Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Pratyush Jul 2019
Khubsurat sa desh tha pehle hamara,
Khub tareef karta tha yeh zamana,
Baat thi kuch uss desh meh nirali,
Kyuki Charo aur thi bas hariyali,
Badal chuki hai mere desh ki laali,
Tut chuki hai bhaichare ki daali,
Apne de rahe hai ek doosre ko gaali,
Aaj koi saath nahi manata holi ya diwali,
Kaha gayi mere desh ki voh hariyali,
Bandha hua hai desh dhaago se kaali,
Kaat dena hai voh dhage hume saari,
Banate hai desh ko jaise ek madhur kawaali,
Vapas aayegi mere desh meh voh laali,
Tareef karegi hamare desh ki duniya saari,
Saath milkar raho mere desh vaasi,
Door rahehi bhedbhav ki voh saaya kaali.
Siddharth Ray Jun 2020
Dil se hai, woh ek enigma
Magar zubaani pesh hai gaali
Kabhi samjho iss coconut nut ko bhi
Fitratt saaf hai, fitoor mawaali

Ab daayein gaye toh bhi galat
Aur left me bhi kismat bawaali
Inka ghussa rahe danke ki chook pe
Aaya tha samachaar haali

Jo gaye toh gaye ab unka kya
Unko sunna tha rock, humne gaya kawaali
Unne koshish ki lafz decode karne ki
Gehra meaning nahi hai bhai,
Khoopdi hai ekdum khaali!

— The End —