"garv" poems
Yaha Maa beti behan patni parivaar ki Shaan h...
Ha ye Mera ni hamara hindustan h..
Yaha Har muskilo ka Hal nhii...
Par Har javaab Geeta, Bibal, aur kuraan h...
Yaha beta aur beti dono parivaar ki Shaan h..
Ha ye Mera nhii hamara hindustan h..
Jahan Har muskilo mein apno ka saath h..
Bacho k sir par Maa baap ka haath h..
Yaha beta Maa ki aur beti Papa ki jaan h..
Ha ye Mera nii hamara hindustan h..
Jahan alag alag bhashao ka Mel h hockey yaha ka priy khel h
.
Jhagde bahot h par usse jyada pyaar h...
Daat padne se jo bachae vo yaaro ka yaar h....
Yahan alag alag desho ki mithas aur sanskaar h...
Yahan alag alag desho ka rang punjab kashmir aur rajasthan h...
Ha hme garv h is desh par qki ye Mera nhii hamara hindustan h....
Mar 20, 2018
Mar 20, 2018 at 1:39 AM UTC
Main hoon dasi
Kisi ki naukrani nahin
Na koi kaharin
Main hoon devadasi
Devalayon ki shobha
Sada saanjh ko
Kanak deep jala
Devstuti kar
Khud ko bhagyawati samajhti
Main hoon devadasi
Yahi to hai mera garv
Wah din yaad hai aaj bhi
Raja ne jis din meri pratibha
Ko samjha
Mujhe devadasi ka pad saunpa
Mere premi mere devta
Prabhu
Sada raat ko jinke liye
Ghunghroo pehen naachti main
Lekin garima meri hai aisi
Aashiq mere anek
Naachti jab main
Mujhe dekh
Woh kya maza lootte
Mere punya ko chhente!
He prabhu
Jeeti hoon ab
Roz shoshan ke dar mein
Uddhar Karo naath
Tumhari patni nahin
Aakul bhagat ki to guhar suno
Uddhar Karo prabhu
Kehlaun mein
Punya devadasi!
Jan 19, 2018
Jan 19, 2018 at 7:51 AM UTC
pyaar ek bandhan banana hota hai,
aap iss aage nahi ja sakte,
hamesha woh aapko vichalit karte rahte hai,
aur hamesha aapke saath baatein karte rahte hai.
pyaar karne ke liye khushi aur dukh uske saajha karna hota hai
hamesha uske pagalapan mein shaamil hona padhta hai
hamesha use garv ke saath muskuraane ka ek kaaran dena hota hai
aur jab bhi aapko uske taraf se aapka zaroorat ** uske saath dena hota hai
pyaar karne ke liye ek saath ghar banana hota
hamesha ke liye jeevan banane aur jeene ke liye,
uske mijaaj ko dekhane aur sambhalane hote hai
aur chhote-chhote kaam karke use khaas mahasoos karna hota hai
pyaar karna hai saajha karna aur dekhbhaal karni hoti hai
hamesha usko mahasoos karne ke liye vishwas hona chahiye
uske sabhi sapnon ko poora karne ke liye,
aur hamesha "I love you" kahein.
ye hota hai pyaar♥️
May 5, 2020
May 5, 2020 at 8:03 AM UTC