Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"bhe" poems
Kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay kitnay waday torhay hein? kabhe pucha hay apnay app say kay kitnay logouin ka dill tora hay? kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay apne eik nazar say kis kis ko apne he nazrouin mein gerayya hay? - nae pucha nah? kese din pucho gay nah tou mrnay ka dill chahy ga, zindage kay naam say chirnay lago gay. Kabhe pucha hay kay tum Zindage kay naam per eik beyqaar zindage jee rahay hou? aur phir kehthy hou ''yaar kya krien zindage he esse hay''. Kabhe Zindagi ke kitaab ko khol kr tou dekho kya kya rakha hay uiss mein. Zindage bahot he haseen hay sirf hum masroof hein apne duniya mein wou duniya jis mein kuch nahe sawaye humaray. Ajj loug dusrouin ke mintein krtay hein kay ''ruk jau'' ''na jau'' jb kay mery khayaal mein ye loug bhul chukay hein kay '' jis ko jana hay uis ko jana hay chahy tum apne jaan kyun na deh dou''. Ajj tou logouin ke zindage andhere hojaate heh jab koe uinka ''dost'' ya ''yaar'' chor jaye aur wo uis khuda ko bhool jaatay hein jis nay uis ko usse ''dost'' ya ''yaar'' say milaya tha. Hum loug tou apnay Khuda ko bhe bhul chukay hein. Wo Khuda jis kay pass humnay waapis jana hay wo Khuda jis kay bagheir humare koe ukaat nae. Barhay Unchay gharouin mein reh reh kr apnay app ko Khudha samjhna shuru krdeya hay humnay. Ess zamaanay mein koe kese ka Dost nae hota barha Dost Dost krtay hou na jab doob rahay hou gay kudhe dekhna kay sab DOST tamasha dekh rahay hogein aur tum zindage ke tarf aanay ke bher-poor koshishein kr rahay hou gay, tab apnay app say puchna kay ye wo DOST thay jin kay leye tum apnay maa-baap say laray? uin kay samnay uncha bolay? sharmindage hoi? Ajj hum itnay ''self-obssessd'' hein kay dusrouin ko dekh kay lagta hay chunte jitni ukaat hay uiss ke. Hum apne he Duniya mein bahot dur nikal aayein hein, asal duniya say bekhabar, asal dostouin say hum la-taluq ** chukay hein. Hum ajj apnay app mein he kho chukay hein. Apnay rab ko humnay kho deya. Rab ko kho deya matlab Sub kuch kho deya ! tou abb hamaray pass koe raasta hay? -Haan wou rab 5 martaba bulaata hay tumhein apne taraf, jau uiss ke taraf aur apne ASAL ZINDAGE ke taraf waapse aou.
0
Sep 16, 2016
Sep 16, 2016 at 10:00 AM UTC
16-9-16

Continue reading...
28
Or nahi koi bus hum he do kahani khatam shuru hui tw mujhy dekho, batien karo kam Main or tum, kehti thi woh aankhon mein tum kho jao jo nazar aye kuch, jo tm dekho pehli mulaqat , tum dilchasp ** ankhon mein doob kar, kehti thi woh main nahi dilchasp, bs mukhtlif *** mein jo bhe kahun bs chup chap sunti woh hont khamosh, ankhon se ki sab baatien thi raat wo ik jis se juri sab he yaadien thi lagta hai ab tum se he karni faryadien thi afsoos k tab kar na ska jo karni wazahtein thi Khair teri meri thori c bhe ban na saki kyunk waqt kam tha or bigri teri adatien thi Main na bhool paoun teri jhooti hansee naa he chor paoun mehsoos ** kami ankhon me nami dil mein pyar bhe nahi yadon mein jalan or aitbar bhe nahi tum ik waqt ** jo beet geayaa mera hasil nahi par bht kuch seekh gea mere qabil nahi or mein khud ko jeet gea meri manzil nahi ** tw q me kheencha gea phir kyun kehti, mein or tum shuru hote he kahani khatam
0
Dec 3, 2017
Dec 3, 2017 at 11:42 PM UTC
"Woh"
Muhabbat chaiay, lazim hai kay Saans aay aur jay Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind Kay buhat tapash hai Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai Aur nazar kaheen poshida hai Dil aur bahar Har taraf Ikk hi hawa hai Loo ki manind Larazti, sansanati *** Jaisay haddion ko murjha day Aur thara day saans ki simt ko!! Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn Jahan jaon, jahan tharon Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn. Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam! Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam Meray dil kay darwazon pay Khafeef ahat say bhe Maut paida karta hai Aur iska paida hona Meray wajood main Ikk Ah ban kar raqs karta hai. Kuch hai Kuch tou hai Iss shaam main , aaj kal! Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai Aur idhar mera wajood Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...
0
Sep 3, 2019
Sep 3, 2019 at 3:21 PM UTC
Sakoot!
Kabhe toh voh din bhe aiga Jab sab kuch guzar jaiga Jab hum na akhae khole ge Na toh kuch bolege Voh din jald he aiga Us din ka intezaar kabse hai Zindagi mai kuch naya paane ka intezaar kabse hai Voh din jab aiga Har koi saath ** jaiga Roh kar shayad ek he baath bataiga Ke voh mere kitne paas the Ke voh mere kitne khaas the Shayad sabke akho mai aasu honge Shayad sabke yaado me mai Shayad koi roh raha hoga Zindagi mai kuch kho raha hoga Har ek jo merai paas the Aaj voh ek ahsaas hai Jo bhe merai khaas the Voh dil mai merai paas hai Jab tum roh rahe hoge Dukh mai kho rahe hoge Toh tumko dekh kar mai muskuraoge Dil mai chupe gam ko chupaoge Aur ek he baath kah kar jaoge YEH WAQT BHE JALD HE GUZAR JAIGA
0
Jun 17, 2019
Jun 17, 2019 at 11:10 AM UTC
Akhiri waqt
you know dat feel when your heart goes tibok tibok and your hands become pasmado and you get jabar and da butterflies fly around in ur tiyan its dat feel when u see bhe.
0
Jan 4, 2015
Jan 4, 2015 at 11:12 AM UTC
bhebhe luvs
Sirf tum, Or tum , bus tum muje nai chiye kuch bhe Bus tum kyun k jab mili tum hua sab ghum nei chaiye zindagi na mout Bus Tum
0
Mar 29, 2018
Mar 29, 2018 at 1:22 AM UTC
'TUM"
Apna wahi h jo humari khamoshi padh sake, Verna andaje tho begane bhe lga lete hai...
0
Dec 19, 2019
Dec 19, 2019 at 12:35 PM UTC
Khamoshiya❤
yay jo haal hoa sare- shaam hi, siyah dasht -o- garibaan hoa, Mjhay hasil naan tha jo kamal bhe, Wo bay-sabab shikasta -o -jaan hoa.. aay rahbar -e-zindagi, yay kaisi taveel tar raat hai, Naan amaan mili, naan hi koe imtihaan hoa!! Wo jo pamaal kar gay meray khwab ko, us hashar-e- jaan ka kia samaan hoa; Yunheen gard main liptay bujhay khayal, Shahr say jaanay ka yun ihtimaam hoa! Yay rang nhn saraab hain,yay ehsaas say door paar hain, Meray bayrabt say tootay pyaar main,Jo hoa tou bass yunheen hoa!!
0
Feb 19, 2019
Feb 19, 2019 at 11:56 AM UTC
.........
Main jiss shahar ka aadi hon Uss shahar kay baasi ajnabi nigahon say dekhtay hain mjhay In chahron pay charhay rung Mjhay rung nhn bay rung lagtay hain Iss shahar kay darr-o-dewaron say abhi mera rishta nhn bana Aur raastay yahan kay mujh say khauf khatay hain! Maij jiss shahar ka aadi hon, Uss kay baasi apnay hi rung main holi khailay jatay hain Aur main safaid aur siah kay darmian hi uljha baitja hon. Sooraj nikalta hai zaroor, laikan sitaray raat kay mjhay daratay hain, Aur yay onchi onchi amaraat, kiss dayo ki maanind lagti hain mjhay! Main phir bhe iss shahar ka aadi hon Main phir bhe iss shahar ka aadi hon!!
0
Nov 8, 2018
Nov 8, 2018 at 7:12 AM UTC
Main iss shahar ka aadi hon!
Usko apne pyaar ka izhaar krte dekha tha , Tera uske saath haat milate dekha tha, Aur jane kyu uss din mujhe mauth nhi mili, Mauth ne tho mujhe kud gale lgaa kr dekha tha, Ik khaawb hai jo kabhi such ** nhi sakta, Tumhe iss kadar haasil karlu jo kabhi kho nhi sakta, Jis tarah rota hu tumhe gairo ki baaho me dekh kar, Uss tarah tho kisi ki mauth par bhe roo nhi sakta. ...................................Ayush...........................
0
Jan 27, 2020
Jan 27, 2020 at 2:41 AM UTC
Bewafa!
Subah-e-tamaam kay sozo gar Khoon main nahay apnay lakht-e- jiggar Aay soz-e-lab-e- baam, kia naghma gungunao gay, Har roz ik nae tamanna jagao gay? Unn hasrat bharay dilon main kia kia saaz bajao gay? Aay saq-e- dil, yun hasraton main jeena bhe kia jeena Jiss dil main naan koe hasrat , naan koe tamanna!!! ( its urdu language, that is a mother language in Pakistan)
0
Mar 19, 2018
Mar 19, 2018 at 4:45 AM UTC
Verbal!!
Nhn aayna- e -saaz main go-mago yay kaifiat Jaisay burg- o -bahar main ** koe chingari Jiss kay sholon main bujhay yay dil rakh ki soorat Jisss kay chahray main jalay angari..... Main wo zaat hon jiss ka koe shahar nhn Jo jahan chalay wahan aag lagay Jiss kay bayan main naan zahar naan amar Jiss kay wajood main dah-kain sab raaz chupay..... Nhn asbaab koe, nhn imkaan koe Mere zaat kay hisaab main nhn jaan koe Phir bhe toofan-e- azam liay chalti hon Kay meray dard ki intiha ki nhn intiha koe.......
0
Feb 19, 2019
Feb 19, 2019 at 11:34 AM UTC
kaifiat(a state)
*Like the winter tree Misses it's soft green leaves. Like the sun is cooled by Bhe rainclouds of the storm. Like the winter rose Misses the warmth of spring. Like a broken string on a violin misses the music. Like the parched earth of summer Misses the rain. Like a summer night Misses the trill of songbird's. Is how I miss you my love.*
0
Aug 29, 2016
Aug 29, 2016 at 11:15 PM UTC
Missing You