Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"farz" poems
Phir teri mohabbat yaad aayi Phir mera bilagna yaad aaya… Phir teri naseehat yaad aayi Tera raub wa jalwa yaad aaya… Tune jitni jheli takleefein Us dard ka ehsaas yaad aaya… Tune zindagi bhar jo bhi kiya Tera jud o karam sab yaad aaya. .... Teri kaawishein teri koshishein Tera jaan lagana yaad aaya. ... Teri neikiyan tere khair amal.. Tera pyaar lutana yaad aaya... Teri hayaat se seekhe hain jo jo... Har ek sabaq woh yaad aaya. ... Tera muskata har dam chehra... Woh roshan nazara yaad aaya. .... Ba vaqaar jo jhele gham tune... Tera sabr se sehna yaad aaya…. Teri zinda dili teri saada dili... Deen' mein thos aqeedah yaad aaya. .... Beta, bhai, shohar, walid ** ya dost Har ek farz nibhana yaad aaya. .... “Ain" tum bhi amanat daari karo... Usne hi seekhaya......yaad aaya..??? Phir mera tadapna yaad aaya... Lamha rukhsat ka jo yaad aaya… Ae Firoz tu aisi misaal bana..... Jaane kitnon ko tu yaad aaya. ....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:47 AM UTC
Yaad aaya...