"ghar" poems
Nikle to hum bhi the ghar se yahi soch kar ki shayad is bar manzil tak pahuch jayenge,
kyunki daudna to unhone hume bachpan mein hi sikha diya tha yeh kehkar,
ki agar nahin bhagoge to woh tumhe peeche chod jayenge.
Daudne ki kuch aisi adat se ** gayi hai ki pair ab rukne ka nam hi nahin lete,
lekin hume kya pata tha ki itna age nikal ane se, apne hi paraye,
aur woh sabhi raste anjane se ** jayenge.
Sabse door rehte hue bhi, in anjanon ki bheed mein woh ek chehra apna sa lagta tha,
lekin woh bhi hamesha kisi aur chehre ki talash mein rehta tha.
Sahi raste ko dhoondhne nikle to the, magar yeh nahin pata tha ki itni jaldi thak jayenge.
Kabhi kabhi to lagta hai ki ab ruk jana chahiye, thoda aram kar lena chahiye,
lekin woh bhi namumkin lagta hai kyunki, ab to sapne bhi ajeeb se ate hain.
Chalte chalte, wade to kafi kiye the is safar mein, kuch unse, kuch apne ap se,
lekin yeh andaza bhi nahin tha ki un sabhi umeedon par pani ferte hue chale jayenge.
Yeh mehsoos bhi nahin hua ki apne hi apnon ke pankh kat chuke the,
talash thi to bas us kandhe ki jo is ladkhadate hue ko sahara de sake.
Fir bhi, dheere dheere is katon ki chadar par age badna hai, dil yahi kehta rehta hai,
kyunki jhoothi hansi ki kuch aisi adat si ** gayi hai, ki ab chahte hue bhi dard ka ehsas nahin hota hai.
Mar 24, 2011
Mar 24, 2011 at 6:01 AM UTC
Yun chala main in raston pe,
Bhool gaya *** khud ko.
Saathi kaun thay mere yaad nahi ab toh
Bas koi dikhta hain door khada,
halkisi muskaan lekar
Aur nahi samjha kyun,
main bhi muskaya aise bina wajah
Par lagta hain ab aise ke,
Shayad wo teri yaad hain
Khoya main apne mein kuch aisa,
Yaaron ka nahi hain pata
Ghar se hoon itna door,
ke ab woh bhi nahi yaad ata
Woh gaana sunta jab,
gungunta use awaaron jaisa tab
Aur nahi samjha main,
kyun gungunaya aisa bin matlab
Par lagta hain ab aise ke,
Shayad woh teri yaad hain
Juda hunye hain hum,
milte nahi hain ab hum
Din guzre,
beete hain ab saal
Zindagi mein main apne khoya, tu apne
Par phir bhi lagta,
shaayad hum milte toh hoti duniya alag
Hoti Manzil ek aur raaste ek,
Aur hota ek saathi,jise karta nahi main sirf yaadon mein quaid
Sep 4, 2014
Sep 4, 2014 at 10:58 AM UTC
Maa ki mamta ko dekh maut v
aage se hat jati hai
gar maa apmanit hoti
dharti ki chaati fat jaati hai
ghar ko pura jeevan dekar
bechari maa kya pati hai
rukha sukha kha leti hai
paani *** kar soo jati hai
Jo maa jaisi devi ghar ke
mandir me nahi rakh sakte hai
wo lakho punya bhale kar le
inshan nahi ban sakte hai
maa jisko v jal de-de
wo paudha sandal ban jata hai
maa ke charno ko chukar paani
Gangajal ban jata hai
Maa ke anchal ne yugo-yugo se
Bhagwano ko pala hai
maa ke charno me jannat hai
Girijaghar aur Shivala hai
Himgiri jaisi unchai hai
sagar jaisi gahrai hai
dunia me jitni khushboo hai
maa ke anchal se aaye hai
Maa kabira ki sakhi hai
maa tulsi ki chaupai hai
meerabai ki padawali
khusru ki amar rubai hai
maa angan ki tulsi jaisi
pawan bargad ki chaya hai
maa ved richao ki garima
maa mahakavya ki maya hai
Maa maansarovar mamta ka
maa gomukh ki unchai hai
maa parivaro ka sangam hai
maa rishto ki gahrai hai
maa hari dubh hai dharti ki
maa keshar wali kyari hai
maa ki upma kewal maa hai
maa har ghar ki phulwari hai
Saato sur nartan karte jab
koi maa lori gaati hai
maa jis roti ko chu leti hai
wo prasad ban jati hai
maa hasti hai to dharti ka
jarra-jarra muskata hai
dekho to dur kshtiz ambar
dharti ko sheesh jhukata hai
Mana mere ghar ki deewaro me
chanda si murat hai
par mere man ke mandir me
bas kewal maa ki murat hai
maa saraswati lakshmi durga
ansuya mariyam sita hai
maa pawanta me ramcharit
manas me bhagwat geeta hai
Amma teri har baat mujhe
vardaan se badhkar lagti hai
he Maa teri surat mujhko
bhagwan se badhkar lagti hai
saare teerath ke punya jaha
mai un charno me leta hu
jinke koi santan nahi
mai un maawo ka beta hu
Har ghar me Maa ki puja **
Aisa sankalp uthata hu
Mai dunia ki har maa ke
Charno me ye sheesh jhukata hu.....
Aug 6, 2015
Aug 6, 2015 at 3:35 AM UTC
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||
Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||
Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||
Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop hai Amma ||
Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||
Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||
**|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||**
Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||
Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa
Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma
Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma
Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Feb 17, 2017
Feb 17, 2017 at 12:39 AM UTC
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia
Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha
Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya
shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi
Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi
hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye
Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye
to be continued ........(next part may be in next week)
Aug 3, 2015
Aug 3, 2015 at 3:04 PM UTC
Payal ki chaan-chaan se chaanke
khanke ban kangan
oos ki bunde hai hum ladki
man hai ek darpan,
Humse hai ghar baar tumhara
humse hai aangan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan,
Ladke hai wo prem ki jisme
hum tasweer sajaate
Haatho ki khalirekhao par
hum kishmat ban jaate
Humshe mahkata hai bachpan
aur sajta hai yowwan
oos ki bunde hai hum................
.........................................darpan
Kabhi geet hai kabhi gajal hai
aur kabhi angaar
Hum khubi se nibha rahe hai
apne sab kirdaar,
Chand sitare choo aaye hum
tood ke har bandhan
oos ki bunde..........
....................dhadkan
Hum hi wo maa hai jisne
iss dunia ko hai banaya
Patni Bhabhi Bahna Beti
ke rishto se hai sajaaya
Mat raundoo hum kalio ko
Mit jaayega Uppwan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan....
(DEDICATED TO EVERY GIRL)
Feb 5, 2015
Feb 5, 2015 at 9:40 AM UTC
MAA
Maa mamta ki phool hai,
maa pyaar ka samundar hai,
badal de dhukh ko bhi sukh mein,
Maa ke andar karuna ka wo bhandar hai,
Maa duniya ki janani hai,
Maa surya ki raushani hai ,
jinke paas maa hai wo nirdhan nahi ,kyoki
maa wo khushio ki lakshmi hai,
Maa in othon ki muskurahat hai,
Maa baccho ki taqdeer hai ,
Maa hai hamare path nirmata ,
maa us devi ki tasveer hai ,
PITA
Pita ghar ka anushashan hai,
pita maa ka sindoor hai,
baccho ko sahi galat ki siksha dene wale ,
pita Wo shikshak ki tasveer hai ,
pita ghar ka maan hai ,
Pita us devta saman hai ,
baccho ke bhavishya ujwal karne wala ,
Pita wo takatwar vartamaan hai,
Pita maa ki muskurahat hai ,
Pita maa ki bindiya hai ,
jahan bashta baccho ka jahan,
Pita ghar ki wo khushia hai ,
maat pita jinke paas wo sabse dhani hai,
na ** kabhi inhe dukh ye pran hume karni hai,
inka Sahara bankar kare inka samman ,
yehi hamare pooja yahi hamare bhagwaan..
Sep 30, 2015
Sep 30, 2015 at 7:56 PM UTC
Kanyadaan hua jab pura, Aaya samay vidayi ka
Hashi khushi sab kaam hua tha, Saari rashmm adaai ka
Beti ke uss kaatar swar ne , Baabul ko jhakjhor dia
Puch rahi thi papa tumne, Kya sach-much me chodd dia
Apne aangan ki phulwari, Mujhko sada kaha tumne
Mere rone ko pal bhar bhi, Bilkul nahi saha tumne
Kya iss aangan ke kone me, Mera kuch asthan nahi
Ab mere rone ka papa, Tumko bilkul dhyan nahi
Dekho antim baar dehri, Log mujhhe pujwaate hai
Aakar ke papa inko kyu, Aap nahi dhamkate hai
Nahi rokte chacha taau, Bhaiya se v aas nahi
Aisi bhi kya nishthurta hai, Koi aata paas nahi
Beti ki baato ko sun ke, Pita nahi rah saka khada
Umadd pade ankho se aanshu, Badahawas sa daud pada
Kaatar bichia si wah beti, Lipat pita se rotii thi
Jaise yaado ke akshar wah, Ashru bindu se dhoti thi
Maa ko laga god se koi, Maano sab kuch cheen chala
Phool sabhi ghar ki phoolwari se koi jyo been chala
Chota bhai bhi kone me, Baitha biatha subak raha
Usko kaun karega chup ab, Wah kone me dubak raha
Beti ke jaane par ghar ne, Jaane kya kya khoya hai
Kabhi naa rone wala baap bhi, Phoot-Phoot kar roya hai ............
Sep 24, 2015
Sep 24, 2015 at 8:07 AM UTC
Aapko khuda ne badi fursat se banaya hai,
Etni pyari si muskan aapke hothon par sajaya hai,
Aapki ye sararati aankhon ne,
Har pal ko khushnuma aur khubsurat banaya hai,
Aapne Ghar ko mandir banaya hai,
Maat-Pita Ki sewa kar unhe bhagwan ka darja dilaya hai,
Aap najane kis mitti Ki bani **
Khud aansoo bahake bhi sabhi ko hasaya hai,
Aap jaisa dost humne badi muskil se paya hai,
Aaj gum bhulakar phir se humne muskuraya hai,
Ruthi kalam ko manakar humne,
Aaj aapko apni kavita me sazaya hai,
Apni kavita me sajaya hai....
Sep 7, 2017
Sep 7, 2017 at 12:17 PM UTC
Seetaro mai akela chaand si thi wo
Foolon ka mehekta guldan si thi wo
Thi nadi jaisi aviral,chanchal
mere dil ka haal si thi wo
Ghani dhoop mai chav si thi wo
Kisi geet ki addaon si thi wo
Thi hava si mehekti, komal
Mere dil ka bhav si thi wo
Beech majhdhaar mai nav si thi wo
Khusian ka pura gaon si thi wo
Thi koyal si meethi,nishchal
Mere man ka abhiman si thi wo
Paido par wo patto waali hari bhari koi daal si thi wo
Holi ke rango mai sabse saadi ek akeli gulaal si thi wo
Thi wadi kasmiri koi
Mere geeton ka sur aur taal si thi wo
Mandir mai wo shankhnaad si,pooja ka prasad si thi wo
Baarish mai mitti ki khushboo,badal ka dharti se sanvaad si thi wo
Thi meri wo beti pyari,usse hi ghar 'harshit' tha
Mere ghar mai sooraj si,Mere ghar ki shaan si thi wo
Thi ab wo jo nahi rahi,aakhir khata kya thi ki usne
mana hi to kia tha na beta shaadi se,
Par dosti ka haath bhi to badhaya tha
Teri Bezatti toh nahi thi ki usne
Fir kyun tune usko har ghar badnaam kia
Dushman na kare,dost hokar tune aisa kaam kia
Chali gayi ab chhod ke mujhko,wo akele jeevan ki saanjh mai
Meri khushiyan,meri duniya,meri pyari jaan si thi wo
Meri pyari jaan si thi wo
Apr 13, 2017
Apr 13, 2017 at 7:46 AM UTC
Main Aur mere roommates
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Ghar saaf hota to kaisa hota
Main kitchen saaf karta, tum bathrooom dhote
main hall saaf karta, tum balcony dekhte
Log is baat pe hairaan hote
aur us baat pe haste….
Main aur mere roommates,
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Yeh hara bhara sink hai
ya bartanon ki jang chidi hui hai
Yeh colour full kitchen hai
ya masalon se holi kheli hai
Hai farsh ki nayi design
ya doodh, beer se dhuli hui hain
Yeh cellphone hai ya dhakkan,
sleeping bag ya kisika aanchal,
ye airfreshner ka naya flavour hai,
ya trash bag se ati badboo
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut
ke heater phirse kharab hua hai
Yeh sonchta hain roommate kab se gum sum -
Ke jab ke usko bhi yeh khabar hai
Ke machar nahi hai, kaheen nahi hai
magar uska dil hai ke kah raha hai
machar yaheen hai, yaheen kaheen hai !
Toand ( pet ) ki ye haalat, meri bhi hai, uski bhi,
dil mein ek tasvir idhar bhi hai, udhar bhi
Karne ko bohot kuch hai magar kab kare hum
Kab tak yoon hi is tarah rahe hum
Dil kahta hai Safeway se koi vaccum cleaner la de
ye Carpet jo jine ko zoonz raha hai, fikwa de
Hum saaf rahe sakte hai, logon ko bata dain,
Haan hum roommates hai – roommates hai – roommates hai
Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi..
Sab ko bata dain..
Mar 10, 2014
Mar 10, 2014 at 11:38 AM UTC
Shaam ki sardi mein
Jab ghar se hum nikle,
Mast kuch bachchon ne yaad dilaya The hum bhi kitne befikre.
Beet gaya aane se pehle,
Waqt kisi ka na hua.
Bachpan le gaya sang apne,
Phir aaye mudke hai yehi dua.
Kashtiyan kagaz ki banake
Chalate the paani mein,
Yehi nahi baarishon mein ghoomne Nikalte the apni cycle pe.
Baarish ka anand nahi,
Toofanon se darte hain ab,
Woh din bhi kya din the
Jab apne se lagte the sab.
Kahaniyan sunke khud ko
Doobate us duniya mein,
Na jhooth, na dikhava,
Na dhokha tha usmein.
Dil mein thi ek bekarari hamesha, rehta tha khushi ka intezaar,
Ab hai yakin kismat pe apni,
Kabhi na lautenge ab woh din raat.
Jan 8, 2016
Jan 8, 2016 at 10:24 AM UTC
Judai
~~♥~~
Suno jaana
Mujhse kai logo ne pucha hai.
judai kaisi hoti hai.
judai kaisi hoti hai.
Me kehta hu
Zara thehro batata hu.
judai kaisi hoti hai.
judai aisi hoti hai.
bhari mehfil me bhi
kahi tanhai me kho jana.
Kirchi kirchi kanch ke
tukdo sa bikhar jana.
Or un tukdo me ek hi bas
ek hi chehere ka nazar ana.
Judai aisi hoti hai.
Simatna chah kar bhi
khud se na simat pana.
Har kisi ke samne
muskan chehre par le ana.
Dard saare chupane ki
ek nakaam si be-matlab
koshish kiye jaana.
khud apne aap se us
lamhat me nafrat si ** jana.
Judai aisi hoti hai.
Mulakato ke naam pe
milna u to kai logo se
har chehre me usi bas Usi chehre ko dhundte jaana.
Naam uska apne
lab pe saja lena.
Us ki kahi koi baat
yaad ane par rote hue thahake mar ke hans dena.
Or hans kar ke ek dam se khamosh ** jaana.
Naam uska le kar gir padna.
kai raato tak aansuo se
takiyo ko bigo dena.
Duao me usi ke liye
haatho ko failana.
khwabo or khayalo me
usi se wasta rakhna.
na mil pane ka ghum
is dil ko satana.
Or fir tut kar bikhar jaana.
Judai aisi hoti hai.
Jhukaye gardan fir kabro me apni lout aa jaana.
Jise ham ghar bhi kehte hai.
Use Suna sa dekh kar kadmo ka theher jaana.
fir na utha pana.
Ye sab kya hai
judai ki nishani hai.
Na mil pana, satana, or har kadam har moud par tut'te bas tut'te jana.
Judai aisi hoti hai.
Jaise andheri si gufao me talash roshni ki ** jaana.
jaise kisi apne ke haatho se haatho ka bichad jana.
Fir na mil pana.
kisi apne ko jata dekh kar
Dur se aawaze laga kar rokna.
Apne haatho ko jhatak na or diwaro pe patak dena.
Or bas kuch na kar pana.
bhari aankho se use
dur hote dekhte jana.
Palkey tak na jhapkana.
Fir aansuo ka jaise
sailab aa jana.
judai ki aag me
jalna,jhulasna
or zinda reh jana.
judai aisi hoti hai.
Judai aisi hoti hai.
Nk Sairam :)
Jan 13, 2019
Jan 13, 2019 at 5:20 AM UTC
Meri jaan
Tere bina khushi ghabrahi
Tere liye zindagi bichaii
Teri bahoon mein sakoon paya
Tere dil mein ghar bhasaya
Haan, zindagi neh bohoot sataya
Bar, bar moor le ke dil bhujaya
Suraj dekha ke nazaar leli
Kyun itne pyare pyaar se sachai cheeni?
s.q.
Aug 6, 2014
Aug 6, 2014 at 6:06 PM UTC
Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari,
Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari,
Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha,
Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha,
Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete,
Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete,
Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar,
Hum whi jo roshni rakhte, hai sabki chaukhto par,
Un ujalo ka wahi, paigam le aye hai hum,
Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.
Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai humne,
Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai humne,
Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai,
Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai,
Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai,
Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai,
In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya,
In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya,
Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati,
Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati,
Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum,
Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.
Mar 10, 2015
Mar 10, 2015 at 3:53 PM UTC
GHAR KI WO BAHADUR BETI
ghar ki wo bahadur beti, Ma ko wo ankhen kholte hi dekhti.
darr na Ma tu bhi hai kisi ki bahadur beti.
Ma ke anchal ko pakad ke chalti,
main teri parchayi or tu hai mera kal wo isko samajhti,
khilkhilate mahakte phool si wo badi hoti,
anjane loge se hi milte, jhijhakte hue wo sahamti.
Par ab wo beti ki kuch ye thi kahani,
usko ek alag hi dunia hai banani.
sambhal k chal tu beti, galat ** to chup reh to beti.
kyonki Ma-Baap ki hai wo bahadur beti.
Seekh k zindgi ki sachchayi, ek alag dunia hai banayi.
khushi khudme hi dhoondne lagi, bheegi palke yun hi sookhne lagi.
Ma ki parchayi banne ki chah me, aagayi wo bhi pyar ki raah me.
usse rishta yun judne laga, sunhara kal phir dikhne laga.
age kadam darr k badhaya, pyar ne jispe bharosa dilaya.
Ab zindgi ne yun karwat li, kaanch k us rishte me wo tut gayi.
arre darr mat tu hai ghar ki bahadur beti.
ashkon ko wo chupa rahi thi, girte hue kadmon ko sambhal rahi thi,
diye hue zakhmon ko chupa rahi thi, us pyar ko ab bhi dua me mang rahi thi.
bilakhti, sahamti phir kadam ko badha ke kahti
MA, MAIN HU TERI BAHADUR BETI......
Jun 15, 2016
Jun 15, 2016 at 9:30 PM UTC
KOI AUR HAI
Tere khaboon mai koi aur hai,aur tere sayee mai koi aur hai
Kaisay tu dekhay hasrat mere,tu haqeeqat mai koi aur hai
Yeh dil kab tak arizoo karta rahai ,ab koi sabab-e-furkat **
Kaisay tu pehchaanay mere ulfat,tu zahir mai koi ,aur batin mai koi aur hai
Itrey sabnum ki tarah jalah hai mera daman bhi
Mai manzil ki jistu ju kya karoon, ab rasta bhi nazar nhi
yadoon kay samandhar mai dhoob chukka ab toh
Mai haar chukka hoon zindagi aur ab toh moat bhi ati nhi
Bhulavou yeh gum kaisay ,dil ko kya dawaa doon bhar janay ki
Mai kyun nhi rub a ru khudsay ,mai kon hoon ya mujmai he koi aur hai
Faryaad bhi kya ** , naa ashinaa hai yahaan sabhi
Kis mode pay kya hogaye koi khabar nhi hummay
Mai toota huva taraa hoon mujmai ab wo timtimhath kahaan
Lagta Aasmaan bhaag rahaa hai aur zameen fisal rahe ** jaisay
muntazir-e-humraah ** kya,jo rahai thi wo rahai he badhal gaye
Mud kay ab dekhoon kya, akela rahai safar tha ya koi aur be hai
Mubarak ** tummay ab yeh jahaan dard baraa
Na mud kay kabhi dekhay **** issay dhoobara
Ab aur palkoon pay ashikay baar saha nhi jata
Laboon pay ab aur bahaana bardast nhi hota
Waqt guzra hai, kyun naa mera bhi saleeka badhal gaye Rumi
Ab aur ranjishay nhi,bhula do ghar koi ghilla aur bhi hai
written by: Aabid Rumi
suggested by:Tanzeelah Illahi
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:16 AM UTC
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar,
Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar,
Vidai ka hota hai ye kaisi bela,
Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela,
Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal,
Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal,
Bahut si yaadein chhoti aankho me sajaye hue,
Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue,
Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali,
Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali,
Jahan pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod,
Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar,
Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya ,
Aakhir kisne ye riwaz banaya ,
Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan ,
Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan ,
Waqt ka kaisa hai ye dastoor
Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur ,
Chali hai aaj papa ki gudiya ,
Chhodhkar apne aangan ki nindiya,
Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan ,
Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan,
Babul ki laadli kab ** gayi badi,
Aayi hai dil ko chhune wali ghadi,
Jis ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi,
Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi,
Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya,
Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya,
Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar,
Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar,
Babul ka ghar.........
Composed by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
Mar 22, 2018
Mar 22, 2018 at 2:23 PM UTC
Ki haar gaya tan tan man puakar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe
Ki jis pal haldi lepi hogi tan par maa
Jis pal sakhio ne saupi hongi saugaate
Dholak ki thappo me , ghunghroo ki runjhoon me
Ghulkar faili hongi ghar me pyari baate
Uss pal meethi si dhun , sune kamre me sun
Roye man chausar par haar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe .....
Haar gya tan man ..........re haar gya re..
Kal tak jo humko , tumko milwa deti thi
Un sakhio ke pprashno ne toka to hoga
Saajan ki anjuri par anjuri kaapi hogi
Meri sudhio ne rasta roka to hoga
Uss pal socha man me aage ab jeevan main
Jee lenge hans kar bisaar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe ...
Haar gaya tan man ....re haar gya re
Kal tak jin geeto ko tum apana kahti thi
Akhbaaro me padhkar kaisa lagta hoga
Saawan ki raato me saajan ki bahoon main
Tan to sota hoga par man jagta hoga
Uss pal ke jeene me aanshu *** lene me
Marte hai man hi man maar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe
Haar gaya tan-man ...re haar gaya re..
May 18, 2015
May 18, 2015 at 10:58 AM UTC
Tha mai neend me
or mujhe itna
Sajaya jaa rhaa tha
bade pyar se mujhe
Nahlaya jaa raha tha,
Naa jane
tha wo kaun saa ajab khel
mere ghar me
Baccho ki tarah mujhe
kandhe par
Uthaya jaa raha tha,
Tha paas mera
har apana uss waqt
fir v mai
har kisi ke man se
Bhulaya jaa raha tha,
Jo kabhi
dekhte v naa the
Mohabbat ki nigahoo se
unke dil se v
pyar mujh par
Lutaya jaa raha tha,
Maalum nahi
kyu hairaan tha har koi
Mujhe sote hue dekh kar
jor jor se rokar
Mujhe jagaya jaa raha tha,
Kaap uthi meri ruh
wo manjar dekhkar
jaha mujhe
Humesha ke lie
Sulaya jaa raha tha,
Mohabbat ki intaha thi
jin dilo me mere lie
Unhi dilo ke haatho se
aaj mai
Jalaya jaa rha tha!!!!!
Sep 16, 2015
Sep 16, 2015 at 2:27 PM UTC
Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,
Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa
Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi,
Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa...
Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi,
Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa
Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi,
Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa...
Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi,
Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,
Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine
Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi,
Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse
Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi,
Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa
Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi,
Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,
Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi,
Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai
Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai,
Bachpana samjho ya nadaniya samjho
Par tere hi aggey hua karti thi,
Tu Maa thi ya meri dost thi
Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi,
Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai,
Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa,
Qki maa teri meri yadein bht achi thi
Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi.
Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa..
Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa,
Sach Drr lagta hai duniya se maa ab
Jee paungi ya tut jaungi mai ab,
Kitni bholi thi maa tu humesha se
Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi,
Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi
Toh kick tu hi mara karti thi,
Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu
Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi,
Itni sachi aur achi maa thi tu
Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi,
Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se
Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse,
Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko
Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko,
Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye
Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye
Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere
Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye,
Maa bharosa kar mera
bharosa nahi todungi tera
Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
May 14, 2020
May 14, 2020 at 12:18 PM UTC
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai,
Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai,
Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai,
Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai,
Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai,
Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai,
Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai,
Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai,
Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai,
Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai,
Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai,
Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai,
Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai,
Khud bhukhe rahkar bhi hume khilaya hai,
Duniya ka sabse sachha Gyan Maa Papa me hi sikhaya hai,
Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
Jun 17, 2017
Jun 17, 2017 at 12:51 AM UTC
*Unke Dar Pe Pahunchne To Paayein
Yeh Na Poocho Ke Hum Kya Kareinge
Sar Jhukana Agar Jurm Hoga
Ham Nigahon Se Sajda Kareinge*
**Once I reach the door
Spare me from asking what I will do
If blasphemous it is to prostrate my body
My gaze shall bow at the door**
*Baat Bhi Teri Rakhni Hai Saqi
Zarf Ko Bhi Na Ruswa Kareinge
Jaam De Ya Na De Aaj Hum Toh
Maikade Mein Sawera Kareinge*
**I am to keep your words too, O' Cup Bearer
And I cannot offend the cup
Whether or not you serve me tonight
I will meet my dawn at your door**
*Iss Taraf Apna Daman Jalega
Uss Taraf Unki Mehfil Chalegi
Hum Andhere Ko Ghar Mein Bulaakar
Unke Ghar Mein Ujaala Kareinge*
**Here, my life will be on fire
And there celebrations will begin at yours
I willingly invite the darkness to my abode
So that brightness may exist at yours**
*Baat Tarq-e talluq Bhi 'Anwar'
Itna Ehsaa- e-Rasm-e-Wafa Hai
Aakhiri Saans Tak Bhi Hum Unse
Berukhi Ka Na Shikwa Kareinge*
**Even after renouncing our relationship O’ Anwar
I am to maintain the ritual of faithfulness
Even unto the last breath
Never will I complain of aloofness**
— Translated by Jamil Hussain, Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
Oct 28, 2016
Oct 28, 2016 at 9:48 AM UTC
Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Log sirf unse dosti karte,
Jinke dilo me sirf mohabbat ke raag hote,
Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Sirf unse hi pyaar hota,
Jinke dilo ke liye wo khaas hote,
Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To Pet sirf unka bharta,
Jo sach me us roti ke mohtaaz hote,
Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To Na padti zarurat en hothon ki,
Kyoki sirf dilon se hi baat hote,
Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Har ghar mandir ban jata,
Aur Maat-pita us mandir ke bhagwan hote,
Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To na koi dharm hota aur na koi mazahab ,
Hum sab ek hote aur sabhi se pyar hote,
Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Na milta phir kisi ko bhi dard bhare pal,
Na kavi hote aur nahi sayari bhare andaaz hote,
Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Kaun puchhta en banawati chehare ko,
Tab to **** se nahi sirf ru'h se pyaar hote,
Sirf ru'h se pyaar hote...
Sep 20, 2017
Sep 20, 2017 at 12:00 AM UTC
Haqiqat hai yaqeen karlo,
Men usko bhool kar khush ***
“Muhabbat marr chuki hai ab,
Men usko bhool kar khush ***
“Badalti rut ki waja se tabyat,
Kuch hai bojhal see….
“Yun mera haal na pocho,
Men usko bhool kar khush ***
“Tumhen kia weham hai kyn,
Raat bhar milne nahi aaty.???
“Aye mere nennd ki paryon
Men usko bhool kar khush ***
“Udasi sary ghar men,
Pheeli jati hai ghum bankar….
“Tum har dewaar par likhdo,
Men usko bhool kar khush ***
Translation to Malay Language
Aku gembira untuk melupakanya
Amanah ku ini adalah realitinya
Dan aku gembira untuk melupakannya
Cinta yang telah meningal dunia
Dan aku gembira untuk melupakanya
Translation to English:
I am happy I am not sad to forget
He is mine, that's reality
and I am glad to forget it all
The love has died
and I am happy to forget it all
Jun 2, 2013
Jun 2, 2013 at 1:30 PM UTC