"batana" poems
Nai umangey nai tajgi,
Laker aai subah aaj ki.
Aaj subah kuch hoga khas
Sab ko yeh hoga ehasah.
Nai subah ki nai bauchhar
Sabko mile khub sara pyar
Yahi hamari dua hai rab se
Sabko khusiaa mile ham sb se.
Aai nai bouchhar,
lekar khub sara pyar.
Nai umange......
Har muskurahat hoti hai kimati
Par log karte eski na ginti.
Har din har roj
Karte ham eski khoj.
Sbki khusiaa rahe salamat,
Ham sb ki yahi hai amanat.
Jb khamosi chaye
To hm sb muskuraye
Ye duniaa ki rit ham sb nibhay,
Agar chot lagti koi apno ko
Bahot dukh hota mere es dill ko
Magar mai na sochi kv aoro ki
jo phirte hai dharti pe bina apno ke,
Par muskil hai sb ko ye bat batana.
Ye duniaa me apni aawaj uthana
Ye bouchhar aai bahot pyar lai,
Barsat ke sath nai subah aai.
Nai umange nai tazgi,
Lekar Aai subah aaj ki.......!!!!!!
-ROHINI-
Jan 8, 2015
Jan 8, 2015 at 10:24 AM UTC
yun to khush hu mai bahut,
k tum pyar jo itna karte **
rahte ** door bahut mujhse to kya,
tum pyar bahut karte **
mai jab bhi kabhi rota hu tumhe yaad kark,
tumse kahta hu k paas aa jao mere,
tum nahi aa pate **
mai rota hi rahta hu,
tum bahut samjhate **
apni majboori batate **
par mai nahi samajhta ,
aur fir bhi rota rahta hu,
to kya,
tum pyar to mujhse karte **
kabhi kabhi jab dil karta hai k tumhare paas aaun,
tumhe apni bahin me bhar loo,
tumhe apna bana loo,
tumhe khud me basa loo,
sari duniya se door hokar tumhare sath ek alag duniya basa loo,
aur tumse kahta hu k sath mera de do,
aur tab kisi aur k sath tum hote **
haan tumhari marji nahi hoti,
fir bhi tum kisi aur ki bahon me hote **
vo tumhe choota hai pakadta hai,
mera har hak apna bana leta hai,
aur kahte ** k meri majboori samajh lo,
aur mai nahi samajhta hu,
rota hu aur tumhare oaas aane ko tadapta hu,
jab fir bhi khwahish poori nahi hoti,
tab mai rota rahta hu,
to kya,
tum pyar to mujhse karte **
jab mai khush hota hu,
to tumhe dil ki har baat batana chahta hu,
vo khushi khud se pahle tumse bantna chahta hu,
tum tab bhi nahi hoti **
kyunki kisi aur ki chahaten poori kar rahi hoti **
jab bhi dukhi hota hu,
to chahta hu k tumhara hanth mil jaye,
tumhari god me chup jana chahta hu,
aur ro rokar sara dukh mita dena chahta hu,
par tum nahi hoti,
kyunki tab tum kisi aur ki dukhi hone ki wajah mita rahi hoti **
aur fir mai rota hu jqb tak tum nahi aati,
jab tum aati ** fir se apni majboori batati **
mai cheekhta hu chillata hu,
pal pal tumhare paas aane ko tadapta rahta hu,
par tum nahi aati,
aur mai rota rahta hu,
to kya,
tum pyar to mujhse karte **
May 12, 2019
May 12, 2019 at 8:26 AM UTC
Wo afsaano ka banna yun hi tha.
Wo daastano ka bunna yun hi tha.
Yun hi tha wo intezaar ke lamhe ginna.
Aur shayad hamse pyaar karna bhi yun hi tha.
Wo dur rah kar bhi pass hone ka ehsaas hona yun hi tha.
Wo har raat aur har subah hamse baat karna yun hi tha.
Yun hi tha wo har naghme me doob jana.
Aur shayad un naghmo me ek dusre ko talaashna yun hi tha.
Wo alfaazon ka bayaan hone se pehle pura karna yun hi tha.
Wo har subah, shaam dhalne ka besabri se intezaar karna yun hi tha.
Yun hi tha wo has has kar baatein karna.
Aur shayad har raaz ko khulkar batana yun hi tha.
Kya tumhari awaz sunkar dil ka zor se dhadkna yun hi tha?
Kya armaano ka mehal banana yun hi tha?
Kya yun hi tha wo roothne ke baad wapis aa jaana?
Aur
Kya tumhare wapis aane ki ummed me jeena yun hi tha?
Nov 11, 2018
Nov 11, 2018 at 12:29 PM UTC
Tera yu mere paas aana ,
Aapne pyaar ka ehssas karana ,
Yaad hai mujhe!
Meri aanko Mei doob Jana,
Yu Tera mere maate ko chumna ,
Yaad hai mujhe!
Mujh par aapna haq jatana,
Mere karib aakar mere ruh ko chu Jana
Meri hooto ki laali churana,
Yaad hai mujhe!
Ki, Meri jiid ko Puri karna,
Meri nadaniyu se pyaar karna,
Yaad hai mujhe!
Mere rutne pe Tera mujhe manana,
Meri sadgi pe yu Tera fida ** Jana,
Yaad hai mujhe!
Teri sari baate yaad hai mujhe,
Lekin bas itna batana,
Kya ,ab bhi Mei yaad hu tujhe?
Apr 8, 2020
Apr 8, 2020 at 7:03 AM UTC
Papa ka office se ghara aana
Bhag kar unke pass jana
unke samne masumiyat se apne hath ko failana
yad karte ** n, jara soch kar batana
Dosto ko roj naye ajib-ajib namo se chidhana
Bhai-Bahan ko bina bt satana
School na jane ka roj naya bahana
Chupke se dusro ka lunch box kha jana
yad karte ** n, jara soch kar batana
Andhere se darkar maa ki aanchal me chup jana
Papa ki kandho par baithkar mele me jana
Khilono ke liye jid P arr jaana
Choti choti galtiyon par maa ka thapki lagna
Yad karte ** n, soch kar batana
Na tension thi duniya ki,
na tha paisa kamana
Kya the bachpan ke bhi din
jaisa mano Sare khushiyo ka fasana
Yad karte ** na, jara soch kar batana
May 22, 2020
May 22, 2020 at 3:59 AM UTC