Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"fasana" poems
"Mohabbat" lafz hi aisa hai Aghaaz hurf e meem iska.. Aur Tey se khatm hota hai. ... Gar maiñ jo meem hoti *** To tum phir ta se hote ** Mohabbat lafz hi aisa hai. ... Shuru jab maiñ se hota hai To phir tum par hi rukta hai Humari is mohabbat mein Main thi hi kab tum hi tum the... Parasti khud ki tum ne ki Meri awaaz suni kab thi... To phir kaisi mohabbat thi To phir kaisa fasana tha Yeh ishq "hum" se begana tha Ise to Mar hi jaana tha Ise to Mar hi jaana tha.....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:03 AM UTC
Mohabbat
Fasana bayan kr raha hoon apni rooh k hoslo ka.. Mujh gareeb..nacheez ko manzilo ka nishan mila..ye karam tha mere kuch azeez doston ka Apne hoslo k dum pe.. Jhoojhta raha Zindagi se.. Main subah shaam.. din raat.. Hunar ki kalam se hi likhoonga apni taqdeer..Jigar me dhaan li thi ye baat Zakhm khata raha Dil par bahut waqt tak.. Walid ka kaha maan kar.. K baccha bana rahega toh bacha rahega..saare sabak zeher ki tarah peeta raha..sabhi ko apna maan kar Seekhne ki koi umra nahi yaaro.. Har pal ye zindagi naya sabak seekhayegi.. Dil khol k jholi bhar lena..jeewan roopi kashti yehi paar lagayegi Mushqil daur me kai martaba mehsoos ki.. Maine khuda ki maujoodgi apni bagal me.. Uska sehlana..mere sir aur meri kamar me.. Kandha numa sirhana diya kai dafa usne sisakti rooh ko.. Dilasa diya..Tujhe mazboot banane ko imtihan le raha hoon tera intaha tak..Tu hosla rakh..Main hoon toh! Waqt ne bhar diya sabhi zakhmo ko marham bankar.. Namak jo baha tha aakhon se..woh mere pairo ki zameen..sir ki chat ban gaya hai chankar Har pal shukrana karta hu khuda teri rehmat ka.. Dua kubul krta hai tu sabhi ki apne dar pe..karz hum adaa kr nahi sakte..teri is zehmat ka Meri sabhi doston ko ek maskeen hidayat hai.. Kissi bhi cheez se Insaani zindagi ki kimat kam hai..kyu issi ki bahutayat hai.. Manzilo ka nasha hai toh chamkao apne hunar ko is kadar.. Jhuka do un sabhi namurado ko..lage honge jo hosle **** karne tumhare..zindagi ki har dagar par😊
0
Apr 25, 2020
Apr 25, 2020 at 4:58 AM UTC
HOSLA - INNER STRENGTH TO CONQUER
Papa ka office se ghara aana Bhag kar unke pass jana unke samne masumiyat se apne hath ko failana yad karte ** n, jara soch kar batana Dosto ko roj naye ajib-ajib namo se chidhana Bhai-Bahan ko bina bt satana School na jane ka roj naya bahana Chupke se dusro ka lunch box kha jana yad karte ** n, jara soch kar batana Andhere se darkar maa ki aanchal me chup jana Papa ki kandho par baithkar mele me jana Khilono ke liye jid P arr jaana Choti choti galtiyon par maa ka thapki lagna Yad karte ** n, soch kar batana Na tension thi duniya ki, na tha paisa kamana Kya the bachpan ke bhi din jaisa mano Sare khushiyo ka fasana Yad karte ** na, jara soch kar batana
0
May 22, 2020
May 22, 2020 at 3:59 AM UTC
Bachpan Ki Bate
baat wo jaani pehchaani thi, school ki wo kahani thi. subah uthke wo school ko jaana, waha jate hi teacher ki daant khaana. class mein chhup ke tiffin khaana, or har galti par naya bahana. class mein roz halla karana, or galti khud ki pe dost ko fasana. fir chup2 ke dost ko hasana, usse kehna zara chehra toh dikhana. pal haseen ye kahin gum se gaye, ab hum sab alag hogye. class wo humari ek kamra ban gyi, or baatein humari yaadein ban gyi. firse doston ka mela hum lagaynge, par wo school ke din waaps na aynge. Riya
0
Sep 28, 2018
Sep 28, 2018 at 6:12 AM UTC
school
Shikwa to bas ek bahana tha... Tujhe mera dil hi jalana tha... Kashish ranjish yun banti gayi... Kehne ko to ek fasana tha. ... Pal Pal tujh par hi lutana tha Meri zeest se yeh hi karana tha Meri rooh par chaya hua tha jo Saanson ka wohi tarana tha Teri chaah ko apna banana tha Meri koshish ka woh nishana tha Teri zid ka zarb magar mujh par Jo pada to bas qatilana tha... Nibha lo rasm e kafan ki ab Anjaam e wafa yun sikhana tha.... Bejaan sa **** yun pada hai ab..... Ke "Ain" e arz hi ab thikana tha....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:00 AM UTC
Dafn e Ishq
Is dil ka to bus itna hi fasana hai.. Jisne apna mana wahi apna hai Baki sub begana hai.
0
Jan 11, 2020
Jan 11, 2020 at 7:29 AM UTC
Dil ka Fasana