"gumo" poems
Aate hai farishtey bankar,
Rehte hai har waqt haath thamkar,
Milta Hai anmol dosti ka vardaan jise,
Phulo se sazakar rakhna use,
Aate hai anzaan bankar,
Rahte hai dilon jaan bankar,
Sari hasratey pure ** jate hain,
Jab wo pyare dost muskurate hain,
Gum ke sagar mein dubne na dete
Khushiyan ka paigaam hain bhejte
Zindagi jeene ka maksad btate
Pyaara sa sansaar hai chahte
har pal ko khushnuma banate,
Sahi galat ka ehsaas karate,
Jo gumo me bhi saath nibhate hai,
Wahi sacche dost kahlate hai,
Khuda kasam kya khubsurat rishta hai dosti
Phulo se mehakta bagicha hai dosti
Yaaron ke bina adhuri hai zindagi
Zindagi jeene ki wajah h dosti
Written By
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
Oct 13, 2017
Oct 13, 2017 at 8:59 AM UTC
Teri khubsurat tasveer ko churane ko mann karta hai,
Tujhe dekh teri tasveer me muskurane ko mann karta hai,
Churalu mai tere sare gumo ko,
Phir se mujhe usi pyaar me kho jane ko mann karta hai,
Tujhe apna banane ko mann karta hai,
Tujhe duniya se chhupane ko Mann karta hai,
Na lag jaye tujhe duniya Ki nazar,
Khud kajal ban Teri aankhon me bas Jane ka Mann karta hai,
Bhawra ban phir se gungunane ko Mann karta hai,
Pawan ban tere baalon ko udane ka Mann karta hai,
Hamesha rahu mai tere pyare hothon par
Banke ek pyari si dhunn tere hothon se gungunane ko Mann karta hai....
Sep 24, 2017
Sep 24, 2017 at 10:53 PM UTC
aaj..., aaj hasi hu mai
hasi hu is kadar
ki rona aa gaya..
Shayad apne haalaat pe
ya apne jazbaat pe
malum nahi..., par
aaj hasi hu mai...
Bhool *** thi muskurana is kadar
kyoki muskurahat hi haalato ki gulaam ** *** thi..,
par aaj hasi hu mai...
Hasi hasi me tujhko hasa diya
hasi hasi me kitne gumo ko chupa diya
hasi hasi me bol diya sab kuchh
ki haan..., Akeli hu mai...
Par kaha akeli hu mai??,,
Hai mere pas sab kuchh
zimmedariya zaruratey umeedein
kaha akeli hu mai...,
Itni bheed me chali jaa rahi hu
fir bhi khud ko akeli paa rahi hu..
Akeli hu mai yaha
nahi kisi ko mujhse vaasta..,
bhoola diya hai sabne ab
meri or ka raasta..
Akeli hu par khush hu mai..,
khush hu mai kyoki ab hasti hu mai...
May 12, 2021
May 12, 2021 at 1:44 PM UTC