Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"girna" poems
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala usse jo heer samjha to mujhe ranjha bana dala mili mujhko na wo iss baat se shikwa nahi fir v usse pakar v naa paya ajab kissa bana dala ! akela jab v chalta hu tujhe hi saath pata hu jami se aashma tak mai tera ehshas pata hu khudaye ishq ne mujhpe v kya aisa sitam dhaya mai girna v jo chuahu to sada upar hi jata hu ! tujhe mai pyar se dekhhu ya nafrat ka hawala du jo jeevan me bhara ** tam to fir kaisa ujala du mujhe to ishq ne barbaad kar tara bana dala chamakta hu falak par mai jaami ko kya ujala du ! jaami se ashma ka ** safar tu saath chalta hsi bina tere mujhe jeevan v ab abhishaap lagta hai mujhe gum naa judai ka khuda meri yahi sun le naa tu mujhko samajhti hai naa wo mujhko samajhta hai !!!!
0
Mar 12, 2015
Mar 12, 2015 at 3:03 AM UTC
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala
Ek arsaa ** gya h aabaadi dkhte dkhte Ab khushal ped nhi patjhad lubhata h mjhe Ab to there ishq mai khaak hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe Ab suraj ki roshni nhi andhera pyara lgta h mjhe Ab upar Jana nhi girna pyara lgta h mjhe Ab to tere ishq mai raakh hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe Ab to dil m pyar nhi dard accha lgta h mjhe Is bejaan shareer mai khoon nhi nasha acha lgta h mjhe Ab to tere ishq mai taaj hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe Teri ek ek yaad apne ashko se bahani h mjhe Teri ek ek hasi apne gum se chupani h mjhe Ab to tere ishq mai zinda laash hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe Ishq ki maala m vishwas k motiyon ko todna h mjhe Duniya k jhoote riti riwazo ko todna h mjhe Ab to tere ishq mai kisi shayar k labo ki awaz hona h mjhe Ab to bas barbaad hona h mjhe
0
Jan 9, 2017
Jan 9, 2017 at 12:45 AM UTC
Ab to bas barbaad hona hai mjhe
Khair choro ab rahney bhi doh, Beetey wqt Ko jubaa pr aaney bhi doh, Bhut Khel li Khel isq-mohbat ka, Bachpan Ko jra zindagi se rubru honey doh!! Bichurey saal Huey, Na yaad hum aaye na tum, Jaaney kaisey sbhi begaaney Huey, USS gali se kyu anjaaney Huey!! Sidhiyo pr chadhna seekha,sang mitti Mai girna, Dosti ka mtlb ** ya pyaar ka fsana, Hum sabney yhi seekha zindagi ka saath nibhana!! Kya tum bhool gye wo yaadey,wo baatey, Ghr jaaney ke raastey, Barsaat Mai bheegtey,kichad Mai kudatey, Bus ke pichey gulaab liye firtey, Koi kuch khey toh whi adig ** jaatey!! Kitni haseen hai wo yaadey, Bachpan ki baatey, Fir kyu ek dujey se begaaney Huey, USS gali se kyu anjaaney huey,!! Khair choro ab rahney bhi doh, Zindagi Ko Bachpan ki meethi yaado se rubru toh honey doh!!
0
Feb 23, 2018
Feb 23, 2018 at 10:35 AM UTC
Yaadein
Ruk-Ruk kar chalna, girna aur sambhalna, Koi mujhe rokna, jara sa koi tokna…. Wayastata se thora saham gya hu, Dil mein bane apne khali ghar se thora machal gya hu, Koi to jara tokna, thora sa to tatolna... Sapne kahi beshud se pare hai, Chaandani raato mein andhero se ghire hai, Pata nhi kise dhundh raha hu, Ya andheri galiyo mein yuhi ghum raha hu, Der hui par thama to nhi hu, Thora sa bhatak gya par bhula to nhi hu, Kahi kisi ne awaaz lagai hai, Dur kisi ne to roshni jalaai hai.. Jara thori dur sath chalna, thora sa to mujhe samajhna..
0
Oct 29, 2017
Oct 29, 2017 at 1:57 PM UTC
ZINDAGI