Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Pumpkin Eater Dec 2017
Bohat dukh hay ke tumne mujhe chora
Bohat dukh hay ke tumne mujhe apna na samjha
Bohat ghussa hay ke tumne mujhe chora
Bohat ghussa hay ke tumne mujhe apna na samjha
Mere Paas to is dukh ko baatne ke liye bhi koi nahi
Mere Paas to aisa bhi koi nahi jispe apna ghussa nikalun
Ekk tum he to thi Jisse apna har gham baat ta Tha mein
Ekk tum he to thi Jisse baat karke Mera ghussa Kam Hota Tha
Tumhe to mene wo wo batein bataayn Jo kisi se keh nahi sakta
Tumpe to mene itna bharosa Kiya jitna kisi pe Kar nahi sakta
Apna saara dukh in alfazon pe nikalta *** mein
Andaza lagao Meri bebasi ka
Andaza lagao mere akele pan ka
Apna ghussa in lafzon ke zariye Kam karta *** ab
Aakhir kab tak likhta rahun ga ye sab apne gham aur
Apne ghusse ko mitane ke liye
Aakhir kab tak
Kabhi to mujhe sache Dil se samjha Hota
Sirf tumhare liye to jeeraha Tha mein
Sirf tumhare liye to ye Dil Tha zinda
Sirf tumhare liye to ye saansen chalrahi thein
Abto apne apse nafrat hogayi hay
Ye zindagi bojh bangayi hay
Meri kismat mein Aakhir kyun thi itni bezaari
Aakhir kyun Tha mein itna badkismat
Aakhir kyun
Bvaishnavi Apr 2022
Bachpan se tha laad  pyaar,
Sab mein achhe, imaandaar,
Hum bhi banenge khuddaar,
Sabne kaha bahu samachaar,
Par bahar jaane ka naakar tu vichaar,
Duniya mein bari hai andkaar.


Bachpan se tha laad pyaar,
Clg hogaya ab job ka tha khayaal
Ek dum se nikle the bahar,
Hairaan hogaye dekhkar,
Aise hotha hai dhuniya dhaar,
Na khoi address ka tha patha,
Na koi routes ka idea tha,
Poore shareer ke andhar chah gaya tha dar.

Bachpan se tha laad pyaar,
Junoon tha man mei,
Dhikana tha duniya ko kuch bankar,
Par jab aayi naukri ki baari,
Paani paani hogayi confidence saari,
Zor zor se padgaye thaane,
Aakhir kyu aati ** tum kamane.
Jo bachpan se thi perfect,
Uspe padgayi daant ka effect,
Mote mote nikalgaye aasu,
Rou bhi na toh kya karu khasu.
Rone ki humpe lag *** tag,
Sabko jaise bangayi mazak.

Kehne ko aazad hai hum,
Abhi bi hai laachari ki gum,
Aasan nahi hotha yeh sehna,
Mazak banake na rakdo,
Mere bhai aur behna.
This was just a small part of the problem.

— The End —