usne pucha tha meri udasi ka sabab,
mene kaha
wo aaine me tasvir ubharti he fir fanna kyu **
jati he,
usne pucha tasvir kiski dikhai deti he tumhe,
mene kaha
na uska naam he na pata fir bhi apna sa lagta
he,
usne kaha kuch guftagu bhi kar ti he tasvir
aapse,
mene kaha
ha magar alfaz nahi hote uske ankho se baat
karti he.
usne kaha kya kehti he uski ankhe mujhe bhi to
kaho
mene kaha
uski ankho me mujhe pyar nazar ata he
unkahi baato ka izhaar nazar ata he.
usne pucha kya ikrar kiya he tum ne usse
mene kaha
me to karta hu koshish-e-ikarar karne ki magar
inkar hi ajata he
usne kaha bade hi wo ** tum ikraar se darte **
mene kaha ikrar se bhala kon darta he me to bas
pyar se darta hu
me to bas pyar se darta hu
nk
udasi ka sabab