"ehasas" poems
Teri yad hain ek khvabo ka jharana
Jise yad karake yu doob jana
Fir aankho pe nami ka achanak se aana
Ehasas hain karata vo gujara jamana
teri yad . . .
-----------------------------: :--------------------------------
( Karunakar )
Aug 6, 2014
Aug 6, 2014 at 12:29 PM UTC
aaja kahi Tere sath chale
ji bhar ke tujhko Pyaar kare
Aise dekhu tujhe Kya baat kahe
Naina hi Pyaar ka izhaar Kare
Sochu tujhe , Aisha khwab rahe
Ki baaho me Teri , saari raat Jage
Aaja kahi Tere sath chale
Ji bhar ke tujhko pyaar kare
Bhige magar na barasat rahe
sanso ko mere ,tera ehasas rahe
Apr 11, 2020
Apr 11, 2020 at 5:46 AM UTC