"dhan" poems
Na dhan k e daas hote hai ,naa mann ke daas hote hai
Nirasha me v aasha ka, saghan vishwas hote hai
Nazar se dur hokar v, jigar ke paas hote hai
Mohabbat karne wale dil, bahot hi khas hote hai
Ibbadat kaun karta hai,Innayat kaun karta hai
Sabhi hai lootne wale, mohabbat kaun karta hai
Bharamar ki gungunahat se hi, ab har phool darta hai
Sabhi khilwadd karte hai, mohabbat kaun karta hai
Mohabbat apni har aashiq, pe jaya hum nahi karte
Ki aise har kisi pe dil, lutaya hum nahi karte
Mai kahti raat rani se, meri awaj ko sunkar
Chale aate hai khud bhawre, bulaya hum nahi karte
Hume apni mohabbat tum, gawara mat samajh lena
Aji ye dil humara hai, tumhara mat samajh lena
Kayamat ki nazar hai, humnazara mat samajh lena
Kinara kar rahe hai hum, Isahara mat samajh lena
Sep 10, 2016
Sep 10, 2016 at 6:34 PM UTC
Insaan Insaan Hauta Hai
Kalaa , Gora , Peela ya Sawla.
Insaan Insaan Ko Hi Maarta Hai
Dhan, Kapda , Kaam Ya Audaa.
Insaan Insaan Hi Reh Jaata Hai.
Waqt , Aqaal , Jagaah Ya Saubaat
Insaan Insaan Tau Nahi Bantaa
Gadddar, Kaatil , Na Farmaan Ya Jhoota.
Insaan Insaan Hau Hauta Hai
Waqt Bhi Badaal Jaayi Woh Nahi Badlai Ga
Sep 10, 2020
Sep 10, 2020 at 12:52 AM UTC
Zindagi ka saar h ,mehnat
Har byakti ka uddhar h, mehnat
Karne h gar tujhe sapne sakaar
To dena suru kar mehnat ko
aakar
Kai parishtithiyo m tujhe jhukna padega
Kai baar tujhe rukna padega
Kar ye dran nishchay tu apne man m
Nahi fasega tu moh-maya aur dhan m
Zindagi ka saar h mehnat
Har byakti ka uddhar h menhat 😇
Jun 24, 2020
Jun 24, 2020 at 12:01 AM UTC