"dharam" poems
Na amiro ki basti mein rhta hu
Na hi gareebo ke aashiyane mein
Middle class ka hua
Middle mein rhta hu
Na pahali pankti ki pehali seat pr baithta hu
Na hi aakhar mein khada rhta hu
Middle class ka hu
Middle mein rhta hu
Na croro ka kabaar hai
Na hi gulabi note hazar hai
Middle class ka hu
Meri jarurate saman hai
Na luxury car hai
Na nhi cycle apni bekar hai
Middle class ka hu
Auto,riksha, paddle chalna
Apne liye aam hai
Na meri girlfriends char hai
Na hi single rhna izzat ka swaal hai
Middle class ka hu
Apne yaar,dost shandaar hai
Na aasman chhuti imarto par likha apna naam hai
Na hi sadak kinare bitati apni shaam hai
Middle class ka hu
In dono ke beech
Kaat leta apni raat hu
Na videsh ghoomnta hu
Nahi sehar se bahar jaana muskil samjhta hu
Middle class ka hu
Apna desh pura ghoom lena bhi bahut samajhata hu
Na sir jhukane wale log hai
Na hi sir jhukane wale hum hai
Middle class ka hu
Sabko gale lagana hi
Apna dharam hai
Na hi ac mein kaam karta hu
Na hi dhoop mein pasina sukhata hu
Middle class ka hu
Pankhe ke niche apna kaam karta hu
Na suraksha karmi apne pass hai
Na hi sarir apna lachar hai
Middle class ka hu
Apni jaan ki raksha apne hath hai
Na chhapan pakwan banate apne maharaj hai
Na hi khaali pet sota apna pariwaar hai
Middle class ka hu
Meri maa ke haath mein hi sara sawaad hai
Aug 5, 2018
Aug 5, 2018 at 2:59 AM UTC
Dharam K naam or hote dange h
Dharam K naam pe khote insaniyt h
Akhir yh dharam h kya
Hindu, muslim, eshahi
Kya hm kisi K khun s dharam ka pta lga sakte h
Fir yh dharam nibhana etna jaruri q h
Q dharam K naam pe insaano ko bata jata h
Kya dharam h sarwopari h
To fir yh insaaniyt Kay h
agr insaaniyt nibhane K liye dharam ki maryada tuti to yh paap kese h
Q un dange pashad m Kuch maasum bchcho ki masumiyt chinta yh smaaj h
Aakhir dharam kese bdha hua jb wo glt rash m hi le jata h
aakhir q yh log dharam K arth ko bigaar rhe h
Or jhuti insaaniyt K naam or insaan ko maar rhi h
Aakhir q?
May 28, 2021
May 28, 2021 at 1:00 PM UTC