Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"dwar" poems
Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak, roj jaata raha, roj aata raha. Tum gazal ban gayi ban gayi, geet me dhal gayi, Manch se main tumhe gungunata raha. Zindagi ke sabhi raste ek the, sabki manzil tumhare chayan tak rahi. aprakashit rahe peer ke upnishad, man ki gopan kathayein nayan tak rahi, Praan ke pristh par preet ki vartani tum mitati rahi, mai banata raha Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak, roj jaata raha, roj aata raha. Tum gazal ban gayi ban gayi, geet me dhal gayi, Manch se mai tumhe gungunata raha. Ek khamosh halchal bani zindagi, gehra thehra hua jal bani zindagi, tum bina jaise mehlon me beeta hua urmila ka koi pal bani zindagi. drishti akaash me aas ka ek diya tum bujhaati rahi mai jalaata raha. Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak.. Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak, roj jaata raha, roj aata raha. Tum gazal ban gayi ban gayi, geet me dhal gayi, Manch se main tumhe gungunata raha. Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak..!!
0
Feb 6, 2015
Feb 6, 2015 at 7:32 AM UTC
..Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak..
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar, Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar, Vidai ka hota hai ye kaisi bela, Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela, Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal, Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal, Bahut si yaadein  chhoti aankho me sajaye hue, Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue, Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali, Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali, Jahan  pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod, Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar, Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya , Aakhir kisne ye  riwaz banaya , Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan , Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan , Waqt ka kaisa hai ye dastoor  Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur , Chali hai aaj papa ki gudiya , Chhodhkar apne aangan ki nindiya,  Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan , Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan, Babul ki laadli kab ** gayi badi, Aayi hai dil ko chhune wali ghadi, Jis  ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi, Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi, Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya, Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya, Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar, Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar, Babul ka ghar......... Composed by Sonia Paruthi & Shrivastva MK
0
Mar 22, 2018
Mar 22, 2018 at 2:23 PM UTC
UDD JAYEGI EK DIN CHIRAIYA CHHODKAR BABUL KA GHAR
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai, Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai, Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai, Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai, Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai, Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai, Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai, Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai, Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai, Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai, Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai, Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai, Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai, Khud bhukhe rahkar  bhi hume khilaya hai, Duniya ka sabse sachha Gyan  Maa  Papa  me hi sikhaya hai, Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
0
Jun 17, 2017
Jun 17, 2017 at 12:51 AM UTC
MAA
Tere kadam kya padhe dwar pe, Tanhai ne toh hume bewafaa karaar kar diya..
0
Aug 7, 2020
Aug 7, 2020 at 3:23 AM UTC
Tanhaii