Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Tariq Khan Dec 2012
Toote se ek gharondey mein
kuch daraar si hai
jahan se ek awara dhoop ka katra
ek parindey ko uske khwaabon se jagata hai
thoda alsata sa wo kuch ghabrata sa wo
darwaze ke paas jaake har baar palat jaata hai
Use dekh ke na jaane main kyun bechain hota ***
Fikr-e-akhirat mein apni shaksiyat ko khota ***

Uski udaan ki mayoosi se waakif meri pehchan bhi hai
thoda adhura wo khud hai
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

Band hai is shahar ki hawa,
Jeene ka kuch asar nahin mujhpe,
Kuch duur se ati koi awaaz, kahin yun hi kho jati hai,
Deewaron se takrakar,mere paas yun ati hai
Kis aur jaun, har simt se nawakif main aksar kho jaata ***
Andheri raaton mein akela khud ko pata ***

khud ke ehd ki zanjeeron mein, darakht si meri jaan bhi hai
thoda adhura main khud ***
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

- طارق
Ankit Dubey May 2019
Kyun sham thaharti nahi tab tak,
K tu aa na jaye kareeb jab tak,
Kyu raat dhalti nahi tab tak,
K tu meri ** na jaye jab tak,
Ab to bina wajah hi kai baar dil dhadakta hai,
Lekin kyun saanse meri rukti nahi tab tak,
K tujhe khud me mahsoos na kar loo jab tak.....
k banjar hua ja raha  hu mai bina tere,
ku akhiri ehsaas tootne se ruk jata nahi tab tak,
k akhiri armaan poora mera hi na jaye jab tak,
kyu jindagi me tofaan koi aata rahta hai,
kyu baki nahi rah jaati jan mujh me tab tak,
k tu har pal mujhme na simat jaye jab tak......
bojhil mera dil ku thak jata hai,
rota hai,
ghabrata hai,
aansoo bahata hai,
kyu jindagi thokar mujhe marti nahi tab tak,
k koi mera mujhko samet le aoni bahon me jab tak,
bekhabar bejubaan dil mera ku dard bayan karta nahi  tab tak,
k koi aayat khuda ki tujhse roobaru hoti nahi jab tak.......
kyu gair koi mujhe dard de jata hai,
kyun mere liye khuda sab bhool jata hai,
kyu har kisi k rooth jane par tu pyar mujhe karta nahi tab tak,
k aankhen band ** jaye meri par ehsaaas tera mujhme rah jaye jab tak,
k saanse agar na bhi chale,
par jikr tera chala rah jaye jab tak........
Ankit Dubey May 2019
na vasta raha ab mera in sab se,
na kisi aur se aur na hi rab se,
meri jindagi tum ** meri bandagi tum **,
na koi aur chahat,
meri jine ki khwahish bas tum **,
ab to bas pyaar karna chahta hu tumhe,
na vaasta raha ab mera in sab se,
na kisi aur se na hi rab se.....
dil me khwahish bas tumhe pane ki,
sath jine ki aur sath mar jane ki,
ek tu jo mil jaye,
mukammal shayad ye jindagi ** jaye,
na jane aur kitna door jaoge,
ab aa jao,
mai raah dekh raha hu kab se,
na vaasta raha ab mera in sabse,
na kisi aur se na hi rab se......
hai dil me kasak tumse door jane ki,
tumhe paa  lene ki aur fir se kho dene ki,
tum hi ** k ab tak banaya hua mujhe insaan,
na hote tum agar,
mai to kab ka door ** gaya hota is shahar se,
na khush hota kabhi,
na ghabrata kisi gam se,
na vaasta raha ab mera in sabse,
na kisi aur se na hi rab se.....
tum har pahar yaad aati **,
paas aakar fir door chali jati **,
kuj aur pana nahi mai chahta,
ek tum hi ** jise chahta hu mai shiddat se,
hai khayal tumhara hi is dil me,
tum aarjoo ** meri,
bas chahta hu tumko dil k har kone se,
ab rooth bhi nahi pata mai tumhe khone k dar se,
na vaasta raha mera ab in sab se,
na kisi aur se na hi rab se.......
i love u

— The End —