Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ted Rufflepuff Mar 2015
Voh tanha raatein hai,
Jab tum saath na hoti **,
Jab khamoshiyaan satati hai,
Jab pyaar Mein dhoka hua hai,
Jab raat ka ujala naa **,
Jab ansuni baatein suni **,
Ki karra, aai rabba, Yeh tanha raatein.
#lamepoetry :3
Prime Rhyme Time Jun 2020
Maa,  kya tj pta h
Tri beti ko yha kse jeena pdta h
Ghrpe tu jse mj jgati thi
To koi b chinta mj na satati thi
Yha tri bht yaad aati h
Pr phr b tri beti khud ko smjhati h
Sone k phle aakho se aasu aa HI jaata h
Kuki yha ka akelapan mj bht satata h
Bht jhoota h ye jha
Aasan ni rhna yha
Hr Mod pe ek nayi chunauti aa jati h
Mgr tu preshan mt **
Tri beti tjhko HI yaad krke sbka saamna kr paati h
Maa ku ni h tre jse sb
Kuki pta ni chlta kon yha dhoka DE jaaye kb
Or papa.. Tumhari pari tumko b bht yad krti h
Jb b tumhari yaad aati h.. Ye aakhe ro pdti h
Me tumko dikhati ni ki  akeli hn ME yha
Plz tum mj le jaao na aap sbka saath mil ske jha
Ku wapus ni aa jaate vo din
Jb b tumahri pari preshan hoti thi
Uske saath uske Papa ki himmt hoti thi
Yha to bs roti rh jaati hn
Tumhara intezaar krti rh jaati hn
Koi b mere paas ni aata
Isliye kai baar dil sehem sa h jaata
Bhai..  Tri vo ladai yaad aati h
Jo mj rote wqt b hsa jati h
Or jb Tra, mera US trha dhyan rkhna yaad aata h
Vo hste wqt b mj rula jaata h
Is Hostel ki zindgi ne sbko door kr dia hai
Or Bs hr mode pe akela krke cchod dia hai
Kaash bdi HI na hoti ME
To ab b PAPA ki vhi pari HOTI ME
Maa ki vhi laado hoti ME
Bhai ki vhi shararti bhn hoti ME ..
Neeraj katta Feb 2019
mene use apna yaar hote dekha he

gazab ka dhoka he dil pe waar hote dekha he

sapna sa tha shayad jo hakikat bana

fr mene har sapna taar taar hote dekha he

baate karta tha mujhse pyar or mohbbat ki

dosti ki had me tha me
par pyar hote dekha he

bichda me jab usse dil
be-karar hote dekha he

jeeti har baazi zindgi me
pyar me haar hote dekha he

yaado me bulate he mitti ki surat banate he

tasveer badlo me banate
to hawao ke palat waar hote dekha he

hamne pyar kiya tha kabi

ab pyar hote dekha he

ab pyar hote dekha he

nk
Ain Sep 2020
Saraab....

Tu ek khayaal se zyada kuch aur tha bhi nahi...
Bas ek khwaab se zyada tu kuch hua bhi nahi...
Woh ek zakhm jo dil ko kabhi mila hi nahi...
Tu hai woh dard jo mehsus ** saka hi nahi...

Woh lafz the mehez alfaaz sach hue hi nahi....
Na haq vo baaton ke parde kabhi khule hi nahi...
Humare ijz ka un par asar hua hi nahi...
Ki inkisari mein hum ne bhi kuch kaha hi nahi....

Teri ranjish kabhi dil ko hui ata hi nahi...
Mera daaman teri khalish se bhar saka hi nahi...
Woh faasla kabhi jo paar kar sake hi nahi...
Woh raasta ke jin pe paon chal sake hi nahi...

Tu ek yaad hai jise yaad rakh sake hi nahi...
Tu ek saraab hai jise haath dhar sake hi nahi...
Aazmana kisi ko kab yeh achchi aadat hai...
Aazmaish se hum kabhi juda hue hi nahi...

Ke intekhaab jo tera maine kiya tha kabhi...
Munasebat ke daayre se vo juda hi nahi...
Woh ek sada jo kabhi pesh kar saka hi nahi...
Vo ilteja kabhi bhi tu jo sun saka hi nahi...

Meri aankhon ko deed tera ** saka hi nahi...
Teri khushboo se **** mera tar hua hi nahi...
Woh jo qurbat sa kuch mehsus ** raha tha mujhe...
Wasl ka lutf woh mujhe kabhi mila hi nahi...

Kyun jo tu khud parast nahi to dekhta hi nahi...
Kyun nigaah tu meri taraf phira saka hi nahi...
Woh jo sehra tumhe yun sabz nazar aata raha...
Saraab tha kabhi waha yahan hua hi nahi...

Kaha tha us ne ke mujh ko bas ek nida dena...
Ae dil tu maan le tha tu ne yeh suna hi nahi...
Teri nigaah mein umeed ek basi thi jo “Ain”...
Nazar ka dhoka tha ke kuch kabhi basa hi nahi....
Mayank Garg Jun 2020
-Galti teri nahi thi ki
Tune mujhe dhoka diya

-Galti teri nahi thi ki
Tune mujhe dhoka diya
-Galti toh meri thi jo
Maine tujhe mauka diya
Dipika Nov 2017
Uth te hi subh ye ankhe tumhe dhunda karti
Najane Jante hue sabh anjaan bna karti
Dil kehta hui hogi judayi shyd sapne me
Dimaag bol uthta dhoka bhi diya usii apne me
Naa chahte hue bhi teri chah aa karti
Subh subh dil me bhula dard firr le aati,
Kosti hu khudko har subh ikk koshish to ki hoti
Par pyar to usne bhi kiya tha..
Dard me shayad vo aankhe bhi namm hue hogi rotii...


DK..(My diary - Dil se)
Mayank Garg Jul 2020
Kal maine maa se poochha ki ye ladkiyan dhoka kyu deti hain

Unhone kaha kuchh ladkiyon ki pehli mohabbat unke gharwale hote hain
Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye  
Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye  

Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa  
Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye  

Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa  
Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye  

Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka  
Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye  

Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas  
Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye  

Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein  
Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye

— The End —