"chheda" poems
Maine kabhi kissi ko nahi bataya ki main tujhse pyaar karta tha ,
Fir bhi saara zamana mujhe tere naam se chheda karta tha .
Unko chup karane ke liye main tujhse ladta tha
Akele mein ghanto roya karta tha .
Maine kabhi kissi ko nahi bataya ki main tujhse pyaar karta tha
Fir bhi saara zamana mujhe tere naam se chheda karta tha .
Maine unse puchha ki unhe aisa kyun lagta hai ,
Unhone kaha unhe meri aankhon mein tere liye pyaar dikhta hai .
Tujhe kabhi mera pyaar nahi dikha
Shayad isliye, kyunki main kabhi dikha hi nahi paya.
Hamesha zamane ko hi chup karane mein laga raha
Kabhi tujhe apne dil ki baat keh hi nahi paaya .
Teri yaadein mujhe bahut satati hain
Na din mein kaam karne deti hai
Na raat ko sone deti hain
Bass tere baare mein sochne par majboor kar deti hain .
Apr 30, 2020
Apr 30, 2020 at 5:13 AM UTC