Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
mai sukhi daali ka ek murjhaya hua bela hu
par ye sach hai udash hu aaj mai, bahut akela hu

ye alag baat hai ki mai jutha bahut hu
haa par sach batau mai tuta bahut hu

aaj tak maine sapne sanjoya bahut hai
sach batau to akele me roya bahut hai

iss rangeen dunia me pyar ke naam bahut hai
par sach batau to aaj pyar badnaam bahut hai

jo ek adhura khwab tune inn ankho me diye the
par sach batau to gum bhi sirf tune hi diye the

ye alag baat hai ki mujhe pyar ki samajh naa thi
par sach batau to tumhe pyar ki parakh nahi thi

ye alag baat hai, maine hass ke bhulaya bahut hai
par sach batau to mere apno ne hi iss dil ko dukhaya bahut hai
iss dil ko dukhaya bahut hai....
Anonymous Apr 2019
Dil me liye armaan hazaro,
har ek insaan daudta hai..
Sapne pure karne ko apne,
kai baar woh rota hai..
Tanhai ke aasuo ki keemat nahi hoti,
aankhen nam kar akele, fizool hi roya main..
Pata nahi kaise,
par iss daud me jeet kar bhi hara main..

Mushkil hoti hai dagar, agar khud ke liye jeete **,
dusro ke liye jeena aur bhi mushkil hota hai..
Iss raah me kabhi kisi ka saath mile,
woh saath nibhana aasaan nai hota hai..
Meri koshisho me shayad reh gayi kami koi,
jo aaj tak nahi nibha saka isss rishte ko main..
Pata nahi kaise,
par iss daud me bhi hara main..

Khud ki takleefo me shayad gum gaya zyada zara,
jo dikha nahi mujhe mushkile hoti toh sabhi ko hain..
Chizo ko suljhane chala tha,
uss raah me khud hi ulajh gaya main..
Naa mushkile kam hui aur naa takleefe door,
bas dil dukhaya sabke main..
Zindagi shayad daud nahi, par main phir bhi isme hara hu,
kisi aur ka kya kasoor, bas zindagi se hara mai..
Satya 3d
Ki lafzo se jo bayan karu mai aaj
Vo baatein purani nahi
Ki baat karu agar un yadon ki
To Vo yaadein purani nhi
Mana,
Mana ki kayi galti Kari hai mene
Mana ki shayad dukhaya hai tumhara dil nhi mene
Mana ki na samaj paya teri man ki baaton ko
Mana ki na samaj paya tumhare isharon ko

Na jane kyu ham un baaton mai pade
Na jane kyu un halato se lade
Na jane kyu na samjha ye ishq ko
Na jane kyu na mana is ishq ko
Na jane kyu khud yun kho sa diya hai
Na jane kyu jan ke andekha kiya hai
Na jane kyu...
Kher,
Ab raat gayi baat gayi
Sab kuch hai badal gaya
Is samay ki doud mai khud ko khi piche sa chod diya
Ak khula aasmaa, ak aangan
Aur bs bacchi teri yaadein hai
Jee raha hu unhi ke sahare
Agar sach bolu to
Ab na kat ti ye ratein hai

Pr ab na kuch aur ** payega
Bacha ye akela pan ab mera hamsafar ban jayega
Rahi baat agar ishq ki to adhura vo yun reh jayega
Ki bayan kare agar koi
Na panno pr bhi vo sama payega.....
Hope you like it

— The End —