Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"chahti" poems
FIR AAYI HOLI Fir aayi Holi ek baar, fir le gayi mere dil ka karaar; Puchhna chahti hu, kyu rulateho tum mujhe yuhi, baar baar. Itne rango ke beech bhi hei tan man feeka; aankhoki pichkaarise behte hei aansu zaar zaar Saalo beet chuke firbhi nazar dekhti hei teri raah, lagaataar. Radha ka pyaar hi hei kuch aisa, maanta nahi yeh kabhi haar Jaise kanha ke beena Radha adhuri aise hi, piya- milan beena, Holi hei adhuri. Kanha tere beena rang feeke, Chand feeka; soona lage mohe sansaar. Aa bhi ja Mohan, itna ne tadpa, raah niharu tori; kab aayega tu jamuna paar. Armin Dutia Motashaw
0
Mar 10, 2020
Mar 10, 2020 at 3:59 PM UTC
FIR AAYI HOLI
Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi, Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa... Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi, Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi, Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa... Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi, Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi, Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi, Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi, Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi, Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai, Bachpana samjho ya nadaniya samjho Par tere hi aggey hua karti thi, Tu Maa thi ya meri dost thi Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi, Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai, Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa, Qki maa teri meri yadein bht achi thi Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi. Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa.. Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa, Sach Drr lagta hai duniya se maa ab Jee paungi ya tut jaungi mai ab, Kitni bholi thi maa tu humesha se Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi, Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi Toh kick tu hi mara karti thi, Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi, Itni sachi aur achi maa thi tu Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi, Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse, Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko, Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye, Maa bharosa kar mera bharosa nahi todungi tera Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
0
May 14, 2020
May 14, 2020 at 12:18 PM UTC
Maa teri yadein....

Continue reading...
54
Tum bheegna chahti thi baarish me hanth me hanth pakadkar, Tum aana chahti thi jindagi me meri khushi bankar, Chahti thi tum kabhi k mai tumoo baahon me bhar loo, Sona chahti thi tum mere seene pe sar rakh kar, Kha tumne hi ek din tha k tham lo haanth tum mera jindagi bhar k liye, Mujhe bas apna bana lo tum aane vaale har pal k liye, Har baar dil ko mere sunahre sapnr dikhaye tumne, Kabhi mere haanthon ko choomkar to kabhi hanthon me haanth pakadkar, Inkar tumko bhi nahi tha k tumhe mujhse mohabbat hai, Sirf mujhko hi nahi tumhe bhi mujhse utni hi mohabbat hai, Tumhar bhi kabhi khwahish thi k baal sanwaroo mai tumhare, Ungliyon se pajadkar kaan k paas le jaaun sare, Saath bitayen jindagi baant le har muskurahat aur ansoo aapas me hi saare, Magar tanha is dil ko ehsaas hua jab toota ye sapna, Meri khatao se rooth kar rukh mod liya tumne jab apna, Ab na baaki rah gayi jafa koi, Tumhe vaapas bulane ki, Tum mujhse door ** gayi ** chahat todkar apni, Tum mujhse rooth jati ** ku vaade bhoolkar sare, Ijaajat tumne hi di thi tumko satane ki, Satata aaj b nahu hu, Khata fir bhi ** jaati hai, Chalo ek baar aa jao, Na mujhse door tum jao, Gunah mere kiye saare , Bhulakar dil ki ranjish ko paas aa jao tum mere, Samajh jao dil ki tadpan ko nigahen mujhse na fero, Aaajao is baar pyaar me kar le milkar k vaade sare poore, Jo meri nasamjhi se abhi tak rah gaye adhoore, Paas tum aa jao mere paas tum aa jao mere, Ek tum hi to ** meri koi aur nahi kareeb shiva ek pyaar k tere. I love u
0
May 11, 2019
May 11, 2019 at 7:43 AM UTC
Paas tum aa jao mere

32
Jis phul ne koi galati hi nahi ki, Use kis baat ki saza diya ja rha hai, Es duniya me aane se pahle hi kyu use maar diya ja rha hai, Ai Khuda kyu aise janwar ko tune banaya, Ek chhoti kali ko pet me hi maar khud ko insaan btaya, Na maaro us phul ko jisme us bhagwan ka hai waas, Ek din aisa aayega jab ** jayega puri shristi ka naas Arey nasamjh insaan sirf bete ki hi aas lagaoge, To phir maa, behan aur dulhan kahan se paoge, Mata-Pita ki galati ki saza us chhoti kali ko diya jata hai, Ek chhote se andhere ghar me hi use maar diya jata hai, Wo kali bhi baar baar unlogo se karti pukar, Hey Maa-Baba mujhe pet me hi mat maar, Ye duniya ek baar mujhe bhi dikha de, Apne amrit ki ek ghunt mujhe bhi pila de, Nanhi si jaan tou hai bekasoor, Maar kar hi aakhir kyu milta hai pathar dilon ko suroor, Wo bhi dekhna chahti hai duniya, Janam lene se pehle hi Jaan gawani padti hai oo gudiya, Apne hi hathon ukhed dete hai apne hi aangan ka phool, Kaisa hai ye bereham logon ka usool, Kismat wale hote hai wo insaan, Jinki kokh mein dete hain betiyan bhagwaan, Beti hai ishwar ka hai en anmol uphaar, Jeene ka us nanhi jaan ko bhi hai adhikaar, Sharam aati hai logo ki is ghatiya soch par, Taras aata hai unpar Jo apne hi ansh ka dete hain maar Devi ka karte hain jo tiraskaar, Banao ek naya usool Beti ko karo qubool Jeevan ka hai ye adhaar Banta hai inhi se sansaar, Likh us phul ka dard hamari aankhen bhar aai, Teri banai duniya me O mera khuda ye teri kaisi khudai.. Ye teri kaisi khudai... Collaboration by Manish Shrivastava and Sonia Paruthi
0
Mar 23, 2018
Mar 23, 2018 at 10:12 AM UTC
Nanhi si jaan ka balidaan

36
Vo ek mahine phle se birthday ki excitement is saal thodi kam thi Birthday ke din bhi birthday bali feeling thodi kam thi. Ab mai shayad childish se thodi matured ** gayi thi. . Har saal ki tarah is saal mom dad se kisi mehenge se gift ki zid nhi ki thi. Unke dil se diye aashirwaad ki khushi hi bahut thi. Ab mai shayad childish se thodi matured ** gayi thi. . Bachpana jane mai vaqt thoda jyada lag gya. Jimmedariya samjhne mai vaqt thoda jyada lag gya. 16 saal ki ** gayi thi, thodi badi ** gayi thi. Ab mai childish se thodi matured ** gayi thi. . Ghar ki problems samjhne lagi thi. Ab thoda hi sahi magar sahi aur galat mai pehchan ne lagi thi. Ab mai childish se thodi matured ** gayi thi. . Jo phle papa ke paise dosto ke sath udaya karti thi. Aaj papa ke sapne pura karna chahti hu. Ab mai childish se thodi matured hoti ja rhi hu. Ab mai childish se thodi matured hona chahti hu...... ~your smiling queen :)
0
Aug 18, 2019
Aug 18, 2019 at 10:14 PM UTC
Ab mai childish se thodi matured hoti jaa rhi hu
Kuch ajnabi si halchal.. Kuredd rhi hamare Dil ko pal pal!! Najaane kya bayaan krna chahti h.. Shayad aane waali koi aandhi h, Jo Hume barbaad krna chahti h!! Najjane kya Sandesh lekar aai... Shayad nhi samjh paa rhe hum iski gehraai!! Kuch andherapan sa chaa rha h... Jo Hume shayad pal pal maar rha hai!! Kuch to ajeeb baat hai... Shayad aane waali ek kaali Raat h!! Shayad koi apna hi hai iske piche.. Jo dhakel rha Hume sabse niche!! Shayad qismat mein hai yahi Likha ... Ki Hain hum uski life ka ek maamuli sa sikka!! Jo shayad koi keemat nhi rakhta h... Lekin vo shayad nhi jaanta ki ye sikka Uske liye Jaan Dene ki Bhi himaat rakhta h!!!!!                                     - manvee chauhan
0
Apr 27, 2020
Apr 27, 2020 at 1:42 PM UTC
Untitled
Samaj ke bandisho se azad Bin pankho se urna chahti hu Pankh tute hai to kya Khawo se aashaman sajana chahti hu Hoshlo ki urran hu main kisi ki muskan hu main bharat ki anokhi shan hu main band pare khawbo ki arman hu main manti hu zindgi ke safar me Me mil jate hai kuch humsafar naa hote hue apne Phir ban jate band aankho ke sapne Haa main uarna chahti hu Oos ke bund ki tarah dhara ko susobhit karna chahti hu khilkhilana chahti hu Hasna chahti hu Apne pankho ko failye dhara ko napna chahti hu apni khusboo se sbko mekhkana chahti hu apne gunjan se nabh ko gunjit karna chahti hu kali se ful ki tarah khilna chahti hu kya thi galti meri kis bat ki milli mujhe  ye saja ye Samaj ki bandishe Pairo m jakri ye janjiro se niklna hahti hu kuch kehna chahti hai Khud ko khud se milana chahti hu kyuki jaise main dikhti hu waise hu nai Mere hai kuch azad sapne Pinjre m band panchi nahi hu aazad bharat ki ek shakti ka rup hu Ek larki hu mai Haan ek larki jo khud apna itishah bnana chati hai Auro se alag khud ki duniya basana chahti hai kUch karna chati hai Apne liye apno ke liye Iss jahan ke liye.
0
Feb 15, 2021
Feb 15, 2021 at 7:48 AM UTC
Myself😇
Kesi h y jindagi jha SB h bhi or koi b nhii .... Ek ladki thii uljhii si...umeed.Lke Dil. m.dosti ki.....Pyaar Mila.pr dosti n mili na jaane wo logo m kisko dundhtii thiii. Apne Dil m bhre emotions k dher ko lke duniya bhtktii thiiii....Kya dundh rhi thi wo kch nya ya kch khoya huaa... Dosti ki talash m pyaar k saare Nishan ko hta diyaa..... Kya chahti thi wo.... Wo aajtk n samjh paayi kii.....Buri wo h ya bure log ya kch Orr Jindgi bhr usne jisko b apna Mana usne use kbhi n Mana Shydd ....PTA nii Kyo hua esaaa. ...Kisi k pass jawab n shyd uske pass b nhii.... .Ek ldki thii uljhii si thodi masum thodi natkhat si man m Tha Sagar sa selaab ..pr logo ko boond b nhi milti thiii... Mana khd thi wo insaan PR na jaane ki badlaav s drti thiii.. Roshni si chmk thi chahte p.pr na jaane ku Andhero s Tha pyaar
0
Oct 3, 2018
Oct 3, 2018 at 11:52 AM UTC
Unsaid
Na chand ki chandni ko chaha, Na sooraj ki roshni ko maanga, Na shauk mange kabhi jo duniya chahti hai, Na teri banayi shohrat ki unchaiyon ko manga, Jindagi mangi, Na kabhi mangi koi mahlon ki shaan-o-shaukat, Ae mere parwardigar Jara soch tu bhi, Kuj bhi na diya mujhko mai fir bhi khush tha, Ek masoom sa pyar karne vala diya mujhko, Aur vo bhi cheen liya, Ae khuda tune manga bhi mujhse to kya maanga
0
May 18, 2019
May 18, 2019 at 4:50 AM UTC
Khuda ne mujhse kya manga
Ek khata karna chahti hu , Tumse tumhara kuch churana chahti hu, Nahi!  Dil apna rakhlo , Mai bas tumhari Bechainiya bantna chahti hu .. Fasle bohot hai tumhari ungliyo me , Bas unhe mitana chahti hu , Aankho me Jo savaan  liye ghum rahe ** tum, unhe khubsurat rango me tabdil karna chahti hu ... Bas ek khata karna chahti hu , Tumse tumhara kuch churana chahti hu ... Mana ki thokare kahi khayi hai tumne aur darr bhi lagta hai aitbaar karne Mai ..par bas ek khata karna chahti hu ke tumse dard ki dhup chura Kar , marham ki chaav lapetna chahti hu..bas ek khata karna chahti hu ..ke tumse tumhara kuch churana chahti hu -Harshada sanap
0
Apr 21, 2020
Apr 21, 2020 at 11:59 AM UTC
EK KHATA
Tum vahan kyun ** Mere paas kyun nahi ** Jab tum mujhe chahti ** Mai tumhe chahta hu, Tumhe mai chahiye, Aur mujhe bhi sirf tum hi chahiye, Fir bhi mai yahan hu, Aur tum vahan kyun ** Tumhare dil me mai hu, Mere dil me bhi sirf tum hi ** Fir bhi mera dil dhadakta hai yahan tumhare liye, Aur dil tumhara ku tadapta vahan hai, Kyu har baar milte milte kho jate ** Kyun mere paas hokar bhi door ** jate ** Tum hi meri chahat ** Chahti tum bhi sirf mujhko hi ** Tum bhi kareeb aana chahte ** Mai b har doori mita dena chahta hu, Fir itne majboor ku ** kabhi kareeb mere aate kyun nahi ** Kabhi to ehsaas kara do mujhko paas aakar, K mai tumhara hu, Aur tum mere ** .
0
May 12, 2019
May 12, 2019 at 7:52 AM UTC
Kyuu door **
Mein kho gaya Teri yaad me Kaise kahu ... *** mein Teri yaad me Kaise kahu... Labein bas tujhe hi chahti hai Kaise kahu... Tujh bin ye aadhuri raatein... Jaagu toh hosh nahi saavere ka
0
Dec 3, 2017
Dec 3, 2017 at 1:44 AM UTC
Kaise kahu ...
Kahna tum bhi chahti ** Kahna Mai bhi chahta hu Bas un shbto ka juba pe aana Baki hai Chalna tum bhi chahti ** Chalna Mai bhi chahta hu Bas us dagar ka milna Baki hai Bhigna tum bhi chahti ** Bhigna Mai bhi chahta hu Bas badal ka garaj ke hampe barashna Baki hai Dag tum pe bhi lagengye Dag mujh pe bhi lagengye Bas kuch logo ka hampe hasna Baki hai Ruth Kai tum bhi baithi ** Ruth Kar Mai bhi baitha hu Tera mujhko, Mera tujhko manana Baki hai
0
Apr 1, 2020
Apr 1, 2020 at 4:31 AM UTC
Dil ki baat
yakeen karne ki mitti zeharili ** gyi thi ... usmein bhi ye ladki mohabbat ke baagh laga sakti thi... par kisi ki muskaan ke aage khud ko bujha liya isne , varna chahti toh shehar mein aag laga sakti thi !
0
Dec 16, 2019
Dec 16, 2019 at 11:08 PM UTC
yakeen
Koi mujhe hi aake bata de kya h mere man ka hal? Kyuki me bezuban hu. Koi mujhe hi aake bata de ki me kya chahti hu, kyuki me kayar hu . Koi mujhe hi aake sikha de apne liye ladna  kyuki me mashroof hu apne khilaf gawahi dene me. Koi mujhe hi aake dhund de mujhe, Rasta jo bhatak chuki hu Aur rah milne wale log bhi jaha pohchna na h waha ka pata sahi nai bata rhe Pata nai roshni aur kitni door h, shayad koi dur se batti dikha de ki manzil waha h Koi mujhe bata de ki hadson ki wajah se Andr sab kuch bikhar chuka h ya abhi kuch baki h Koi to ** jo mujhe bata de ki jo me hu aur jo me hona chahti thi, in dono ko kese ek karu H koi esa raahi? Jo mujhe hi dekh kr bataye me kitna dur aa chuki hu, kyuki meri raahein to dhundli dikhti h mujhe Aao aur mujhe batao meri kimat kitni h iss safar me.. kyuki mera hisab bigad diya h duniya ne
0
Jun 17, 2023
Jun 17, 2023 at 3:31 PM UTC
Koi to **
Fariyad hai tumse, Pyaar ko mere bhul na Jana, Reham ke tarajo Mei pyaar ko, Mere tol na Jana. Fariyad hai tumse, Dekh mere aankho mein aasu, Samaj mujhe kamjor, Sahare ke liye taras kha Kar , Aage apna haath mat badana Fariyad hai tumse, Pyaar ko mere bhoj na samajna , Tumhare kande ka bhaar nahi pank , Bana chahti hu. Fariyad hai tumse, Mujhe bhul na Jana, Umeed toh nahi hai, Par ** sake toh vapas laut aana.
0
Apr 13, 2020
Apr 13, 2020 at 3:51 AM UTC
Fariyad
Bulana chahti thi yeh zubaa Tumne suna nahi, Aaye the hum tumhare pass Tumne dekha nahi, Suno , Chup hum nahi,. Khamosh tum ** Gaye !
0
Sep 14, 2020
Sep 14, 2020 at 2:50 PM UTC
Chaht
Ek baat bolu, Mei n tumhari vo favorite shirt Bana chahti hu, Jise tum har baar bade hi pyaar se Phente ** ,aur sambhal Kar rakte ** Jaise ki Naya ** ! Always new for you 😊
0
Sep 27, 2020
Sep 27, 2020 at 10:46 PM UTC
Favorite shirt🥰