Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"bhatak" poems
Najane kyon tadapati hain ye yaadein, Kabhi rulati Kabhi Khush kar jati ye yaadein, Mere jine ka jariya hain bus yahi, Kabhi dard bankar jakhm deti hain, To kabhi  dard ka maraham ban jati Ye yaadein, ye yaadein...... Silsile ye mohabbat ka Jari rahengi zindagi bhar, Karke pyaar tumse sanam   bhatak raha hoon dar dar, Kahan gye wo din, Kahan gye wo waadein, Ab mere paas rah gayi hain bus teri ye yaadein, ye yaadein...... Bahla raha hoon apne dil ko Un yaado ke sahare, Chale gye ** tum lekar Wo Khubsurat bahare, Pahli nazar me deewana banakar Bechain kar jati ye yaadein, mere dil-o-dimag par bus Teri ye yaadein, ye yaadein....
0
Jun 4, 2015
Jun 4, 2015 at 10:05 AM UTC
YE YAADEIN
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha, jo Badal raha wo 'waqt' hai? waqt to Aaj bhi waisa he hai bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam Par tab naa bhigne se lagta tha darr or naa sardi jukam, or wo pani ki shrarate tamam Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me Kaise jivan ke Arth badalte gaye Kyo ek funny poem likhne wale Emotional likhne pe majboor ** gaye Hawa k jharoko se kashti hilti gayi waqt k sath mein tau badlta gaya aur yeh zindagi chalti rahi pal pal nayi hasratein har pal naye khwab bunti gayi aur yeh zindagi chalti gayi raah mein manzar tau bahut aaye bulate rahe mujhe mere saaye mein tau ek pal ko ruk sa gaya par yeh zindagi chalti gayi yaadon k saaye mein zinda *** abhi lagta hai tham sa gay *** mein kahin par zindagi bewafa sanam si nikli mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi jindagi har pal apne arth badalti rahi ham hanste rahe chahhe rote rahe par woh apni rafataar se bas behati rahi kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar woh  hame har mod per milti rahi ham tutate rahe, bikharate rahe  fir khud hi gir ke sambhalte rahe aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage khushiyuon  ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat apne hi jab todate rahe...... toh saans meri har pal ghutati rahi bas jindagi yuh hi chalti rahi har pal apne arth badalati rahi
0
Jun 6, 2018
Jun 6, 2018 at 1:35 PM UTC
Badalti zindagi

Continue reading...
39
Duniya ko janam dene wali maa Teri mamta kaha kho *** insan insan ko mar raha Aadmi ki niyat haiwan si ** *** Roh pare wo bhi Jisne banaya ye jahan, Dekh es duniya ki surat usne bhi kaha, Badal raha insan, Ab badal raha insan...... Tumhare sikhaye hua raste se bhatak raha insan, Lut ke ejjat ek aurat ki Mita di mamta ki pahchan, Kar ke dhuli aanchal teri Badal raha insan, Ab badal raha insan....... Kash! na hoti duniya Na rahta insan, Bata ke roya "Manish" bhi Kalyugi insan ki pahchan, Badal raha insan, Ab badal raha insan.....
0
Jun 7, 2015
Jun 7, 2015 at 6:02 AM UTC
BADAL RAHA INSAN......?
Subhah nahi Dekhi Shaam nahi dekhi Isi haal e Shaan me dost Zindagi nahi dekhi ... Phir nazane kyu jee Raha hai Dil Anjaan raho me bhatak Raha hai phir Haal e Dil Haal e Dil ...
0
Oct 19, 2018
Oct 19, 2018 at 8:12 AM UTC
Zindagi dhoondne chala, phir ruka kyu?
Ruk-Ruk kar chalna, girna aur sambhalna, Koi mujhe rokna, jara sa koi tokna…. Wayastata se thora saham gya hu, Dil mein bane apne khali ghar se thora machal gya hu, Koi to jara tokna, thora sa to tatolna... Sapne kahi beshud se pare hai, Chaandani raato mein andhero se ghire hai, Pata nhi kise dhundh raha hu, Ya andheri galiyo mein yuhi ghum raha hu, Der hui par thama to nhi hu, Thora sa bhatak gya par bhula to nhi hu, Kahi kisi ne awaaz lagai hai, Dur kisi ne to roshni jalaai hai.. Jara thori dur sath chalna, thora sa to mujhe samajhna..
0
Oct 29, 2017
Oct 29, 2017 at 1:57 PM UTC
ZINDAGI
Sunn jara apne aap ki.. Kya kehta hai mann tujhe uss baat kii.. Suun jara apne aap ki.. Duniyaan toh sunati hee hai aur sunati hee rahegi.. Tu sabki sunn pr pehle sunn apne aap ki.. Jo tera mann hai wo tujhe bahut jagah le jayega kabhi yha toh kabhi waha na jane kaha -kaha bhatkayega.... Aur tu bhatak bhi jayegaa.. Par jo tu raaste par bhatak ke wapes apne manzil tak naa aaya toh tu hara hua kehlayega... Aur chote -chote kadam aur baaton se tu isse tarah larkharayega par aakhir me chalna tujhe khud hee aajayega... Issliye sunn mat kise kee baat kii.. Pehle sunn jara apne aap ki.
0
Oct 20, 2020
Oct 20, 2020 at 9:08 AM UTC
Sunn jara....
Koi mujhe hi aake bata de kya h mere man ka hal? Kyuki me bezuban hu. Koi mujhe hi aake bata de ki me kya chahti hu, kyuki me kayar hu . Koi mujhe hi aake sikha de apne liye ladna  kyuki me mashroof hu apne khilaf gawahi dene me. Koi mujhe hi aake dhund de mujhe, Rasta jo bhatak chuki hu Aur rah milne wale log bhi jaha pohchna na h waha ka pata sahi nai bata rhe Pata nai roshni aur kitni door h, shayad koi dur se batti dikha de ki manzil waha h Koi mujhe bata de ki hadson ki wajah se Andr sab kuch bikhar chuka h ya abhi kuch baki h Koi to ** jo mujhe bata de ki jo me hu aur jo me hona chahti thi, in dono ko kese ek karu H koi esa raahi? Jo mujhe hi dekh kr bataye me kitna dur aa chuki hu, kyuki meri raahein to dhundli dikhti h mujhe Aao aur mujhe batao meri kimat kitni h iss safar me.. kyuki mera hisab bigad diya h duniya ne
0
Jun 17, 2023
Jun 17, 2023 at 3:31 PM UTC
Koi to **