Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Siddharth Ray Jun 2019
Jis din ankhein na khule,
Andhere main lage sab theek,
Bandh ankhon pe peeche,
Hay jaise koi tamasha

Jeboon ki woh khan khanahat,
Jab jaye taqdeer se rooth,
Fir bharri mehfil bhi lage,
Hai jaise koi tamasha

Samajh ke aage jaakar,
Chadh jao manziloon pe,
Bin darbaari ke darbaar me bhi
Bas dikhe koi tamasha
Ain Sep 2020
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. .....
Tumhare sone ke baad bedaar hone ki....
bedaar hone pe tumse pyari si kuch baatein sun ne ki ....
Phir maiñ kuch kahun phir tum kuch kaho. ....
Phir ab jaana hoga hi bhale se kyun na kaho. ...
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ...

Tumhari jhalak aane ki kab dikhe mujhe. ...
Mere dil ki baaton ko Kab keh paun main   tujhe. ..
Maiñ ab tak soyi nahi *** tere intezaar mein yeh. ...
Paigham pohunch jaaye bas pata chal jaaye tujhe....
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ...

Yeh milon ki doori mite na mite. ...
Yeh waqt ki doori mite na mite. ...
Yeh Din aur raat ka chakkar Kate na Kate. ...
Bas sirf lafzon ke raabte se jud jaaun main phir se. ....
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ....
Tejash Agrawal Apr 2020
Dard bhi humne diya roye bhi hum
      Pyaar bhi humne kiya roye  bhi hum
     Nazane kya kar baitha hum
    Pyaar karu to  bhi tumko pyaar na dikhe
   mohabbat karu to bhi tumko mohabbat nahi dikha

— The End —