Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aabid Rumi May 2017
Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai
Har  dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai

Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye
feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai
Nigahain num naa huvi  toh gilla rehta he hai
Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai
Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta
Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai.
ghum-e-samandar k kinarey pay  tanhaa betha hai yeh dil
Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai
Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai
Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai
Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli
kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai
Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera
kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai
Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh  kay
Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai

...Aabid Rumii
Tanzeelah Illahi
Phir kyu ruka
Dil ki raah me
Intezaar e dard
Manzil e jaam
Raat ** ya din
Ek naye  Roz me
Sochta aur beeta yeh din e tamanaah
Dil se dur ek kashish e adhura...
Chalta yu ki kab gir gaya...
Hosh e kaabil na raha...
Deewana pagal madhoshi me bheega...
Khuch sawaal liye awaaz e dard...
Khud ko hi jalata yeh mann...
Aashiq e kaabil sapno me bhi haar gaya...
Darte hue gulaab ke lamhein me bikhra
...lamho me khoya khud ko kaed kiye...
Ghumsum chup... Niharta aankhon hi aankhon me...
Shayad nisabadh .... Talash e sukoon ki...
Pyaare pal ki. ....Wohi aarzoo..phir se...
Kya sach me sach hoga ek sapna...?
Ya phir sote hua neend e darr me
phir se kho sa jayega woh lamhe!!!
Dard sa kohra e pyaas
Ghutane lagi ek fariyad
Bekabu e Ishq
Dar e shiskiyaan
Feezul e nadaniyaan
Beparwa ghumta ek parwana
Manzil ke vipreet jaata
Woh aanjaan sab jaanta
Phir bhi bahot hi shehma shehma
Ghulta khud ki parchhai se dur bhaagta Bhaagta
Woh  kanhi Darya  Ko dekhta.
...dari hui nigaahein
Aur jazbaat e aarzoo ...
Pita woh phir ek aur gilaas e daru
Bhulta woh
woh yaad
Kaed e aansoo
Bikhra bikhra
Tuta Dil
..
Jalta **** me
..
..

...
Mein Teri manzil e nazar
Bikhra hua sa manzil e ghulsan
Udta panchi yaad liye ghum raha tha
Teri galiyaan mein yunhi likh raha tha
Khub khubsurati me rang me ghul raha tha
Aur ek shant mann me laga mausam ko dekhta mastana
Dhoop me shanti ko dhoondta
Phirta awarapan dilse...
Pal pal Teri nazron me mein rehta
Par fursat ke pal se dur mein bikhra
Toota sa ek tara...
Zameen e jwalamukhi se ja takra

Ab samundar ke paas bhi
Aur nadiyon se dur bhi
Gehriyon ko dekhta

Udta panchi  mujhe niharta
Kehta chalta ja ruk mat...
Mat soch itna ki tabyat Teri bigar jaye
Teri manzil e aashiqui...
Tu doob ja ishq ki nadiyon me...
Bhul ja khud ko...
Bhul ja khud ko...
....
Jaise ki mein
Ek pal bikhra

Khuch waqt e intezaar
Phir se khubsurati me

Mein pagal sharabi
Tab ko dekhta...


Aur lakho baatein
Nazron  se keh diya

Phir hare rang me
Ghulta dil se dur
Dil ke paas
Kya mein ishq me hu?
Tum mujhe yaad karti
Jab mein pal pal bikhra..
Aur mein ruk sa jaata...
Jindagi ki raah e dard
Aur tujh se milkar
Aankhiyon  e dawa mil jata...
AR Sep 2019
"Khud ko thoda waqt do,
Agar Bikhra hua Dil,
Ek pal mei judh jaata,
Toh Kahaniyaan,
Apni ahmiyat kho deti!"
AR

— The End —