"farq" poems
Ek Baar Suno Kuch Aisa Hua
Wo Mujh Ko Mili Main Us Ko Mila
Izhar Hua Iqraar Hua
Wo Dost Bani Main Yaar Hua
Usey Ishq Bohat Mujhe Pyaar Bohat
Hum Dono Mein Takraar Bohat
Phir Ek Din Kuch Yun Hua
Wo 6od ke Gayi Main Toot Gaya
Phir Ek Din Hum Kuch Yun Millay
Wo Tanha Thi Main Akela Tha
Bas Hum Do Thay Aur Koi Na Tha
Woo Rone Lagi Main Bebas Raha
Na Pyar Na Hi Izhaar Raha
Bas Farq Sirf Itna Hi Raha
Main MITTI KE UPAR ROTA RAHA...
Wo MITTI KE ANDAR SOTI RAHI...
Aug 3, 2016
Aug 3, 2016 at 3:49 AM UTC
Ab neend aa rahi hai bohot
Ab so jaana hi padega...
Socha tha kuch baat kar leti
Raat ka haal pata kar leti...
Der magar ** rahi hai bohot
Ab so jaana hi padega
Ab neend aa rahi hai bohot....
Tum jis neend ke dariya mein...
Tair rahe ** khwabon mein...
Us dariya ki ab talab hai bohot...
Ab so jaana hi padega
Ab neend aa rahi hai bohot....
Uthe nahi tum ab tak bhi
Soye nahi hum ab tak bhi
Waqt zalim mein farq hai bohot
Ab so jaana hi padega
Ab neend aa rahi hai bohot....
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:20 AM UTC