Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"bankar" poems
Zindagi ko jina sikh lo, Zindagi se ladna sikh lo, Hausla rakho sabse uper, Zindagi me jitna sikh lo, Bana do apni ek alag pahachan, Naam wahi par kam alag ** Visva me tumhara ** ek alag kirtimaan, Karke apne kul ko rausan, hansna aur hansana sikh lo, Zindagi ko jina sikh lo, Dikha do duniya ko Kanto jaisi raho par chalkar, Pa lo apni manzil ko Ek misaal bankar, Etihas ke panno pe apni pahchan likh do, Safal hokar jeevan me tum Zindagi ko jina sikh lo, Zindagi ko jina sikh lo....
0
Jun 10, 2015
Jun 10, 2015 at 7:25 AM UTC
ZINDAGI KO JINA SIKH LO....
Meri zindagi aaj udas hai, Ye Khushi ke pal bhi mujhse nirash hai, Tut jate hain wo har sapne, Jab tutata kisi ka vishwas hai, Jab tutata kisi ka vishwas hai.... wo khile Phul aaj murjha gye hain tujhe yaad kar, Kyon ojhal ** gye ** tum in aankhon me aansoo bhar, Sisak-sisak ke puchh raha hai ye dil mera, Kyon juda ** gye wo meri hansi bankar, Meri hansi bankar... Us andheri raat ko bhi teri raushani ka intejar hai, Tujhe dekhne ke liye mera dil bhi beqarar hai, Na chhup jana un ghane badalon me, Ye sochkar ki meri muskurahat kisi ke liye khash hai, Kisi ke liye khash hai... Ban jaoo teri aansoo teri aankhon me hi mera wash ** Khushi ** ya ** gam, Har waqt har pal tujhe mera saath ** Es pal ko bhi us pal ki lagi aas hai, Meri zindagi aaj udas hai, meri zindagi aaj udas hai..
0
Oct 29, 2015
Oct 29, 2015 at 3:15 AM UTC
MERI ZINDAGI AAJ UDAS HAI..
Meri zindagi mujhse ruth *** ek  anjaan  bankar, Chhod kahan chali *** mera  dil  torkar, Tut gaye mere sapne sare ek  shisha  bankar, Rah gaye wo purane pal ab bas  ek  yaad  bankar, Aai mere jeevan me dard teri  judai  bankar, Tor diye sare rishtey mujhse meri  jahan  bankar, Rah jayenge ab hum tumhare bina bas  ek  gumnaam  bankar, Kyon de gye ** dard mujhe mere  hi  zajbaat  bankar, meri zindagi mujhse ruth *** ek  anjaan  bankar, ghabra jata hai dil kabhi kabhi yahi  baat  sunkar, Kab laut aayega wo pal ek  naya  sabera  bankar, Badh jayegi meri khusi Tumhare  sath  chalkar, tumhare  sath  chalkar.....
0
Jun 16, 2015
Jun 16, 2015 at 10:10 AM UTC
MERI ZINDAGI MUJHSE RUTH ***
Meri zindagi gumnaam ** *** tumse bichhar kar, Mar jayenge hum ab ro ro kar, Ye dil bhi najane kyon ruk ruk ke kah raha hai, Kyon rula rahe ** tum mujhe bar bar ek naya dard bankar, Ek naya dard bankar, Tum to bhul gye wo purani batein, Reh gye mere paas teri ye dard dene wali yaadein, Kyon jhuk jati teri ye nazare mujhe dekh kar, Bhula denge tumhe hum ek anjaan bankar, ek anjaan bankar..
0
Jun 26, 2015
Jun 26, 2015 at 10:38 AM UTC
GUMNAAM ZINDAGI.......
MAA Maa mamta ki phool hai, maa pyaar ka samundar hai, badal de dhukh ko bhi sukh mein, Maa ke andar karuna ka wo bhandar hai, Maa duniya ki janani hai, Maa surya ki raushani hai , jinke paas maa hai wo nirdhan nahi ,kyoki maa wo khushio ki lakshmi hai, Maa in othon ki muskurahat hai, Maa baccho ki taqdeer hai , Maa hai hamare path nirmata , maa us devi ki tasveer hai ,                 PITA Pita ghar ka anushashan hai, pita maa ka sindoor hai, baccho ko sahi galat ki siksha dene wale , pita Wo shikshak ki tasveer hai , pita ghar ka maan hai , Pita us devta saman hai , baccho ke bhavishya ujwal karne wala , Pita wo takatwar vartamaan hai, Pita maa ki muskurahat hai , Pita maa ki bindiya hai , jahan  bashta baccho ka jahan, Pita ghar ki wo khushia hai , maat pita jinke paas wo sabse dhani hai, na ** kabhi inhe dukh ye pran hume karni hai, inka Sahara bankar kare inka samman , yehi hamare pooja yahi hamare bhagwaan..
0
Sep 30, 2015
Sep 30, 2015 at 7:56 PM UTC
MATA-PITA
Najane kyon tadapati hain ye yaadein, Kabhi rulati Kabhi Khush kar jati ye yaadein, Mere jine ka jariya hain bus yahi, Kabhi dard bankar jakhm deti hain, To kabhi  dard ka maraham ban jati Ye yaadein, ye yaadein...... Silsile ye mohabbat ka Jari rahengi zindagi bhar, Karke pyaar tumse sanam   bhatak raha hoon dar dar, Kahan gye wo din, Kahan gye wo waadein, Ab mere paas rah gayi hain bus teri ye yaadein, ye yaadein...... Bahla raha hoon apne dil ko Un yaado ke sahare, Chale gye ** tum lekar Wo Khubsurat bahare, Pahli nazar me deewana banakar Bechain kar jati ye yaadein, mere dil-o-dimag par bus Teri ye yaadein, ye yaadein....
0
Jun 4, 2015
Jun 4, 2015 at 10:05 AM UTC
YE YAADEIN
Palkein bhi ankhiyon se karti hain shikayat, Aayi hai kaisi kayamat, Kyu mujh par bin mausam barsaat karti ** Jaanti hu dard bhara hai seene mein par mujhko kyu bhigati ** Sikhati hai bahut hua paani barsaana, Dusro ki khushiyon mein apni manzil hai pana, Dusro ka marham bankar Hriday mein deep jalakar Khushiyon ke geet gaana hai, Apni jhopdi jali ** bhale kisi aur ki nahi ujadne dena hai, Kasam hai khayi, Haaregi jaroor burayi, Aag lagi hai dil mein Khade hue hain fir se Log kehte hai paisa hai khushiyon ki chabi Galat, bilkul galat wo sirf hai jaroori Paisa khushiyan nahi khareed sakta Dusro ko khushi dekar is masoom dil ko sukoon milta, Pochh do kisi ki bheegi palkein Milengi anekon duaein Antaraatma bhi hogi paavan Khush honge bhagwan Dua hai dil se hamari Bhale le lo hamari khushiyan saari Par is dil se kisi ka dil na tute Warna ruth jayenge khud se, Hamare ruthe chehre bhi khile gulaab ban jate hai, Jab kisi ke chehre par hamari wajah se muskan aate hai, Ab Naa koi dard, Naa kisi gum ka saya hoga, Hume khush dekh dard bhi akele me muskuraya hoga, Dusaro ki muskan lana hi hamari khwaish hai, Na kisi se koi bair, Na kisi se koi numaish hai, Jo log kisi rote hue ko insaan ko hasate hai, Wo log khuda ko bhi bahut hi bhate hai, Khuda unlogo pr kripayen aapar kar dete hain, Unki jholi sirf khushiyo se bhar dete hain, Ek sadharan insaan bhagwan budha, Mahaveer tabhi kahlata hai, Jab kisi ke berang sapno me sunhare rang bhar jata hai, Hamari apni khushi bhale hi humse ruthi hai, Ab tou dusro ki khushi hi hamari khushi hai, Hamari khushi hai..... Collaboration by Shrivastva MK and Sonia Paruthi
0
Apr 2, 2018
Apr 2, 2018 at 6:55 AM UTC
Dusro ki khushi hamari khushi

Continue reading...
42
Mujhe pyar karne do, Mujhe apne dil me utarne do, Mujhe jina hain bus tere liye, Mujhe ab had se gujarne do, Mujhe pyar karne do...... Ishq ik aisi bimari hain, Jo sabke dil par bhari hain, Mujhe ab aansoo bankar apne aankhon me chhalakane do, Mujhe pyar karne do....... Tujhe haque hain meri puri zindagi par, Mujhe ab dil bankar, Apne sine me dharkane do, Mujhe pyar karne do, Mujhe pyar karne do......
0
May 25, 2016
May 25, 2016 at 12:38 AM UTC
Mujhe Pyar Karne Do
Mujhe pyar karne do, Mujhe apne dil me utarne do, Mujhe jina hain bus tere liye, Mujhe ab had se gujarne do, Mujhe pyar karne do...... Ishq ik aisi bimari hain, Jo sabke dil par bhari hain, Mujhe ab aansoo bankar apne aankhon me chhalakane do, Mujhe pyar karne do....... Tujhe haque hain meri puri zindagi par, Mujhe ab dil bankar, Apne sine me dharkane do, Mujhe pyar karne do, Mujhe pyar karne do......
0
May 31, 2015
May 31, 2015 at 9:46 AM UTC
MUJHE PYAR KARNE DO...
Mujhe Nahi jina tere bina Ek patthar bankar, Nikale aansoo mere ankhon se dard bankar, Tum to ab meri sans ban *** ** Batado ai jalim, Kya tumhen bhi jina hain Ek bewafa bankar, Ek bewafa bankar... Ye hawaye bhi batati hain Kisi ka jaan bankar, Jab tut jati hain zindagi Kisi ke saan bankar, Ab to ji raha hoon Bus ek badnam bankar, Mujhe nahi jina tere bina Ek patthar bankar, Ek pattar bankar ..........
0
Jun 1, 2015
Jun 1, 2015 at 12:19 AM UTC
MUJHE NAHI JINA TERE BINA
Aate hai farishtey bankar, Rehte hai har waqt haath thamkar, Milta Hai anmol dosti ka vardaan jise, Phulo se sazakar rakhna use, Aate hai anzaan bankar, Rahte hai dilon jaan bankar, Sari hasratey pure ** jate hain, Jab wo pyare dost muskurate hain, Gum ke sagar mein dubne na dete Khushiyan ka paigaam hain bhejte Zindagi jeene ka maksad btate Pyaara sa sansaar hai chahte har pal ko khushnuma banate, Sahi galat ka ehsaas karate, Jo gumo me bhi saath nibhate hai, Wahi sacche dost kahlate hai, Khuda kasam kya khubsurat rishta hai dosti Phulo se mehakta bagicha hai dosti Yaaron ke bina adhuri hai zindagi Zindagi jeene ki wajah h dosti Written By Sonia Paruthi & Shrivastva MK
0
Oct 13, 2017
Oct 13, 2017 at 8:59 AM UTC
YAARON KI YAARI
payar ke do lamhon me kho jana chahta *** maa ke aanchal me so ja jana chahta *** mamta ki sarowar me dub jana chahta *** yein duniyan ki rasme se parein hona chata *** is jhut ki nagri se niklna chahta *** payar ke do lamhon me kho jana chahta *** maa ke aanchal me so ja jana chahta *** yein badal tu mujhse kyun puchh raha h tu bhi to maa ki mamta ko chahta h tabhi to pani bankar maa ki god me barasta h mai bhi apne aansu maa ki god me bahana chahta *** payar ke do lamhon me kho jana chahta *** maa ke aanchal me so ja jana chahta *** yein pat tu mujhse kyun puch rahan h tu bhi to maa ki god me samana chahta h kabhi patjhar, to kabhi aandhi ke karan maa ki god me aana chahta h mai bhi apne mastak maa ki god me girana chahta *** payar ke do lamhon me kho jana chahta *** maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
0
May 15, 2015
May 15, 2015 at 3:44 PM UTC
maa
Haqiqat hai yaqeen karlo, Men usko bhool kar khush *** “Muhabbat marr chuki hai ab, Men usko bhool kar khush *** “Badalti rut ki waja se tabyat, Kuch hai bojhal see…. “Yun mera haal na pocho, Men usko bhool kar khush *** “Tumhen kia weham hai kyn, Raat bhar milne nahi aaty.??? “Aye mere nennd ki paryon Men usko bhool kar khush *** “Udasi sary ghar men, Pheeli jati hai ghum bankar…. “Tum har dewaar par likhdo, Men usko bhool kar khush *** Translation to Malay Language Aku gembira untuk melupakanya Amanah ku ini adalah realitinya Dan aku gembira untuk melupakannya Cinta yang telah meningal dunia Dan aku gembira untuk melupakanya Translation to English: I am happy I am not sad to forget He is mine, that's reality and I am glad to forget it all The love has died and I am happy to forget it all
0
Jun 2, 2013
Jun 2, 2013 at 1:30 PM UTC
Men usko bhool kar khush ***
Tum bheegna chahti thi baarish me hanth me hanth pakadkar, Tum aana chahti thi jindagi me meri khushi bankar, Chahti thi tum kabhi k mai tumoo baahon me bhar loo, Sona chahti thi tum mere seene pe sar rakh kar, Kha tumne hi ek din tha k tham lo haanth tum mera jindagi bhar k liye, Mujhe bas apna bana lo tum aane vaale har pal k liye, Har baar dil ko mere sunahre sapnr dikhaye tumne, Kabhi mere haanthon ko choomkar to kabhi hanthon me haanth pakadkar, Inkar tumko bhi nahi tha k tumhe mujhse mohabbat hai, Sirf mujhko hi nahi tumhe bhi mujhse utni hi mohabbat hai, Tumhar bhi kabhi khwahish thi k baal sanwaroo mai tumhare, Ungliyon se pajadkar kaan k paas le jaaun sare, Saath bitayen jindagi baant le har muskurahat aur ansoo aapas me hi saare, Magar tanha is dil ko ehsaas hua jab toota ye sapna, Meri khatao se rooth kar rukh mod liya tumne jab apna, Ab na baaki rah gayi jafa koi, Tumhe vaapas bulane ki, Tum mujhse door ** gayi ** chahat todkar apni, Tum mujhse rooth jati ** ku vaade bhoolkar sare, Ijaajat tumne hi di thi tumko satane ki, Satata aaj b nahu hu, Khata fir bhi ** jaati hai, Chalo ek baar aa jao, Na mujhse door tum jao, Gunah mere kiye saare , Bhulakar dil ki ranjish ko paas aa jao tum mere, Samajh jao dil ki tadpan ko nigahen mujhse na fero, Aaajao is baar pyaar me kar le milkar k vaade sare poore, Jo meri nasamjhi se abhi tak rah gaye adhoore, Paas tum aa jao mere paas tum aa jao mere, Ek tum hi to ** meri koi aur nahi kareeb shiva ek pyaar k tere. I love u
0
May 11, 2019
May 11, 2019 at 7:43 AM UTC
Paas tum aa jao mere

32
Door kahin hokar khada jab dekhta huu mai duniya ko, Kabhi khud ko dekhta hu kisi aur me, To kabhi kisi aur me khud ko bhi dekh leta hu, Kai rote hue chehre dikhte hai, To kai tadapte hue dil bhi dekh leta hu, Koi dikhta hai talabgaar khushiyon ka, To kai baaar koi khushnuma manjar bhi dekh leta hu.... Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko, Koi mehnat k baajar me pani pani hote dikhta hai, To koi makhmali bistar pe aaram talab jindagi jeeta hai, Koi chor hai makkar hai to koi in sabka gunah gaar hai, To kai baar jindagi me imaandaar se bhi milta hu...... Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko, Ghumte ghumte kai bar jab koi ghar dekh leta hu, Chor bankar kabhi jab ghar k andar jhank leta hu, Koi deewar tooti hui dikhti hai , To koi aalishan mahal bhi dekh leta hu, Koi ghar hota hai jisme dikhte hai bhookhe nange, To ghar kabhi har sukh suvidha ka praman bankar dekhta hu........ Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko, Kai baar koi maan bache ko pyar karte dikhti hai, To kabhi pet bharne k liye khud ko bhookha rakhne vali bhi dekh leta hu, Koi mahal mai dekhta hu sone se madha, To kai baar kisi ghar k bachon ko bhookh se bilakhta hua bhi dekh leta hu, Dekhkar ye bahurang duniya k mai khud ko aur majboot bana leta hu, Na gareeb khud ko aur na kabhi ameer bata pata hu, Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko..
0
May 11, 2019
May 11, 2019 at 8:07 AM UTC
Duniya ke rang
Bin aapke ek pal raha nahi jaata, Dil ki dadhkano ko khuda hai jaanta. Is janam mein khushnaseeb hain aapko paakar, Khuda se duaein karte har janam aapko maangkar. Aapke liye agar taqdeer se bhi ladna pada, Khushi khushi ladegi aapki mahiya. Dukh ne sataya aapko tou saamne milegi aaapki sangini, Aapki rooh ko chhukar is rooh tak hawaein aapki khabar batati. Aapka naam lekar hi chalti hain ye saansein, Beintehha mohabbat hai humein aapse. Fikar nahi kariye, Jaan aye meriye. Jeet lenge apni mohabbat se sabko, Ek kharoch bhi nahi aane denge aapko. Ye dadhkane chalti hain sun un dadhkano ko, Aapki muskurahat dekhkar hi sukoon milta humko. Aapki aankho mein ashq ka ek katra tak nahi aane denge, Har janam hum sirf aur sirf aapke hi rahenge. Dur jaane ki baat nahi kara kijiye, Meri zindagi meri rooh aap hi ** jaan aye meriye. Aapke bin ye dil kahin lagta nahi, Jahan aap honge milenge aapko hum bhi wahi. Nazar na lag jaye kabhi tabeez bankar raksha karenge, Jis haal mein rakhoge aapke sang humesha khush rhenge. Aapse hi judi hain humari saari khushiyan, Duniya badi hai par mere liye aap hi ** meri duniya.
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 2:24 AM UTC
dil se dil tak
Rishtey wo nahi hote jo duniya ko dikhaye jaye, Rishtey wo hote hai jo dil se Nibhaye jaye. Rishtey nibhana har kisi ke bas me nahi, Ab to bs rah gyi hai yadon ki haseen gali, Rishtey wo nahi jo sirf sukh me kaam aate hai, Rishtey tou wo hote hai jo dukh me sath nibhate hai, Rishta agar es dil se hota hai, Wo rista bda hi atut hota hai, Rishta banao tou use dilon jaan se nibhana, Kisi ki bhawnao ka mazak na udana, Kisi ki zindagi bankar uski zindagi na chhen lena, Aankhon mein aansuo ka tohfa na dena, Rishtey me khatas nahi mithas hona chahiye, Rishtey me bahas nahi vishwas hona chahiye, Wo rista ek na ek din tut jata hai, Jo rishta dil se nahi dimaag se nibhaya jata hai, Saath chhodne wale tou bus majburiyon ka haath thaam lete hai, Nibhane wale tou maut ka darwaza khatakne kya aakhiri saans tak hamare saath hote hain, Rishtey tou milte hai mukaddar se, Sanjo lo unhe dil mein, Jis rishtey ko us khuda ne bnaye hai, Ek na ek din use jaroor milaye hai, Jab do dil ek ** jate hai, Tab wo ek anmol rishtey kahlate hai.... Collaboration  by Shrivastva MK and SoniaParuthi*
0
Apr 6, 2018
Apr 6, 2018 at 1:45 PM UTC
RISHTEY....(COLLAB POEM)
Dil todkar mera aaj wo apna dard dikhane chale hai, Pyar ka naam badnaam kar aaj wo pyar sikhane chale hai, Kal tak jinhe parwaah na thi meri, Aaj wo phir se jhuthe humdard dikhane chale hai... Kitne azeeb hai log jo palbhar me badal jate hai, Sukh me sab sath rahte dukh me ojhal ** jate hai, Jinpar hum khud se jyada bharosha karte, Aksar wahi ek din dil tod jate hai, Khud dard dekar aaj meri galatiyan ginane chale hai, Kal tak mera mazak udate aaj apne aap ko masoom btane chale hai, Bankar bahurupiya mere samne, Aaj wo phir ek naya roop dikhane chale hai... Ek naya roop dikhane chale hai....
0
Oct 20, 2017
Oct 20, 2017 at 12:53 AM UTC
KHUD DARD DEKAR AAJ MERI GALATIYAN GINANE CHALE HAI....
Es kadaake wali..thand me chai ki tarah bankar aajao na tum. . Sukhha sa pada hai mere dil ka registan ek baarish bankar aajao na tum . Nhi raha jaata es andhere wali Zindagi me, Ek roshni ki kiran leke aajaao na tum. . Sab jaante  nhi hai mere dil ki raani ** Ek baar aake bta jaao na tum . Dukh bad gye hai intzar me tumhaare. Ek khushi banke dil me sama jaaao na tum. . Plzz plzZ plzZ Meri lyf main aajao na tum. . . . #SmArTy...
0
Jan 9, 2018
Jan 9, 2018 at 10:25 PM UTC
waitting
Fasana bayan kr raha hoon apni rooh k hoslo ka.. Mujh gareeb..nacheez ko manzilo ka nishan mila..ye karam tha mere kuch azeez doston ka Apne hoslo k dum pe.. Jhoojhta raha Zindagi se.. Main subah shaam.. din raat.. Hunar ki kalam se hi likhoonga apni taqdeer..Jigar me dhaan li thi ye baat Zakhm khata raha Dil par bahut waqt tak.. Walid ka kaha maan kar.. K baccha bana rahega toh bacha rahega..saare sabak zeher ki tarah peeta raha..sabhi ko apna maan kar Seekhne ki koi umra nahi yaaro.. Har pal ye zindagi naya sabak seekhayegi.. Dil khol k jholi bhar lena..jeewan roopi kashti yehi paar lagayegi Mushqil daur me kai martaba mehsoos ki.. Maine khuda ki maujoodgi apni bagal me.. Uska sehlana..mere sir aur meri kamar me.. Kandha numa sirhana diya kai dafa usne sisakti rooh ko.. Dilasa diya..Tujhe mazboot banane ko imtihan le raha hoon tera intaha tak..Tu hosla rakh..Main hoon toh! Waqt ne bhar diya sabhi zakhmo ko marham bankar.. Namak jo baha tha aakhon se..woh mere pairo ki zameen..sir ki chat ban gaya hai chankar Har pal shukrana karta hu khuda teri rehmat ka.. Dua kubul krta hai tu sabhi ki apne dar pe..karz hum adaa kr nahi sakte..teri is zehmat ka Meri sabhi doston ko ek maskeen hidayat hai.. Kissi bhi cheez se Insaani zindagi ki kimat kam hai..kyu issi ki bahutayat hai.. Manzilo ka nasha hai toh chamkao apne hunar ko is kadar.. Jhuka do un sabhi namurado ko..lage honge jo hosle **** karne tumhare..zindagi ki har dagar par😊
0
Apr 25, 2020
Apr 25, 2020 at 4:58 AM UTC
HOSLA - INNER STRENGTH TO CONQUER
Bachpan se tha laad  pyaar, Sab mein achhe, imaandaar, Hum bhi banenge khuddaar, Sabne kaha bahu samachaar, Par bahar jaane ka naakar tu vichaar, Duniya mein bari hai andkaar. Bachpan se tha laad pyaar, Clg hogaya ab job ka tha khayaal Ek dum se nikle the bahar, Hairaan hogaye dekhkar, Aise hotha hai dhuniya dhaar, Na khoi address ka tha patha, Na koi routes ka idea tha, Poore shareer ke andhar chah gaya tha dar. Bachpan se tha laad pyaar, Junoon tha man mei, Dhikana tha duniya ko kuch bankar, Par jab aayi naukri ki baari, Paani paani hogayi confidence saari, Zor zor se padgaye thaane, Aakhir kyu aati ** tum kamane. Jo bachpan se thi perfect, Uspe padgayi daant ka effect, Mote mote nikalgaye aasu, Rou bhi na toh kya karu khasu. Rone ki humpe lag *** tag, Sabko jaise bangayi mazak. Kehne ko aazad hai hum, Abhi bi hai laachari ki gum, Aasan nahi hotha yeh sehna, Mazak banake na rakdo, Mere bhai aur behna.
0
Apr 7, 2022
Apr 7, 2022 at 4:21 AM UTC
A glimpse....
Aapke chehre ki chamak ke saamne chand bhi lagta hai saada, Itna khubsurat chehra hai aapka dil ke mandir mein karu sajda. Behad khushnaseeb hain hum jo jaan ** aap humari, Zindagi mein aakar bn gye ** aap humari zindagi. Naraaz na hua karo jaan ek aap hi tou ** humare, Wajood hai humara sirf aapke sahare. Har ke zarre zarre mein hai sirf aapka naam, Aapke bin tou naam bhi humara hai benaam. Sirf aapke bankar rehna chahte hain janam janam. Bhut pyaar karte hain aapko sanam khuda kasam.
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 2:09 AM UTC
Jaan