Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"dafan" poems
wo din bhi kya the jab neend hume sulati thi sapno ki ek duniya hume kahin dur le jati thi wahin pe ab dafan hai beete dino ki pehchan mere har kal mai aur meri har saans beete dino ki wo duniya guzre zamane ke wo pal kahin gum hain wo garmiyan ab to bus suna hai ye kal gumshuda hain wo chehre jinhone hume jeena sikhaya rakh ** chale wo chehre jinhe mitna ras aya me bhi ek chehra *** anginat ankhon me se ek is samandar me mera bhi wo haq hai chahe lakhon me ek par wo bolten hain me to *** hi ek ***** ki ek tuta dil fir nahi dhadakta hai wo puchten nahi in bhari mehfil is tute dil me- akhir kya rakha hai
0
Jun 19, 2015
Jun 19, 2015 at 7:15 AM UTC
Dil-e-kurbaan
apno se jada gairon ki yaad aati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jaati hai, dil ka haal samajhne vala koi nahi hota, aur jindagi hai k bas ek chidiya ki tarah ud jati hai, dll me yaad basi rah jaati hai, mashaal jalti hui achanak bujh jati hai, aankhon k saamne base andhera hi andhera dikhta hai, har roshni bhi feeki pad jati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai.... wajah bewajah hi dard uthta rhta hai, aankhon ka mom har waqt pighalta rahta hai, aansoo b rasta aona badal lete hai, dil me tadap k shiva aur kuj nahi bachta hai, har khwahish dafan ** jati hai, chahat bas khud ko khatam karne ki rah jati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai..... shahar logon se bhara hokar bhi veeran lagta hai, din nikalte hi dhalne lag jata hai, bewajah koi insaan shaitan lagne lagta hai, khud ki ek saan bhi bejaan lagne lagti hai, bejaan aawaj, rookhe shabd, pathrayi aankhen, aur aansuon ki sookhi dhara shrajal ** uthti hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai..... yun to har waqt khyal dil me rhta hai k vo mera hai, tabhi koi khta hai k vo nahi bas bhram tera hai, aur kitna pyar me barbaad ** jaun, khatam ** jaun ya tujhme hi mar jaun, aasan nahi koi jirah rah jati hai, har gali kooche se bas unk nikalne ki aas rahti hai, vo mere nahi har taraf bas ek hi aawaj goonjti hai, din khatam raat shuru, roshni gayi andhera shuru, sath khatam tanhayi shuru, bas yahi tadpan har ghadi rah jati hai, vo meri nahi kisi aur ki ** jati hai, jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai....
0
May 12, 2019
May 12, 2019 at 8:21 AM UTC
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jaati hai

Continue reading...
38
1. Dard ko kaagaz *** utarna aata hota to hum bhi galib hotee, magar humara dard to sinee mai dafan hai !! Hum Galib to nehi magar likhne ka junoon rekhte hain, kisi aur ke dard mai apna dard dhoond liya kerte hain..... 2. Duaen jhoot ko sach banane ke liye mangi jatii hai !!! Sach ko jhoot banen ki koi fariyaad nehi hoti.. 3. Zakham sabke hote hain,magar khuredna koi nehi chata.. Yee hai maasukha jisee chodna koi nehi chaataa.. Agar zahkam mere tum dekho to zakham saha nehi jata.. 4. Aaj phir usne kaha plz understand ... Mai na jane kyon uskii naa mai haan samajh gya, phir dil ko bewafa samajh gya.. 5. Mai iss umeed mai dooba tuu bacha lega ... abb iske baad kya mera intehaan lega 6. Aaj tune phir us mod *** sath choda, phir mekhane ke bahar haath choda ... hum is mod see is kadar wakif hai, kii lagta hai tune phir ghar laa choda.... 7. Dhunvee kii aadat sii hoo gyee hai nashe kii cahaat sii hoo gye hai... Tuu na rehe to kya hua tere bina jeene kii aadat sii hoo gyee hai...
0
Jul 16, 2018
Jul 16, 2018 at 6:33 PM UTC
Kuch shayari..
Ek shakhs hai jise main behad pasand karti hoon, jise main beinteha chahati hoon. Ek shakhs hai jisse mera dil beinteha mohabbat karta hai par yeh baat usse main samjhau kaise? Pasandida mard hai woh yeh baat usse main bataun kaise? Nahi reh sakti main uske bina yeh baat woh samajhta kyu nahi? Kya usse mujhse mohabbat nahi? Kyu woh ek shakhs mere dil aur dimaag mein bas chuka hai? Meri mohabbat ab "ishq" ban chuki hai yeh baat main chah kar bhi usse bata paati kyu nahi? Aakhir kyu yeh dil uske bina kahin teherta nahi? Aakhir kyu uske alawa meri nazare kissi aur ko dekhti nahi? Kyu uski yaadein har pal, har lamha mujhe uske aur kareeb kar deti hai? Mujhe usse kya uski aankhon, uski baaton, uski khusboo ya tak ki uske naam se bhi ishq ishq hai, kaash yeh main usse bata paati. Uski aankhein jo samudra se gehri hai, unn aankhon mein dekhna mujhe kaafi pasand hai, uff!! Uski nashili aankhein. Uski awaaz? Uski awaaz mein toh maano jaise ek alag hi madhoshi hai, jisse sunna mere kaano ko ek sukoon sa deta hai aur hayee!! uska naam sunte hi mere chehre par jo muskurahat aati hai, woh kahan hi kissi se chhupi hai? Haan, ishq hai mujhe usse yeh baat mere dil mein hi kahin dafan hai. Usse meri mohabbat ki koi hadd nahi yeh jaake usse koi bataye, uske naraz hone se maano meri saansein tham jaye. Behad khoobsurat hai woh shakhs yeh baat woh maanta kyu nahi? Nahi reh sakti main uske bina yeh baat woh samajhta kyu nahi?
0
Mar 8, 2025
Mar 8, 2025 at 9:30 AM UTC
Mohabbat 🎀🧿
* *Dil tu kyun ro raha hai Jo hona tha, woh ** chuka hai Dil tu kyun ro raha hai Jo khona tha, woh tu kho chuka hai Ek kona hai bas ab tera Wahin pe raat, wahin tere din Wahin har saans ko aankhon se gin Jo hona tha, woh ** chuka hai Dil tu aakhir kyun ro raha hai Tera tha khula asmaan Teri hi thi naadi, teri vaadiyaan Tera hi toh tha yeh jahaan Tujhka tujhse hi tha imtihaan Aur tu na jaane kya khoj raha tha Tu kahin toh pahunch raha tha Ek kona hai bas ab tera Wahin ab teri har arz sunsaan Wahin ab dafan har karz, har toofaan Khud ko khud se hi bhool raha hai Ab toh veerane mein bhi tu doob raha hai Tab se ab tak khud se hi jhoojh raha hai Kya ab bas ek kona hi hai tera? Dekh, wahan ek phool khila hai Tere aansuon se seencha Woh tujhse pooch raha hai — Tu kyun ro raha hai? Jo hona tha, woh ** chuka hai Jo khona tha, woh kho chuka hai Ab bhi hai asmaan Ab bhi woh naadi, woh vaadiyaan Ab bhi hai yeh jahaan Tera hi tujhse imtihaan Tu kya soch raha hai Sunn zara murshid kya bol raha hai Kya bas ab ek kona hi hai tera? Tujhko toh tera Khuda khoj raha hai Ja, main hoon yahan — Teri zameer, tera armaan Teri kami, tera gunah Tera nazeer, teri panah Ja, main hoon yahan Main hoon yahan.* *
0
Jun 12, 2025
Jun 12, 2025 at 8:34 AM UTC
Dil tu kyu ro raha hai?