Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Waqt hi waqt me
Waqt ke na sath
Na waqt ke Baad
Tum kyu itna sochte **
Kyu yakeen se darte **
Kaise yeh aawargi hai
Kaisa yeh pagalpan hai
Sachhai Ko nazarandaaz kiye
Mast magan phirte **...
Tanhai ke do Lamhe aur
Sadiyon ki pyaas sa samundar
Bebasi si chhayi ...neele Aakash me
Jaise ki baoli me doob si gayi ek Aahat
Ghootan si dhoowaan e sharaab...
Waqt se koso dur...
Ek ...jindagi...khwaab liye ...
Khwaab me intezaar ...aur narazgi khud se...
.................aur...madira... mehkhane...me chur Karti...
Kaanch ki chubhan....nachti sharaab.......bewaqt
Waqt se  kusur e ghumsum.
..chup chaap...
Ek taraf nazreen jhhuki...
Aur jhuki si reh gayi...
Aahat e mazburiyaan
Aur
Dar e Ishqiya...
...

..
CHARU KASHYAP Apr 2021
Haa ki galti maine
nahi samjha pyaar tera,
ek baar bol deta
to kya mai samajh nahi paati..,
** *** tujhse door
is dhang me,
rang *** puri tarah,
kisi or k rang me..,
haa ki galti maine
nahi samjha pyaar tera..
par tu bhi chala gaya
chala gaya chup chaap
ek baar pukaar k to dekhta
kya mai nahi aati tere sang me
ha ki galti maine
nahi samjha pyaar tera..,
par tu bhi nikal pada
nikal pada nayi duniya banane
hua mujhse yu door
ki laga kisi or ko manane
tu khush tha apni zindgi me
mai bhi gum thi apni zindgi me
par ab pta chala
daur to wo hi achha tha
jab mere hatho me tera haath tha
tere labon pe mera naam tha
CHARU KASHYAP..., kabhi kisi ne kaha hai
ki tumhari aankhe bohot khoobsurat hai...,
haa wahi.., wahi baat or wahi naam
aisa laga hi nahi kabhi
ki hai hum alag
bss waqt guzarta gaya
or duriyan badhti ***
kyu ki galti maine
jo nahi samjha pyaar tera...

— The End —