Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
yun to khush hu mai bahut,
k tum pyar jo itna karte **,
rahte ** door bahut mujhse to kya,
tum pyar bahut karte **,
mai jab bhi kabhi rota hu tumhe yaad kark,
tumse kahta hu k paas aa jao mere,
tum nahi aa pate **,
mai rota hi rahta hu,
tum bahut samjhate **,
apni majboori batate **,
par mai nahi samajhta ,
aur fir bhi rota rahta hu,
to kya,
tum pyar to mujhse karte **...........
kabhi kabhi jab dil karta hai k tumhare paas aaun,
tumhe apni bahin me bhar loo,
tumhe apna bana loo,
tumhe khud me basa loo,
sari duniya se door hokar tumhare sath ek alag duniya basa loo,
aur tumse kahta hu k sath mera de do,
aur tab kisi aur k sath tum hote **,
haan tumhari marji nahi hoti,
fir bhi tum kisi aur ki bahon me hote **,
vo tumhe choota hai pakadta hai,
mera har hak apna bana leta hai,
aur kahte ** k meri majboori samajh lo,
aur mai nahi samajhta hu,
rota hu aur tumhare oaas aane ko tadapta hu,
jab fir bhi khwahish poori nahi hoti,
tab mai rota rahta hu,
to kya,
tum pyar to mujhse karte **.......
jab mai khush hota hu,
to tumhe dil ki har baat batana chahta hu,
vo khushi khud se pahle tumse bantna chahta hu,
tum tab bhi nahi hoti **,
kyunki kisi aur ki chahaten poori kar rahi hoti **,
jab bhi dukhi hota hu,
to chahta hu k tumhara hanth mil jaye,
tumhari god me chup jana chahta hu,
aur ro rokar sara dukh mita dena chahta hu,
par tum nahi hoti,
kyunki tab tum kisi aur ki dukhi hone ki wajah mita rahi hoti **,
aur fir mai rota hu jqb tak tum nahi aati,
jab tum aati ** fir se apni majboori batati **,
mai cheekhta hu chillata hu,
pal pal tumhare paas aane ko tadapta rahta hu,
par tum nahi aati,
aur mai rota rahta hu,
to kya,
tum pyar to mujhse karte **......
Ain Sep 2020
Bada mushkil tha woh Lamha tere dar se nikal ne ka...
Ke ruqsat ** rahi thi main magar ek juz wahin par tha...

Thi aankhein aansuon se pur qadam aage hi na badhta...
Nazar mein kuch nahi tha Dil mera shiddat ke ranjh mein tha...

Kuch aisi kaifiyat mein chal padi Chalna muqaddar tha...
Kabhi lautungi main dar pe mere Zehn mein mere yehi chalta...

Yun hi chalti rahi, main *** kahan par Yeh na kuch socha...
Jo peeche dekha maine ghar bohot hi door tha choota...

Ke ab to raasta bhi ghar ka mere mujh ko naa dikhta...
Ke kaise jaungi main ghar ko mere mujh ko na tha pata...

Mere atraaf mein bas tha bayabaan aur veeraana...
Zamane bhar ki thokar ka Yeh pehla sa tajurbah tha...

Safar se thak chuki thi main aur mayoosi ka aalam tha
Par Tu ne chod na mujh ko diya Bebas besahara.....

Achanak dasht o sehra mein woh aaya ek masiha tha...
Badi hi door se dikhta mujhe us shaks ka saaya...

Usi ne rehnumaai ki sahi simt us ne dikhlaya...
Khushi se jhoom uthi main jo pata ghar jaane ka paaya...

Mujhe jaana kahan aur kis tarah Yeh ramz tha pehchaana...
Ke saathi ban rahe the "Ain" tere Na Tanha aalam tha...

Safar ab khushnuma tha har taraf manzar suhana tha..
Ke ab bhi chal rahi *** par safar ab na tha anjaana..
Wajah bewajah
bina baat hi kabhi bas,
log rootha kyu karte hain ?

Kyu
apni hi ummeedon ke tang jaal mein
din raat,
yun hi ghuta karte hain ?

Jaane anjaane
hum  “humare” “apno” se
wada jhootha kyu karte hain ?

Zindagi ki daud dhoop mein
kuch saathi bante hain
toh kuch
choota kyu karte hain ?

Dilon ke rishte
Aksar toota kyu karte Hain ?

Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai
Kai baar mile aur bichad gaye
Bhala majra kya hai ?

Iss banne aur sawarne ki
Iss tootne bikharne ki
Aakhir dawa bhi kya hai ?

Hey Nath,
Yeh das tumhare charano mein
Gira hua hai pooch raha
Mera dil hi kahin behaya kya hai
Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai

Iss bhava bandhan mein phansa  hua
Meri karun pukaar suno
Kukarmo ke daldal mein dhansa hua
Kar raha chitkaar suno
Davagni mein jal raha
Bheesan hahakaar suno

Daya karo ab hey Bhagvan
Ya ban Narsingh sanhaar karo
Aap ki sharan mein ab yeh dushtt
Iss neech ka uddhar karo

— The End —