein hai,
Zindagi tho kuch nahi ahem tho hai ye mulaakaatein.
Ek mulaakat hai woh,
Jo aksar aathi-jaathi hai,
Jo hamein thod thi hai rulaathi hai,
Woh mulaakat jo hamari har pal ko inthekaam banathi hai,
Aur dhoosri hai woh,
Jisse milne ke liye tarasthi hai sab ki aanke,
Zindagi nahi hai sirf din aur raatein,
Ahem tho hai yeh dho mulaakaatein.

— The End —