Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
KYON** ** gya mujhe ek ajanabi se pyar,
Na jante hua bhi KYON hain ye dil usi ke liye beqarar,
Karke bechain mujhe KYON hain mujhe har waqt usi ka intezar,
Main nahi janta ki kaun hain wo,
jo mujhe apne pyaar ka mujarim bna liya,
Banake DEEWANA mujhe,
mere kore sa dil pe apna naam likh diya,
KYON aata hain mere sapno me uska dhundhlata chehra,
Lagne laga ab har khawab sach mujhe,
Kaha chale gye wo laga ke mere dil pe apne yaadon ka pahera,
Har waqt muskura'h raha hoon jabse mujhe pyar hua hain,
Kho gya hoon main usi ke yaadon me jabse use dil diya hain,
KYON wo mere **** ka jaan ban *** hain,
Karke pareshan mujhe meri jahan ban *** hain,
KYON ye palakein nahi jhapakti jab use dekhti hain ,
Uske bina ye puri duniya suni lagti hain,
KYON mangne lagta hoon use apne rab se,
Dekha hain use aur pyar hua hain jab se.....
First sight love
Love just like a unique desease, and its no any solution frds.
Lovish Uppal Jan 2016
Shaam ki sardi mein
Jab ghar se hum nikle, 
Mast kuch bachchon ne yaad dilaya The hum bhi kitne befikre.

Beet gaya aane se pehle, 
Waqt kisi ka na hua.
Bachpan le gaya sang apne, 
Phir aaye mudke hai yehi dua.

Kashtiyan kagaz ki banake 
Chalate the paani mein, 
Yehi nahi baarishon mein ghoomne Nikalte the apni cycle pe.

Baarish ka anand nahi, 
Toofanon se darte hain ab,
Woh din bhi kya din the 
Jab apne se lagte the sab.

Kahaniyan sunke khud ko
Doobate us duniya mein, 
Na jhooth, na dikhava, 
Na dhokha tha usmein.

Dil mein thi ek bekarari hamesha, rehta tha khushi ka intezaar, 
Ab hai yakin kismat pe apni, 
Kabhi na lautenge ab woh din raat.
Riya jain Jul 2018
Meri pyari daadi maa,
tumsa na h koi yaha.
tum ** mera saara jahan,
nahi kr skti tmhe shabdon m bayan.
tum ** meri aan,
tum ** mera amaan.
tum ** mera gumaan,
tumse ek baar fir milna, hai mera armaan.
roz sapno mai dekhti hu tmhe,
roz sapna toot jaata hai.
Kab aaogi saamne mere,
yahi soch soch ke ek aur din guzar jaata h.
wahi chand sa chehra, wahi phool se muskan,
rakhungi sada tumhe dil mai, banake apni shaan.
Bvaishnavi Apr 2022
Bachpan se tha laad  pyaar,
Sab mein achhe, imaandaar,
Hum bhi banenge khuddaar,
Sabne kaha bahu samachaar,
Par bahar jaane ka naakar tu vichaar,
Duniya mein bari hai andkaar.


Bachpan se tha laad pyaar,
Clg hogaya ab job ka tha khayaal
Ek dum se nikle the bahar,
Hairaan hogaye dekhkar,
Aise hotha hai dhuniya dhaar,
Na khoi address ka tha patha,
Na koi routes ka idea tha,
Poore shareer ke andhar chah gaya tha dar.

Bachpan se tha laad pyaar,
Junoon tha man mei,
Dhikana tha duniya ko kuch bankar,
Par jab aayi naukri ki baari,
Paani paani hogayi confidence saari,
Zor zor se padgaye thaane,
Aakhir kyu aati ** tum kamane.
Jo bachpan se thi perfect,
Uspe padgayi daant ka effect,
Mote mote nikalgaye aasu,
Rou bhi na toh kya karu khasu.
Rone ki humpe lag *** tag,
Sabko jaise bangayi mazak.

Kehne ko aazad hai hum,
Abhi bi hai laachari ki gum,
Aasan nahi hotha yeh sehna,
Mazak banake na rakdo,
Mere bhai aur behna.
This was just a small part of the problem.

— The End —