Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sachin jeengar Dec 2017
Aao sathiyo Mai tumhe thoda sa vyapar sikha du
Machino ki is duniya Mai bikta Ye insan dikha du
Suraj se Brahmand tak fir Prithvi se Ye chand tak
Kahaniyo k Mai aj hazaro gulistan bicha dun
Aao sathiyo Mai....
Badal raha h waqt Ye Yaro badal rahi h duniya
Badalti is duniya Mai sambhalta Mai insan dikha du
Aao sathiyo Mai...
Hai daud yaha par paise ki paise ka mayajaal h
Hota ik pal Mai idhar udhar kaisa bedhangi kamal h
Kamaal ki is sajish ka Mai tumhe sartaaj bata du
Aao sathiyo Mai...
Tum dhund rahe the aj jise kal Mai kese mil jaega
Jo kho chuka vo ** chuka tu khud ko kese batlaega...
Mai batlata hu tumhe ab tum ko bhi Ye chaal sikha du
Aao sathiyo Mai...
Pranay Patel Oct 2020
Agar main ishwar hota
To sab kuchh banata bus tujhe chod ke.

Tu hi to kahta hai main
brahmand banaya  per pachtaye
to tab jab main tujhe banaya.

Vaise sahi kahta hai tu main
hindu banaya, musalman banaya,
sikh banaya, or esai bhi banaya
bus insan banaa diya hota to
inke jarurat nahin padati.

Agar main ishwar hota to tere
man mein mere hone ka
bhram paida na hone deta.

Agar Main Ishwar Hota…

— The End —