Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"bholi" poems
Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi, Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa... Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi, Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi, Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa... Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi, Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi, Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi, Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi, Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi, Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai, Bachpana samjho ya nadaniya samjho Par tere hi aggey hua karti thi, Tu Maa thi ya meri dost thi Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi, Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai, Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa, Qki maa teri meri yadein bht achi thi Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi. Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa.. Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa, Sach Drr lagta hai duniya se maa ab Jee paungi ya tut jaungi mai ab, Kitni bholi thi maa tu humesha se Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi, Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi Toh kick tu hi mara karti thi, Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi, Itni sachi aur achi maa thi tu Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi, Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse, Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko, Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye, Maa bharosa kar mera bharosa nahi todungi tera Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
0
May 14, 2020
May 14, 2020 at 12:18 PM UTC
Maa teri yadein....

Continue reading...
54
"Hawa sang chalna seekh gayi ** Thora pankh faila udna bhi seekh jaoge, Jra azma ke deakh khud ko, Zindgi ka matlab seekh jaoge. Khush hoon jaan ke tum logon ko, Padna seekh gyi ** Thodi himmat rakh , Honsle ke kami nahi tujh me, Sar utha ke chala kro, Tumhe darna nahi kisi se.. Tum bholi si nanhi si, Payari si thi, Mma papa ki gudiya dulari si thi, Ankhon main anshoo a jate unki, Jab tum rote rote so jaati, Unki ladli payari si tum... Na jaane kab unki gudiya badi ** gayi, Unhe pata bhi na chala, Jiin hathon main kheli unhi se vida ** ke chal bhi bdi... Kya hi zindgi tumhe mili hai, kuch pal rahi mma papa sang, Begane aye tujhe le gye, Tere mma papa ko anshoo de gye... Hansti kehlti papa ke dil ka taara thi tum, Kuch khelne ko na hota, To papa ki peeth ki sawari thi tum... Papa ki beti aaj badi ** gayi hai, Kl thak jo roti lagti nanhi si, Bechari si thi , Aaj mma ki vo ladli sayani ban gayi hai... Gairon ko rehne de, Papa ka sar na jhukana kabhi, Bde laad payar se rakha hai tujhe, kabhi rulana na unhe... BEti tu lout ke jaldi aana tera intazar rahega, Teri maa royi to main sambhal lunga, Par tere papa roye to. tere siva koi chup karvane nahi ayega...
0
Sep 11, 2017
Sep 11, 2017 at 9:12 AM UTC
"PAYARI BITYA"
Choti woh chidiya albeli Pyaari si aur badi niraali Nazhukh si pali , kuch dil ki bholi Uskey par jaise rangoli. Chote chote they uskey sapne Jinhe wo sanwaare aankhon mein apne Chaahe ki liye pankh bade woh Bas udjaaye neele Gagan mein Aakhir mein jab waqt wo aaya Lekar pankh ko udjaane ka Aansu lekar baabul se boli Ye na mujhse ho paayega Baabul ne uski narm si aankhe Dekh ke usko ye poocha sawaal Beti , tu kyu apne app ko rokey? Kyu udhney key nahi khayaal? Sunkar apni baabul ki boli Dheere se chidiya ab doli Tab lagta tha jo ek sapna Aaj wo ** gaya hai choor. Kya mere do pankh ye chote Udh paayenge uthnee door? Itna bhi mat karna guroor Na Karo mere dil ko majboor Rehne do mujhe tumhare paas Phir na rakhungi mein koyi bhi aas. Baabul ne chidiya ko sehlaaya Usey apne dil se laggaya. Jo sapno se tuney man ko behlaaya Usko paane ka waqt hai aaya. Chota mat kabhi kudhko samajhna Bas yuhi pankh lekar udhjaana. Udhna hi hai tera naseeb Rakhna hamesha usey dil ke khareeb . Aasman dekhe raah tumhara Likhdo uspar naam tumhara . Phir Chidiya ne lee aisee udaan Bharliya aanchal mein aasman ke rang Baabul ne dee usey bidaayi Bhar aayi aankhein, raha gaya wo dang.
0
Aug 26, 2020
Aug 26, 2020 at 1:21 AM UTC
Baabul ki duwa