Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
sachindra jha Sep 2014
Ek pal ki khushi , ek pal ka gham
jindgi ey jindgi
kaun tum kaun hum
kabhi tum lati **
umeed ki tez lehar
kabhi nirasa se kar deti **
jindgi ko shant sehar
kabhi kabhi sochta ***
tumne mujhe kya diya
beparwah muskan ya
aankhen nam
jindgi ey jindgi
kaun tum kaun hum !
Tum bolo toh neend le lo meri...
Ya phir...jagta rahu...ek nayi raah ko band khirkiyo se...
Ek tarfa...hi jeeta chala jau...
E dil e naadan...
Mujhe kya hua hai...?
Kya mujhe pyaar ka bhoot to nahi ** gaya hai?
Aur bhoot ki tarah...
Lamhe lamhe...
Boond boond...
Beparwah... awarapan...
Ek awaaz...ishq ki jheelon me
Ghumta ghumta
Chand ki taraf...dekhta dekhta...
Aur hawaaon se khirki tod di ...
Tum paas aayi

Thoda Pagal mein...
Thodi pagal tum
Aur dono chale...
Pagalpan me...
Masti ki kasti me
...meelon dur...
Raat ki neend aankhon me liye
Aur raaste pyaar ke banate hue...
Anjaan se jaan bante hue...
Aur phir aur...
Jashn e ishq
Dard e junoon
Dard e hasi
Beparwah dillagi
Aur bicharna ek pehchan e awarapan
...
Ji

— The End —