Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Syed S M Tabish Mar 2014
Main Aur mere roommates
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Ghar saaf hota to kaisa hota
Main kitchen saaf karta, tum bathrooom dhote
main hall saaf karta, tum balcony dekhte
Log is baat pe hairaan hote
aur us baat pe haste….

Main aur mere roommates,
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Yeh hara bhara sink hai
ya bartanon ki jang chidi hui hai
Yeh colour full kitchen hai
ya masalon se holi kheli hai
Hai farsh ki nayi design
ya doodh, beer se dhuli hui hain

Yeh cellphone hai ya dhakkan,
sleeping bag ya kisika aanchal,
ye airfreshner ka naya flavour hai,
ya trash bag se ati badboo
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut
ke heater phirse kharab hua hai
Yeh sonchta hain roommate kab se gum sum -
Ke jab ke usko bhi yeh khabar hai
Ke machar nahi hai, kaheen nahi hai
magar uska dil hai ke kah raha hai
machar yaheen hai, yaheen kaheen hai !

Toand ( pet ) ki ye haalat, meri bhi hai, uski bhi,
dil mein ek tasvir idhar bhi hai, udhar bhi
Karne ko bohot kuch hai magar kab kare hum
Kab tak yoon hi is tarah rahe hum
Dil kahta hai Safeway se koi vaccum cleaner la de
ye Carpet jo jine ko zoonz raha hai, fikwa de
Hum saaf rahe sakte hai, logon ko bata dain,
Haan hum roommates hai – roommates hai – roommates hai

Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi..

Sab ko bata dain..
Aakhir kyu

Beti puchhe babulse , " mei kyu parayi?"
Uski ye haalat dekh ke kayanath bhi sharmayi.
Na mei  pihar ki, na sasural ki.
Babul bata mohe, mei aakhir kahaki?

Vidai ke waqt; tune  kar di mohe parayi;
Kisine ne jaani mere dukh ki gehrayi.
Aaj tere jaane ke baad to, ne ghar ki , ne ghat ki.
Bas khed hei mujhe is baat ki .

Sasuralwale kahe," tera pihar;"
Yeh soonte hi  jau mei sihar.
Sochu manhi man mei; kaunsa pihar !
Jaha aaj apna koi nahi  hei; woh pihar  !

Niyati ka khel hei yah kaisa?
Pihar **, ya sasural; dekhe harkoi paisa.

Kis se kahu mei dil ki peed ?
Akeli hu; bhale ** chahu aur  bheed.
Paav mere tune baandh di janjeer.
Aakhir kyu, aisi meri  taqdeer ?

Armin Dutia Motashaw
Aakhir kyu

Beti puchhe babulse , " mei kyu parayi?"
Uski ye haalat dekh ke kayanath bhi sharmayi.
Na mei  pihar ki, na sasural ki.
Babul bata mohe, mei aakhir kahaki?

Vidai ke waqt; tune  kar di mohe parayi;
Kisine ne jaani mere dukh ki gehrayi.
Aaj tere jaane ke baad to, ne ghar ki , ne ghat ki.
Bas khed hei mujhe is baat ki .

Sasuralwale kahe," tera pihar;"
Yeh soonte hi  jau mei sihar.
Sochu manhi man mei; kaunsa pihar !
Jaha aaj apna koi nahi  hei; woh pihar  !

Niyati ka khel hei yah kaisa?
Pihar **, ya sasural; dekhe harkoi paisa.

Kis se kahu mei dil ki peed ?
Akeli hu; bhale ** chahu aur  bheed.
Paav mere tune baandh di janjeer.
Aakhir kyu, aisi meri  taqdeer ?

Armin Dutia Motashaw
Akta Agarwal May 2021
Mausam bsh aate jata h
Kbhi khusiyon ki bahaar lata h
to kabhi aanshuon ka sehelab
Kbhi mithi si muskaan
To kbhi udasiyon ka toofan
Jo saari khusiyon ko apne saath bha kr le jata h
Mausam to bsh bdlne ka naam hota h
Wo kbhi v smaan nhi rhta
Qki esh jagat ka ek maatr sch h bdlaao
Chahe wo bdlaao mausam ka **, waqt ka **, haalat ka **, taqdeer ka ** ya fir khudh insaan ka
Jese sardi k waqt kmbl ki garmi ka jarurat hota h
pr garmi K waqt wo jarurat bdl jata h
Tik wese hi insaano k mijaj m bdlaao aata h or unki soch m v
Jo waqt K saath nhi bdlte wo piche hi rh jaate h
Kehene ka arth bsh etna h badlaao zindagi ka mull aadhar h
Or mausam v usse pre nhi h
haalat e Dard mein
khud Ko bhi nahi keh pata
isliye ..
Juda hu khud se...
pagalpan aur Awarapan me
...
Ek awaaz pyaar ki
Tadapta hu sunne ke liye
...
Aur raaton ki neend
Ko bhula deta hu
Bekaari me
Sharaab
ki
aadat me



..
.
Sanmeet K Sethi Jul 2020
Saal 2020 laya hume aise mod par,
Kitna bhi kosslein hum ise...
Achi baat yeh hai... isne rakha hume jod kar,
Mahamaari nahi! hai yeh humara Karma...
Kyuki jee rahe the hum... Saare kayde tod kar,
Haalat nahi hain bass mein...
Kyuki yeh saal laya hai humare saare paap nichood kar,

Jitne bhi zulm kiye humne prakartee pe...
Jalaya jungaloon ko... bandi kiya janwaro ko,
2020 lega badla bhejke aise bhanwaro ko,

Abhi bhi bohot waqt hai baaki...
Theher jao apni jhaga par,
Warna yeh Corona hai...
Chhodega hospital bhaga kar.

By Sanmeet K Sethi
Insta:- @sks__quotes
This poem is in Hindi language, So I hope there are some Indians on this website to read these.

— The End —