Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ted Rufflepuff Mar 2015
Darr lagta hai, ki Kahi Tumhe kho na de hum,
Shabdo Mein byaan Nahi kara ja sakta Yeh pyaar,
Aasuyo Mein behaya hua dukh,
Hasi Mein chupaya hua dard,
Zubaan par aane se darta hai, ki kahi tumhe kho na de hum.

Anjaani raaton mein jab mile tum, Toh Aisa laga,
Sansaar mil gaya, par yeh dil hai ki maanta Nahi,
Nikamma banakar dukh deta raha,
Kyunki darr hai tumhe kho na de hum.

Iss aakaash ke soonepan se tanha hai Yeh Dil,
Ki kabhi tumse duuriya na badh jaaye,
Jag ne cheena mujhse, Mujhe ** bhi laga pyaara,
Hoontho se chuloo tum, Mera geet Amar kar lo.

Na ruthne ka dava kiya tha, par wafa Toh Hona hi tha,
Kya hua tera vaada, voh Kasam, voh irada,
Voh kehne vaale, Mujhe 'fareebi' , Kon farebi hai Yeh bata,
Voh jisme gam liya pyaar ke khatir, Ya jisne pyaar ko bech diya?

Shama chahte hai, kyunki darr se darr te hai.
Few lines are used by an indian singer.
Wajah bewajah
bina baat hi kabhi bas,
log rootha kyu karte hain ?

Kyu
apni hi ummeedon ke tang jaal mein
din raat,
yun hi ghuta karte hain ?

Jaane anjaane
hum  “humare” “apno” se
wada jhootha kyu karte hain ?

Zindagi ki daud dhoop mein
kuch saathi bante hain
toh kuch
choota kyu karte hain ?

Dilon ke rishte
Aksar toota kyu karte Hain ?

Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai
Kai baar mile aur bichad gaye
Bhala majra kya hai ?

Iss banne aur sawarne ki
Iss tootne bikharne ki
Aakhir dawa bhi kya hai ?

Hey Nath,
Yeh das tumhare charano mein
Gira hua hai pooch raha
Mera dil hi kahin behaya kya hai
Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai

Iss bhava bandhan mein phansa  hua
Meri karun pukaar suno
Kukarmo ke daldal mein dhansa hua
Kar raha chitkaar suno
Davagni mein jal raha
Bheesan hahakaar suno

Daya karo ab hey Bhagvan
Ya ban Narsingh sanhaar karo
Aap ki sharan mein ab yeh dushtt
Iss neech ka uddhar karo
Ain Sep 2020
Tum se yeh mohabbat ka jo shewa Maine pehna hai
Ab kya kahun ke kafan ka kapda Maine pehna hai

Har shai mein teri yaadon ka sehra maine pehna hai
Kaanton se jo bana hai woh zewar Maine pehna hai

pal bhar ka wasl phir wada e hijr maine pehna hai
Anjaam e ishq ka yeh naya tamgha Maine pehna hai

Wafa ke ghar jafa ka yeh keechad maine pehna hai
Ilzaamon ke rangon ka ek saaya maine pehna hai...

Kya kahun Ae Ain ishq mein kya kya Maine pehna hai
Haya ko karke tark libaas e behaya pehna hai...

— The End —