"galtiyon" poems
zakhamon ki batein in na karo
bahut chotein pahuchai hai tumne
maram lagane kind koshish na karo
hum nahi ban sake farishtey
maine tumhare aakhon ke andar ki aandhi dekhi hai
maine tumhari saans ginni hai
kya pata ki main kis din mar jaaon?
aapki galtiyon ki bare mein main kya batao?
saanse gin kar mein kabhi nahi thaki
taare, grah jo chaho le aaon
kitne baar maafi magun?
jab meri galti thi nahi
aaj thand bahut hai
saans lene mein taqlif hai
ab maram lagane ki koshish na karo
mein idhar *** mujhe marte hue dekho.
Nov 3, 2014
Nov 3, 2014 at 9:53 AM UTC
Papa ka office se ghara aana
Bhag kar unke pass jana
unke samne masumiyat se apne hath ko failana
yad karte ** n, jara soch kar batana
Dosto ko roj naye ajib-ajib namo se chidhana
Bhai-Bahan ko bina bt satana
School na jane ka roj naya bahana
Chupke se dusro ka lunch box kha jana
yad karte ** n, jara soch kar batana
Andhere se darkar maa ki aanchal me chup jana
Papa ki kandho par baithkar mele me jana
Khilono ke liye jid P arr jaana
Choti choti galtiyon par maa ka thapki lagna
Yad karte ** n, soch kar batana
Na tension thi duniya ki,
na tha paisa kamana
Kya the bachpan ke bhi din
jaisa mano Sare khushiyo ka fasana
Yad karte ** na, jara soch kar batana
May 22, 2020
May 22, 2020 at 3:59 AM UTC