"barsat" poems
Mujhe wo aksar kehta tha
Muhabat kuch nhi hoti
Hijar ka khauf be matlab
Wasl k khwab bemani
... Nighaoon main koi soorat
Kahan din rat rehti hai
Usy q khamoshi kahain
K jis main bat rehti hai
Wo ankhain kaisi hoti hain?
Jahan barsat rehti hai
Yeh ansu bezaban ansu
Bhala kya bol saktay hain
Or uski narm palko pe nami
Din rat rehti hai
Mujhe wo aksar kehta tha
Mohabbat kuch nahi hoti
Magar jab aj barson bad
Main ne usko dekha hai
K uski jheel ankho main
Hijar ka khof rehta hai
Wasl k khwab rehtay hain
Wahan barsat rehti hai
Yun lagta hai k barson se
Wo soya v nahi shayad
Yun lagta hai kisi ki yada barson se
Usy din rat rehti hai
Or uski narm palkon pe
Haseen saay be geelay hain
Or uski khamoshi aisi k
Jis main bat rehti hai
Mujhe ab wo nahee kehta
Muhabat kch nahee hoti.
Jan 20, 2016
Jan 20, 2016 at 3:38 PM UTC
Wo Zindagi kis Kam ki
Jisme tumhara sath na **
Wo hoth kis Kam ki
Jisme Tumhari muskan na **
Taare bhi tut Kar gir jate ek din
Jab Chand ka sath na **
Wo aankhey kis Kam ki
Jisme tumhara chehra na **
Wo dil kis Kam ki
Jisme tumhara pyaar na **
tut Kar bikhar jate akshar wo
Pyaar jisme viswas na **
Zindagi ek paheli Hai
Kab Kaise aur kiska Kab tak sath **
Kab kadi dhup ** ya Kab
Jhamajham barsat **
Muskura ke ye Zindagi bhi unke naam kardu
Jab mere hath me unka hath **
Feb 18, 2017
Feb 18, 2017 at 6:37 AM UTC
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha, jo Badal raha wo 'waqt' hai?
waqt to Aaj bhi waisa he hai bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam
Par tab naa bhigne se lagta tha darr or naa sardi jukam,
or wo pani ki shrarate tamam
Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan
par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me
kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me
Kaise jivan ke Arth badalte gaye
Kyo ek funny poem likhne wale
Emotional likhne pe majboor ** gaye
Hawa k jharoko se kashti hilti gayi
waqt k sath mein tau badlta gaya
aur yeh zindagi chalti rahi
pal pal nayi hasratein
har pal naye khwab bunti gayi
aur yeh zindagi chalti gayi
raah mein manzar tau bahut aaye
bulate rahe mujhe mere saaye
mein tau ek pal ko ruk sa gaya
par yeh zindagi chalti gayi
yaadon k saaye mein zinda *** abhi
lagta hai tham sa gay *** mein kahin
par zindagi bewafa sanam si nikli
mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi
jindagi har pal apne arth badalti rahi
ham hanste rahe chahhe rote rahe
par woh apni rafataar se bas behati rahi
kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar
woh hame har mod per milti rahi
ham tutate rahe, bikharate rahe
fir khud hi gir ke sambhalte rahe
aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi
gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage
khushiyuon ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi
kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat
apne hi jab todate rahe......
toh saans meri har pal ghutati rahi
bas jindagi yuh hi chalti rahi
har pal apne arth badalati rahi
Jun 6, 2018
Jun 6, 2018 at 1:35 PM UTC
Nai umangey nai tajgi,
Laker aai subah aaj ki.
Aaj subah kuch hoga khas
Sab ko yeh hoga ehasah.
Nai subah ki nai bauchhar
Sabko mile khub sara pyar
Yahi hamari dua hai rab se
Sabko khusiaa mile ham sb se.
Aai nai bouchhar,
lekar khub sara pyar.
Nai umange......
Har muskurahat hoti hai kimati
Par log karte eski na ginti.
Har din har roj
Karte ham eski khoj.
Sbki khusiaa rahe salamat,
Ham sb ki yahi hai amanat.
Jb khamosi chaye
To hm sb muskuraye
Ye duniaa ki rit ham sb nibhay,
Agar chot lagti koi apno ko
Bahot dukh hota mere es dill ko
Magar mai na sochi kv aoro ki
jo phirte hai dharti pe bina apno ke,
Par muskil hai sb ko ye bat batana.
Ye duniaa me apni aawaj uthana
Ye bouchhar aai bahot pyar lai,
Barsat ke sath nai subah aai.
Nai umange nai tazgi,
Lekar Aai subah aaj ki.......!!!!!!
-ROHINI-
Jan 8, 2015
Jan 8, 2015 at 10:24 AM UTC
Chehre pe gira jo woh boond uske
Jhalak ke aayi meri muskan aise
Ke Bikhri hui zindagi mein baras baithe
Khoyi hui aashaon ki baarish jaise
Bhul na paunga woh din
Pehli baarish jo bitayi thi saath mein
Chaatha tha mere paas bhi
Par ghus gaya tumhaare sang mein
Ek choti chathri aur hum do uske neeche
Bheeg rahe the hum aadhe aadhe
Par aise bheegne ka mazaa he hai kuch aur
Jab Aaghosh ke woh pal mile na kabhi aur
Chalte rahe hum aahista apne bus ki or
Kya batau kaise bitaye woh 5 minute
Unke Bheege zulfein jo karr rahe the shor
Chodke use apne bus mein
Bheegta raha uss pal ki yaadon mein
Aaj bhi Barsat jab bhi kare
Chaatha lene ko majboor
Yaad tumhari he karta hu Ke kaash tum hoti
Ghus jaata tumhare he chatri ki chaav mein
Pehli baarish ki un boondon ko chakhne
Ke kya swad aaj bhi wahi hai
Jo uss din chakha tha saath mein humne
May 19, 2020
May 19, 2020 at 12:17 PM UTC