Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"ghuta" poems
Wajah bewajah bina baat hi kabhi bas, log rootha kyu karte hain ? Kyu apni hi ummeedon ke tang jaal mein din raat, yun hi ghuta karte hain ? Jaane anjaane hum “humare” “apno” se wada jhootha kyu karte hain ? Zindagi ki daud dhoop mein kuch saathi bante hain toh kuch choota kyu karte hain ? Dilon ke rishte Aksar toota kyu karte Hain ? Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai Kai baar mile aur bichad gaye Bhala majra kya hai ? Iss banne aur sawarne ki Iss tootne bikharne ki Aakhir dawa bhi kya hai ? Hey Nath, Yeh das tumhare charano mein Gira hua hai pooch raha Mera dil hi kahin behaya kya hai Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai Iss bhava bandhan mein phansa hua Meri karun pukaar suno Kukarmo ke daldal mein dhansa hua Kar raha chitkaar suno Davagni mein jal raha Bheesan hahakaar suno Daya karo ab hey Bhagvan Ya ban Narsingh sanhaar karo Aap ki sharan mein ab yeh dushtt Iss neech ka uddhar karo
0
May 23, 2020
May 23, 2020 at 9:44 AM UTC
Prashna aur Prarthana