Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Lovish Uppal Jan 2016
Shaam ki sardi mein
Jab ghar se hum nikle, 
Mast kuch bachchon ne yaad dilaya The hum bhi kitne befikre.

Beet gaya aane se pehle, 
Waqt kisi ka na hua.
Bachpan le gaya sang apne, 
Phir aaye mudke hai yehi dua.

Kashtiyan kagaz ki banake 
Chalate the paani mein, 
Yehi nahi baarishon mein ghoomne Nikalte the apni cycle pe.

Baarish ka anand nahi, 
Toofanon se darte hain ab,
Woh din bhi kya din the 
Jab apne se lagte the sab.

Kahaniyan sunke khud ko
Doobate us duniya mein, 
Na jhooth, na dikhava, 
Na dhokha tha usmein.

Dil mein thi ek bekarari hamesha, rehta tha khushi ka intezaar, 
Ab hai yakin kismat pe apni, 
Kabhi na lautenge ab woh din raat.
Akta Agarwal May 2021
Aaj fir wo bachpan ki yaadein khuli dhup ki kiran si yaad aa ***
hoton pe pyaari si muskaan khila ***
ek bchpn ki maasum chali dikhla ***
wo yaadon hamare befikre pn ki h
jb ersha se koe nataa naa tha
jb hamare muskano m chupa koe dokha na tha
jb khilkhila k hsne s waqt ne hme roka na tha
nahi koe bndhn ki beriyon ne jhkra tha
ab to bndhn ki beriya h
or rok tok ki jangire
wo bchpn ki yaadon ke aate hi
ek masum - schchi si muskaan chere ko khila jaati h
pr ush bchpn k chale jaane ki maeusi aankhon pe lata andhera sa h.

— The End —