Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
GHAR KI WO BAHADUR BETI

ghar ki wo bahadur beti, Ma ko wo ankhen kholte hi dekhti.
darr na Ma tu bhi hai kisi ki bahadur beti.

Ma ke anchal ko pakad ke chalti,
main teri parchayi or tu hai mera kal wo isko samajhti,
khilkhilate mahakte phool si wo badi hoti,
anjane loge se hi milte, jhijhakte hue wo sahamti.

Par ab wo beti ki kuch ye thi kahani,
usko ek alag hi dunia hai banani.
sambhal k chal tu beti, galat ** to chup reh to beti.
kyonki Ma-Baap ki hai wo bahadur beti.

Seekh k zindgi ki sachchayi, ek alag dunia hai banayi.
khushi khudme hi dhoondne lagi, bheegi palke yun hi sookhne lagi.

Ma ki parchayi banne ki chah me, aagayi wo bhi pyar ki raah me.
usse rishta yun judne laga, sunhara kal phir dikhne laga.
age kadam darr k badhaya, pyar ne jispe bharosa dilaya.

Ab zindgi ne yun karwat li, kaanch k us rishte me wo tut gayi.
arre darr mat tu hai ghar ki bahadur beti.

ashkon ko wo chupa rahi thi, girte hue kadmon ko sambhal rahi thi,
diye hue zakhmon ko chupa rahi thi, us pyar ko ab bhi dua me mang rahi thi.
bilakhti, sahamti phir kadam ko badha ke kahti
MA, MAIN HU TERI BAHADUR BETI......
Shrivastva MK Jun 2017
Maine paise ke liye insaan ko badalte dekha hai,
Maine paise ke liye insaan ko tadapate dekha hai,
Ye bhagwan to nahi par,
Iske liye insaan ko marte dekha hai,

Maine Paise ke liye kisi ko kadi dhup me jalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko thand me tadapte dekha hai,
Ye grihdata to nahi par,
Iske liye kitno ke Ghar ujarte dekha hai,

Maine Paise ke liye riste badalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko naak ragarte dekha hai,
Ye koi aahar to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin bhojan ke sote dekha hai,

Maine Paise ke liye insaan ko nazaro se girte dekha hai,
Maine Paise ke liye insaan ko aag par chalte dekha hai,
Ye koi Ann to nahi par,
Iske bina insaan to bhukh se marte dekha hai,

Maine paiso ke liye aurat ke kapade utarte dekha hai,
Maine paiso ke liye Ghar me bahu ko jalte dekha hai,
Ye koi vastra to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin kapade yu tahalte dekha hai,

Maine paiso ke liye Bhai Bhai ko ladte dekha hai,
Maine paise ke liye ladki ko sadak par thirkate dekha hai,
Ye koi bhagya to nahi par,
Esse kaiyo ke bhaag badlate dekha hai,
Bhag badlate dekha hai.....
Its my personal opinion about money,if any word or sentence hurts u sorry for that,
We have really seen the real figure of money,and have seen children working in company for money..
Translation available

— The End —