Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Mar 2018
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar,
Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar,

Vidai ka hota hai ye kaisi bela,
Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela,

Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal,
Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal,

Bahut si yaadein  chhoti aankho me sajaye hue,
Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue,

Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali,
Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali,

Jahan  pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod,
Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar,

Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya ,
Aakhir kisne ye  riwaz banaya ,

Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan ,
Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan ,

Waqt ka kaisa hai ye dastoor 
Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur ,

Chali hai aaj papa ki gudiya ,
Chhodhkar apne aangan ki nindiya, 

Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan ,
Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan,

Babul ki laadli kab ** gayi badi,
Aayi hai dil ko chhune wali ghadi,

Jis  ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi,
Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi,

Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya,
Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya,

Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar,
Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar,
Babul ka ghar.........

Composed by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
For Sonia Paruthi creations visit
Hellopoetry.com/SoniaParuthi
Ankit Dubey May 2019
bojh palkon k niche chupaun kitna,
tumhe bhulaun kitna tumse door jaun kitna,
tum aa gayi ** to mai samhal jaunga,
na chodkar jao mai ab na rah paunga,
tumhe mai aur chahunga tumhe mai aur chahunga...
tum hi har taraf ** mere,
nahi dikhta koi chehra,
tum choti c gudiya meri,
mai tumme simat jaunga,
tumhe pyar karunga tumhe mai aur chahunga,
na door tum jao na chodkar jao,
ab door tumse mai ek pal bhi rah na paunga,
tumhe mai aur chahunga tumhe mai aur chahunga.....
tumhi to khwab ** mere,
tumhi jine ki hasrat **,
tumh mai kho nahi sakta,
door mai rah nahi sakta,
tumhe kaise bhukaunga,
bina tumhare ji na paunga,
tumhe mai aur chahunga, tumhe mai aur chahunga...
meri tum aarjoo **,
meri har tamnna **,
chohton me tum meri **,
bandagi bhi tum meri **,
mera ehsas tum hi **,
mere jine ki khwahish **,
tumhe mai aur chahunga tumhe mai aur chahunga...
tumhi meri ibadat **,
tumhi meri rahgujar **,
meri tum rahnuma bhi **,
mere dil ki kavayad **,
mujhme tum aise bas jao,
kabhi na tumko bhulaunga,
mai tumko aur chahunga mai tumko aur chahunga....
har ehsaas dhadkan ka,
har ehsaas tadpan ka,
machalta meri dil bhi hai,
tadpta mera dil bhi hai,
kaise mai paas aa jaun,
kaise mai bahin me bhar loo,
kaise mai yaad na aaun ,
kaise mai door jaunga ,
na tere bin rh paunga,
tumhe mai aur chahunga tumhe mai aur chahunga....
i love u sh.....  plzz nvr leave me.
Shrivastva MK Mar 2018
Jis phul ne koi galati hi nahi ki, Use kis baat ki saza diya ja rha hai,
Es duniya me aane se pahle hi kyu use maar diya ja rha hai,

Ai Khuda kyu aise janwar ko tune banaya,
Ek chhoti kali ko pet me hi maar khud ko insaan btaya,

Na maaro us phul ko jisme us bhagwan ka hai waas,
Ek din aisa aayega jab ** jayega puri shristi ka naas

Arey nasamjh insaan sirf bete ki hi aas lagaoge,
To phir maa, behan aur dulhan kahan se paoge,

Mata-Pita ki galati ki saza us chhoti kali ko diya jata hai,
Ek chhote se andhere ghar me hi use maar diya jata hai,

Wo kali bhi baar baar unlogo se karti pukar,
Hey Maa-Baba mujhe pet me hi mat maar,

Ye duniya ek baar mujhe bhi dikha de,
Apne amrit ki ek ghunt mujhe bhi pila de,


Nanhi si jaan tou hai bekasoor,
Maar kar hi aakhir kyu milta hai pathar dilon ko suroor,

Wo bhi dekhna chahti hai duniya,
Janam lene se pehle hi Jaan gawani padti hai oo gudiya,

Apne hi hathon ukhed dete hai apne hi aangan ka phool,
Kaisa hai ye bereham logon ka usool,

Kismat wale hote hai wo insaan,
Jinki kokh mein dete hain betiyan bhagwaan,

Beti hai ishwar ka hai en anmol uphaar,
Jeene ka us nanhi jaan ko bhi hai adhikaar,

Sharam aati hai logo ki is ghatiya soch par,
Taras aata hai unpar
Jo apne hi ansh ka dete hain maar
Devi ka karte hain jo tiraskaar,

Banao ek naya usool
Beti ko karo qubool

Jeevan ka hai ye adhaar
Banta hai inhi se sansaar,

Likh us phul ka dard hamari aankhen bhar aai,
Teri banai duniya me O mera khuda ye teri kaisi khudai..
Ye teri kaisi khudai...


Collaboration by Manish Shrivastava and Sonia Paruthi
Pankaj Thakur Sep 2017
"Hawa sang chalna seekh gayi **,"
Thora pankh faila udna bhi seekh jaoge,
Jra azma ke deakh khud ko,
Zindgi ka matlab seekh jaoge.
Khush hoon jaan ke tum logon ko,
Padna seekh gyi **...

Thodi himmat rakh ,
Honsle ke kami nahi tujh me,
Sar utha ke chala kro,
Tumhe darna nahi kisi se..

Tum bholi si nanhi si,
Payari si thi,
Mma papa ki gudiya dulari si thi,
Ankhon main anshoo a jate unki,
Jab tum rote rote so jaati,
Unki ladli payari si tum...

Na jaane kab unki gudiya badi ** gayi,
Unhe pata bhi na chala,
Jiin hathon main kheli  unhi se
vida ** ke chal bhi bdi...

Kya hi zindgi tumhe mili hai,
kuch pal rahi mma papa sang,
Begane aye tujhe le gye,
Tere mma papa ko anshoo de gye...

Hansti kehlti papa ke dil ka taara thi tum,
Kuch khelne ko na hota,
To papa ki peeth ki sawari thi tum...

Papa ki beti aaj badi ** gayi hai,
Kl thak jo roti lagti nanhi si,
Bechari si thi ,
Aaj mma ki vo ladli sayani ban gayi hai...

Gairon ko rehne de,
Papa ka sar na jhukana kabhi,
Bde laad payar se rakha hai tujhe,
kabhi rulana na unhe...

BEti tu lout ke jaldi aana
tera intazar rahega,
Teri maa royi to main sambhal lunga,
Par tere papa roye to.
tere siva koi chup karvane nahi ayega...
Akta Agarwal Jun 2021
Q?
Sabse choti
Sabse piyaari
Ghr m sbki raaj dulari
Kbhi pari to kbhi gudiya
Khke pukare pariwaar hmara
Naam jiska h Akta pyaara
Laad pyaar S
naajo s h pala hme
Sbse choti, sabse pyaari
Jiske bina na hota andhera
nahi ujala
Pr fir q nigam yha v na bdla
q hme khudh s dur h krne ki chah bni
q na niyam hamare liye h bdla
Esh ghr ki laad supari
Na bn saki ush ghr ki ujwari
Praye ghr s jo aae hu
Pr yh q na koe keheta
M paraae ghr ko apnaae hu
Q ush ghr ki pari
k pnkh h cut gaye
Jo unka saath tuta
Q?

— The End —